Ek din kahi thi tumne,
Baato hi baato mein
Apne dil ki ek baat
Vo baat, jo thi isse pehle ankahi,
Jo isse pehle zubaan par na aayi thi kabhi'Suno, tum shadi krlo mujhse'
Sunkar tumhari vo baat,
Bolte-bolte main nishabd ho gyi thi
Dil ki dhadkan ek pal tham gyi thi
Soojh-boojh ko lag gya tha tala
Kaano mein bas ek aawaaz goonj rhi thi-'Suno, tum shadi krlo mujhse'
Us din ghadi ke kaante
Ek pal ko jaise tham se gye the
Tum mere jawaab ki raah tak rhe the,
Lekin mere toh shabd hi gum ho gye the
Aur phir ek baar bol uthe tum'Suno,karlo na tum shaadi mujhse'
Suna tha maine kahin,
Dil ka aaina hoti hain aankhein
Toh bas jhaankne lagi us aaine mein.
Samudra si gehri tumhari aankho ki
Gehrayiyon mein jo paya khud ko
Toh bol hi diya'Haan, shadi karungi bas tumse'
आप पढ़ रहे हैं
Khayalon Ke Parindey
PoetryChalte chalte in raahon pe Kai khayal yu hi aate hai Kuch dil me bas jaate hai To kuch parindey ban ud jate hai Kai khayal hasate hai Kai khayal rulate hai Kuch baarish ki tarah mehkate hai To kuch bhavandar jaga jaate hai Jo khayal hame bikherte ha...