chap 2

901 70 21
                                    

Hoorain university se waapis aarahi thi gari main bethne ky baad usne aesy hi apne phone ko khola to aik dum usay yaad aaya ky kl raat to aehtishaam ne aana tha usne apne phone pr time dekha "abhi to sham ki chai ka time hai to yaqeenan woh aaya huwa hoga" yeh soch kr usne gari chalate rehmat baba se poucha "uncle aehtishaan sahab ghar py hain?"
"Beta woh to mujhe nhi pta shyd aagae hon " ,,rehmat baba unke purane driver thy aur ab tk to woh ghar ky har fard se achi tarah waaqif thay "acha " ,hoorain ne itna keh kr aankhain band karliin aaj waqae buhat thakane wala din tha

******************************
Ghar aakr usne aik nazar lawn pr daali magr wahan koi nhi tha, woh seedha andar aae tabhi usay sadia begum ki awaz sunae di , "hoor!"
"Jee mama?" Hoorain ne apna bag rakha aur kitchen main aagae jahan sadia begum uski muntazir thiin, "beta Aehtishaam aaya hai tumhare baba ky saath hai is waqt jaao yeh chai serve krke aao "
hoorain paani peety peety ruki "woh aaya huwa hai?"

"Haan to, aana to tha hi"

"Nhi mera matlb tha izma aae hai saath?" Hoorain ne jaldi se poucha
"Nhi izma masroof thi woh akela hi aaya hai ab jaao"
"Acha" Hoorain ne jaldi se chai utha li drawing room se baaton ki awazain aarahiin thi Mazhar sahab aehtishaam se guftagu karne main masroof thay hoorain andar aae mazhar sahab ne aik nazar utha kr usay dekha "baba ,yeh chai" hoorain ne yeh keh kr chai serve krni shuru ki Aehtishaam abhi bhi Mazhar sahab ky saath hi busy tha tha Hooain ne chai ka cup uski taraf barhaya to woh chonka "asallam u alaikum"hoorain jaldi se boli jawab main aehtishaam ne sirf sir hilaya aur aik baar phir bato main masroof hogya , hoorain khamoshi se baahir aage

********************************

" yeh Aehtishaam tha seriously ?"hoorain apne kamre main aae aur sheeshay ky saamne khare hokr jesay khud se batein krne lagi ,"woh lambe aur ajeeb stylo andaaz main bane baal jo us ky hisaab se "fashionable" thy khan gae?" uske dimagh main abhi thori dair pehly dekhay aehtishaam ky baal aae "aur yeh to baat krne ky mokay dhundhta tha khair, ab hamesha to koi aik jesa nhi reh sakta aur wesay bhi job har kisi ko set krdeti hai " hoorain ne aik lambi saans li au phir fresh hone bathroom ki taraf barh gae

*********************************

isha ky waqt uski aankh khuli usay us waqt buhat bhook lag rahi thi woh apne kamre se baahir aae lounge main usay koi bhi nazar nhi aaya to woh khudi kitchen mai chali gae woh wahan bethi juice peerahi thi jab sadia begum ander se aain " hoor tum chai denay ky baad dubara aae hi nhi aehtishaam pouch raha tha tumhara " " mera!" hoorain chonki " haan woh tumhare liye chocolates laya tha bahir se wahi deni thiin acha upar cabinet main pariin hain nikal lena" yeh keh kr sadia begum wahan se chaliin gaein "aehtishaam? woh to bdla huwa nhi lag raha tha " hoorain ne ulajhte huwe cabinet se chocolates nikaliin aur apne kamre main chali gae usne packet khol kr dekha aehtishaam uske liye uski pasandeedah chocolates laaya tha,, Hoorain ko heraani huwi ky aehtishaam ko abhi tk yaad tha ky usay konsi chocolates sabse zyada pasand hain ? Kiunke bazahir woh kaafi bdla huwa lagraha tha

"Uske ilawa hoor ki pasand napasand ko jaanta bhi kon tha" hoorain ne chocolate ka aik piece apne munh main rakha aur aankhain band karliin usay purani baatein yaad aarahiin thi jab woh school main thi ,aehtishaam us se bara tha magr uski harkatein ,woh hoor se bhi zyada shararti tha woh dono bachpan main buhat ache friends thay aur dono apni friendship bond ky beech kisi aur ko bardaasht nhi karte thay hata ky izma jo ky hoorain se sirf 1 saal choti thi usko bhi nhi woh usay bewaqoof aur choti keh kr chirhate thay woh dono apne schl clg se aakr din bhar masti krte aur weekend pr to saare ghar walo ki aafat aajati thi kiunke woh dono jab mill kr koi shararat krne ka sochte to hamesha nuksaan hi krte thay hoorain ky chehre pr be ikhtiar aik muskurahat aae, usne chocolate ka dsra peice munh main rakha usay yaad aaya aehtishaam kabhi bhi us se nhi larta tha magr bachpan se hi aehtishaam ko tasveer liye jaane se nafrat thi is muamle main hoor izma ky saath mill jati thi aur woh dono aehtishaam ko chirhane ky liye uski pics leti thiin aur aehtishaam ko jab pta chalta tha to usay intihaa se zyada ghussa aajata tha aur woh un dono ko acha khasa danta tha jiska end yeh hot ky izma "sorry sham bhai" keh kr chali jaati thi aur hoor us ky daantne ka issue bna leti thi aehtishaam kuch din usko ignore krta tha magr phir usko manane ky liye uski pasandeeda cheez yani chocolates la kr deta tha tab jaakr hoorain manti thi . maazi ko yaad krte krte jaane kab uski aankh lg gae

************************

Aglay din jab uski aankh khuli to10 bj chukay thay yaqeenan usay kaafi dair hochuki thi hoorain ne wesay bhi kl hi soch liya tha ky woh aaj university nhi jaae gi kl ky quiz ki wajha se woh thaki huwi thi tabhi usne chutti krli , woh nashte ky baad digest ly kr lawn main aa gae aur aik taraf chair lga kr beth gae halki si dhup aur saath chalne wali hawa buhat sukoon awar thi, wahan bethay abhi usay zyada dair nhi huwi thi jab gate khol kr koi ander aaya, lambe se qad wala ,jeans ky uper dress shirt pehne pockets main haath daale woh gate ky saamne ruk gaya aur aik lamhe ky liye ghar ko dekha jesay soch raha ho ky aa to gya hun ab kidhar jaoon ,phir usne lawn ki taraaf dekha shyd uski nazar wahaan bethi hoorain py parh chuki thi tabhi woh usi taraf aaya ,dsri taraf hoorain jo ghor se usi ko dekh rahi thi uski dharkanein taiz hogaein aehtishaam us ki taraf aaraha tha ,aehtishaam ne aaate huwe aaik chair li aur hoorain ky saamne beth gya .hoorain ne us ki taraf dekha, "asallam u alaikum"aehtishaam ne muskura kr kaha , hoorain ne salaam ka jawab diya aur apni nazrein digest ki taraf karliin abhi usay kuch samaj nhi aa raha tha aur woh yeh ta~asur nhi dena chahti thi tabhi kisi ne uske haath se digest le liya, aehtisham utha aur digest utha kr paas parhe table pr rakh aayaa hoorain ne heraani se usay dekha, "yaar koi tumse milne aae aur salam bhi kare to tum ignore krdo gi?"usne muskurate huwe kaha "nhi woh ... actually aik buhat acha novel parh rahi thi" hoorain ne bahana bnaya "acha .. to. achay novel ky liye apne achay czn ko nazar andaaz krdo gi?" aaehtishaam ne sharart se buhat bn kr kaha "haha nhi ..."woh aik baar phir chup ho gae

"kesi ho?"aik baar phir usi ne baat shuru ki
"main bilkul theek" hoorain ny jawab diya
"tum university main ho na? aaj gae nhi?" Aehtisham ny poucha.
"Ahhh.. Ni woh kl quiz tha to aaj dil nhi karraha tha " Hoorain ny souch ky jawab diya.

"ahaan acha aur tumne chocolates le liin chachi se? kl bula raha tha tumhain makn tum aae hi nhi "
"ji main so gae thi aur chocolates mujhe mill gaein hain unke liye thankyou" hoorain ny muskura ky kaha.

" your welcome ,Oh haan mama ne kuch bhijwaya hai chachi kahan hain? "Usne poucha.
"aain main le jaati hun " yeh keh kr hoorain wahan se uth gae aehtishaam uske peechay chal para woh ko sadia ky paas chor ky woh apne kamre main aagae
"Aehtisham tou bilkul ni badla. matlab yeh sirf mera weham tha " hoorain ny soucha. Usay aj buhat khushi ho rhi thi

.

.

.

^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^^

اقرار (completed) Where stories live. Discover now