chap 1

2.8K 100 48
                                    

"Bera gharak ho is ismail ka ya allahhh main kya karun
Ismail tum na ab.... Bacho mery haath se" hoorain chilla rae thi hamesha ki tarah uske chote czn ismail ne uske digest se pages phar ky unka jahaz bna liya tha aur hoorain jo apne pasandeeda writer ka aik afsana parh rahi thi woh beech main hi reh gya. Jiski wajha say woh jhunjhalae huwi lag rahi thu. Tabhi drwaza khulne ki awaz aae aur Izma ander aati dikhae di.
"Ahhhh hamesha ki tarah sara huwa munh tumhain kya lgta hai aesy buhat pyaari lago gi? Maaf karna hoorain magr tum aik churail lg rae ho "izma hamesha ki tarah chirane ky mood main thi
" izma plz chup kar jao tumhara bhai  pehly hi mera dimagh kharab kr gya hai" hoorain ny tang aate huwe kaha.
"ab kya kardiya ismail ne?" . Izma ny poucha.
"Kya kardiya? apne pilot junoon ky liye usne mera digest phaar diya"  hoorain ny btaya.
"bass? yahi " izma zor se haasi
"buhat acha kiya ismail tum ne meray saamne hote to main tumhain daad to zarur deti" Izma ny kaha.
hoorain ko is jawab ki umeed na thi us ne usay ajeeb si nazro se dekha
"dekho na yr agr mera  bhai  pages na pharta to tum abhi bhi usi main gum hoti aur phir mery sy baatein kon karta? "  Izma ny shokh andaz se kehty huwe hoorain ko pillow de maara. kuch dair ky baad kamre ky baahir dono ky haasne aur baatein krne ki unchi unchi awazain baahir aarahiin thi

**********************

Baahir se aane wale halke halke baato ky shor se hoorain ki ankh khul gae .Woh din main Izma ky jaane ky baad se so rahi thi ab un awazo ne usay jagaya tou woh bed sy utri aur khirki ky
pas chali gae jahan se baaton ki awazein aa rahiin thiin.  Usne khirki ky aage se parde hataye tou usay khushgawari ky aehsas nay ghera. baahir buhat acha  moasam tha har taraf badal chae
huwe thay aur halki halki hawa chal rahi thi.
Uska kamra 1st floor py tha iska matlab tha awazein neechay sy aa rahi thiin. usne neechay jhanka tou  lawn main chairs py bethay usay apne mama baba aur taya tai nazar aae woh muskura ky aik dusre se baatein karrahe thay. Samne table py chai aur baaqi cheezain pari thiin. Hoorain unhain ek lamhe ky liye sath betha dekhti rahi py beiktiar muskura di. Aur khirki ky pas se hat ky washroom ki taraf barh gaye. Munh dho ky huliya theek krne ky baad woh kamre se baahir nikal aaye. Seeriyan utarte huwe usay mazeed khushgawari ka aehsas ho raha tha. 
Ahista ahista seeriyan utarte thandi hawa usay apne ander tk utarti mehsus ho rahi thi.  Woh wahan se seedha lawn main hi aaye. Taya aur tai sy milne ky baad woh bhi ek chair le ky beth gaye aur chai ka ek cup jou usky liye para tha usay utha liya. 
Abhi usnay chai shuru hi ki thi ky ander se unki kamwali baahir aati dikhae di. 
"ap jaag gaeiin hoorain" unho ny hoorain ki taraf dekhty hi kaha. Hoorain nyek nazar lawn main bethay sab py daali woh un se kuch dur bethi thi tabhi kisi ny dehan ni diya. 
"han kab ki" hoorain ny aram se usay jawab diya.
"woh apki kisi dost ki call kabse aa rahi thi. Abhi bhi aaye huwi hai maine hold py rakhi hai. Ap sun lain" kamwali ny tameez sy kaha.
"acha theek hai main sun leti hun" hoorain apni chai ka cup uthaye huwe hi aram se wapis chali gae. Sab ek dusre ky sath masroof thay isi liye koi uska jana mehsus na kar saka.

**************************

Maghrib  ki azan huwe kaafi dair ho chuki thi.  Taqreeban 8 bje ka time tha  hoorain apne kamre main bethi apni assignment bna rae thi ky sadia begum hoorain ky kamre main aain
"tum dubara baahir nhi aae hoor?" unho ny us se poucha.
"Jee mama woh ek friend ko notes copy karwa rahi thi phir yad aya ky meri apni assignment bhi rehti hai usay bas complete karne lag gaye thi" hoorain ny aram se btaya.
"acha! Han tumhain btana tha tumhare taya tai aae thy bta rahe thy aehtishaam aaraha hai kl raat ki flight se " sadia ny btaya.
"aehtishaam? uski to shakal bhi bhool gae mujhe " hoorain ne aankhain bnd krke jesay sochne ki koshish ki
"haan beta zaahir hai itne saal hogae aur jab last time aaya tha tab bhi to tum nhi milli thi upar se baqi ki qasar uski pictures utarne se nafrat ne puri kardi " sadia ny apne khayal ka izhar kiya.
"wesay mama yeh kesay hosakta hai koi ek pic bhi na le" hoorain uljahe huwi lg rahi thi.
"beta usay nhi pasand main kya keh sakti hun. khair main yahi batane aae thi ab main zara khaane ko dekhlun tum parhlo ab" yeh keh kr sadia begum baahir nikal gaein.
Magr hoorain ab parhne py focus kesay karsakti thi
"3... Nhi 4 saal hogae jab last time aaya tha aur tab to main trip py gae huwi thi " hoorain sochne lagi usay yaad aaya jab woh trip se waapis aae thi to sadia  ne usay btaya tha ky aaj subah hi aehtishaam gya hai
"aur us se pehly .... 3 saal baad aaya tha acha to ab woh 7 saal baad aaraha tha. " hoorain ny andaza lgaya.
"Khair! Aaega to dekhi jaaegi"
Hoorain ne aik baar phir books apni taraf karliin

*******************
Unka zyada bara khandaan nhi tha woh 2 bhai thy azhar sahab aur usne rhyme main chota bhai mazhar azhar sahab.
Azhar ki shazia ky sath shadi huwi thi aur unky 3 bache thay sabse bara Aehtishaam jo clg life ky baad baahir chala gya tha wahiin studies complete krne ky baad job bhi wahiin shuru ki,Aehtishaam se choti izma thi jo ky university ky 1st year main thi. Woh hoorain se 2 saal choti thi ,Aur izma ky baad sabse chota Ismail tha jou 11 years ka tha.  Woh buhat shararti tha aur sabki jaan tha.
Aur mazhar sb ki sadia ky sath shadi huwi thi aur un dono ki ek hi beti thi hoorain.
.
.
__________

اقرار (completed) Onde histórias criam vida. Descubra agora