chap 6

690 51 26
                                    

Main aaien likhun
Teri neend uray
Main sheen likhun
Bechain ho tum
Main qaaf likhun tujhe kuch kuch ho
Main ishq likhun
Tujhe hojae

hoorain apne haath main phone pakre kbse kisi a number try kar rahi thi, us kay chehray pr ajeeb si junghlahat thi

"utha bhi lo, ufff!" usnay zer e lab kaha aur paanchvi baar call try ki. jab 6-7 rings ky baad bhi kisi nay call nhi uthae toh us nay tang aa kr phone kaat diya aur usaay bed py uchal diya ,"aik to jab zuha ko kuch btana ho tabhi is nay gayab ho jana hota hai " usnay aik lambi saans li aur kamre se baahir nikal gae. Raat ky 9 bj rahe thay taqreeban ghanta pehly hi uskay taya tai wapis gae thy. woh hoorain ki zindagi ka sabse khoobsurat din tha us ka khayal tha ky shyd woh hamesha ki tarah sirf milnay aur baatein krnay hi aae thay magar yeh usay ab pata chala tha ky asal main woh us kay liye sabsi bari khushi ki khabar lae thay. Un kay janay ki kuch dair baad sadia begum us kay kamre main aain aur usay un ky aane ka maqsad bataya ky woh log hoorain ko aehtisham ky liye chahte hain aur isi silsilay main woh koi faisla karna chahte thay aur yeh kay mazhar sahab nay unko haan main jawab diya hai kyunke woh yeh jante thay ky aehtisham se behtar hoorain ky liye koi nhi hosakta tha aur woh hoorain ki pasand ko bhi jante thay. sadia begum usay bta kr bahir nikal gaeiin aur hoorain , woh apni jagah jam ky reh gae. Us aik lamhe usay laga jesay sari dniya khoobsurat hogae ho ,jissay aap mangte ho wahi aap ko mill jae to kis ko khushi nhi hoti? hoorain ka dil bhi us waqt khushi aur sukoon se bhara huwa tha. Kuch dair woh be maqsad khari rahi aur us kushi ko ander tak mehsus karti rahi au phir foran apna phone utha liya usay abhi yeh sab kuch zuha ko batana tha. Zuha uski zindagi main sab say zyada imp thi aur hoorain apni sab baatein usay zarur batati thi

hr insan ki zindagi main koi na koi aesa zarur hota hai jisay woh apni har baat, har khwahish , sab kuch batana chahta hai. Is yaqeen ky sath ky agla kabhi sunne se inkar nhi karega

hoorain ki zindagi main zuha bhi aesi hi thi. Bachpan se hoorain apni sab baatein zuha ko batati aae thi aur abhi woh yeh khabar bhi sabse pehly usay hi dena chahti thi
______________________________
Newyork main subah hamesha ki tarah buhat khushgawar thi. Har taraf chalte log aur gaariyon ka crowd. Aesay main Aehtisham bhi aik highway py apni car buhat speed se drive kar raha tha ,woh us waqt hospital jaa raha tha. Wesay to dikhne main sab kuch buhat normal lg raha tha ,roz ki routine ki tarah wahi busy morning magar is subah main kuch khass tha. Bahir ki duniya main to sab normal tha magar aehtisham ki dil ki duniya main kuch bhi normal nhi tha ,wahan to bass khushi thi ,aesi khushi ky aehtisham ka bass nhi chal raha tha ky woh kesay usay bayan kare. Usnay gari main soft music laga diya jo usay us waqt buhat acha lg raha tha ,windscreen pr nazar dalte huwe us nay apni aankhein band karliin ,us kay tassawurat main har taraf sirf hoorain thi ,aehtisham ki muskurahat mazeed gehri honay lagi usnay aik gehra sans le kar aankhein khol diin. Drive krte huwe woh hospital pohunch gaya ,uski car aik bare aur buhat pyare hospital ki taraf barhi us hospital ki enterance par aik bara sa plus(+) ka red colour ka sign laga tha. Woh newyork ka sabse bara aur khoobsurat private hospital tha. Aehtisham ne apni gari doctors ki car parking main park ki aur apna white coat uthate gari se bahir nikal aya ,uska rukh hospital ki janib tha ,ander pohunchne tk kaafi aur doctors aur baaqi workers ne ussay hello bola ,aehtisham ki wahan buhat izzat thi. Aehtisham hospital ky ander gaya aur ak bare se kamre jisky bahir (HD's) likha tha ky ander chala gaya. Wahan aehtisham ki tarah ky 3 aur bhi male Doctors thy ,woh chaaron wahan ky head doctors thay. Aehtisham ne aik table pr apna coat rakha aur un teeno doctors ki taraf barh gya
" hello dr. Sham" teeno main se aik ne kaha. Aehtisham jawab main muskuraya
" aehtisham hamain pta chala hai ky tum apne country wapis jarahe ho" usi doctor ne english main aehtisham se kaha (inhain kisne btya) aehtisham ne soucha "ahhh haan i'm gonna resign soon actually mujhe apne country wapis jana hai aur Dr. Arham ky hospital main kaam karna hai " usne bhi jawab main english main hi jawab diya
"Thats great!! we wish you best of luck for that" aik aur doctor ne muskurate huwe kaha. Aehtisham bhi jawab main muskuraya, tabhi ek nusre ander aae woh indian thi. Aehtisham uski taraf palta " excuse me! Aehtisham ne usay mutawajah krte huwe kaha , Dr. arham aagae hain? "
"Hanji ! Abhi kuch dair pehly apka pouch rahe thay woh "
"Right! Unse kahain ky aik ghante baad woh mujhse bahir cafe main millain abhi mujhe aik round lagana hai "
"Ok" us nurse ne jawab diya aur foran bahir nikal gae. Aehtisham bhi wapis palta aur table se apna coat utha kr pehna aur saath para stethoscope haath main le kar woh us kamre se bahir nikal gya. Abhi usay aik round laga kr patients ko check krna tha.

اقرار (completed) Donde viven las historias. Descúbrelo ahora