Suno, kehni hai ek baat tumse!
Ya chodo! Ho na jaye koi khata humseKuch ankahe se shabdo mein,
Najaane kya keh gye tum us pal,
Deewaano jaisa ban baitha dil,
Aur dikhne lage khwaab pal palHar lamha rahe bas khayaal tumhara,
Kuch aisa pagalpan chhaya hai
Tumhari aankhon ki gehraiyon ne
Najaane kaisa jaadu chalaaya haiBaadalo ki riyaasat se tum,
Utar aaye ho zindagi mein meri
Ek panchi ke jaise aaye tum,
Aur chura le gye neendein meriChitrakaar tum ek anoothe,
Naye rango se jo bhari meri duniya
Bolo, kaise batlaaun main dil ki baat,
Tum hi ho vo ehsaas sunehraSuno, kehni hai ek baat tumse!
Par darti hu, ho na jaye koi khata humse!Ho na jaye koi khata humse...!
आप पढ़ रहे हैं
Khayalon Ke Parindey
PoetryChalte chalte in raahon pe Kai khayal yu hi aate hai Kuch dil me bas jaate hai To kuch parindey ban ud jate hai Kai khayal hasate hai Kai khayal rulate hai Kuch baarish ki tarah mehkate hai To kuch bhavandar jaga jaate hai Jo khayal hame bikherte ha...