Unkahi Unsuni

32 5 20
                                    

Tere liye bohot tadpa ye dil
Yaad mein teri na jaane raatein kaati kitni
Kyu fer liya tune muh apna mujhse?
Mere dil se nikli aah kaise na suni?
Har kisi ko dikha mera hansta chehra
Jab sbse chhupkar dil ke tukde samet rhi thi mai
Koi na samjha dil mein chupa dard
Kaise pal pal khud se ladh rhi thi mai
Dil kehta tha ek bar aur dikh jaye chehra tumhara
Toh dimag kehta tha khud k bare mein sochne ko
Dil kehta tha jee bhar ke ladhu tumse
Aur phir gale se lag jaun tumhare
Lekin kahin na kahin janta tha vo bhi
Ki ab koi fayda nhi!
Na jaane kitni koshish ki maine,
Samjhane ki tumhe
Kabhi pyaar se,
Kabhai ladhai se,
Ki mujhe vaade nhi saath chahiye tumhara
Meethi baatein nhi, thaamne ko haath chahiye tumhara
Par na jaane kyu haath lagi toh bas nirasha
Haan, niraash hai ha ab ye dil mera
Phir kisi par yakeen na ho payega isse ab
Pyaar bhare sapne sanjoti thi jo aankhein,
Unhi ankho ko sapno se pare, asal duniya dikh gyi hai ab
Dil ko chot jo pohonchai hai tumne,
Le gaye ho sab kuch loot ke
Na ho paayega ab pyaar dubara
Na aabaad hoga ye veeran dil humara

A/N: I tried writing this poem without any rhyming for a change. How did it go?

Khayalon Ke Parindeyजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें