chap 18 (last Chap)

673 38 19
                                    

Mujhe tab bhi muhabbat thi
Mujhe ab bhi muhabbat hai
Teray qadmon ki aahat say
Teri har muskurahat say
Teri baaton ki khushbu sy
Teri aankhon ky jaadu say
Teri dilqash adaon say
Teri qaatil jafaon say
Mujhe tab bhi muhabbat thi
Mujhe ab bhi muhabbat hai
Teri raahon main rukne sy
Teri palkon ky jhukne say
Teri bejaa shikayat sy
Teri har ek aadat sy
Mujhe tab bhi muhabbat thi
Mujhe ab bhi muhabbat hai.
___________________________________________________
(1 week later)
"MashAllah ap buhat pyari lg rhin hain" parlour wali ny sheeshay main Hoorain ko dekhty hue kaha.
"meri bhabi-to-be pehly bhi pyari thin" peechay bethi Izma ny kaha.
Aj saturday ka din tha. Hoorain aur Aehtisham ky nikkah ka. Hoorain abhi Izma ky sath parlour aaye hue thi aur parlour wali usay tyar krty hue beech main kafi baar buhat sy tareefi kalmaat keh rhi thi. Hoorain waqae buhat pyari lg rhi thi. Nikkah Mazhar Sahab ky ghar main hona tha. Us ky liye koi baqaida bara function ni rakha gya. Bs kuch qareebi rishtedaron aur doston ko bula liya. Shadi kuch maheeno ky baad unki aur Izma aur Arham sath hi honi thi. Tab bara function rakha jana tha.
Abhi inhe parlour aaye hue dedh ghanta ho chuka tha. Aur hoorain tayar thi. Woh simple si tyar hui thi. Usne white short shirt ky sath white garara pehn rakha tha. Aur chehre py bs halka sa makeup. Aur jewellery usne bilkul bhi ni pehni thi. Bs white phoolon ky 2 gajre dono hathon main pehn rakhe thay. Laikin woh buhat pyari lg rhi thi.

Parlour wali ny ek akhri bar ghor se dekh ky usay farigh kr diya

¡Ay! Esta imagen no sigue nuestras pautas de contenido. Para continuar la publicación, intente quitarla o subir otra.

Parlour wali ny ek akhri bar ghor se dekh ky usay farigh kr diya. Woh bhi mutmaein hogye thi ky usny nikkah ki dulhan achi tyar ki hai. Izma pehly ki tyar thi isi liye woh hoorain ko liye parlour sy bahir aa gye. Driver gari main un ka intezar kr rha tha. Woh dono backseat py beth gyein. Aur gari Mazhar sahab ky ghar ki traf chal pari. Aehtisham, azhar sahab shazia begum aur Ismail ky sath un ky ghar main adhe ghante pehly pohunch chuka tha. Is bare main Izma ko Sadia begum ny call krke btaya tha. Hoorain ki koi dost ni thi yahan is liye Izma ko hi ana tha us ky sath parlour. Mazhar Sahab ky ghar ky darwaze py hi driver ny gaari rok di. Wahan jan pehchan walo ki kafi gariyan khari thiin. Aur kuch bache aur log ander bahir aa jaa rhe thy is liye woh log gaari ander le ky nhi gye. Izma side door sy hoorain ko ander le gye. Woh side ka darwaza seedha seeriyon ky pas khulta tha. Aur wahan se woh log aram se mehmano sy bach ky hoorain ky kamre tk jaa sakty thy jahan uska Nikkah hona tha. Aehtisham aur baaqi sab dulhe ki side wale log lawn main thy. Kyunke function lawn main ho rha tha. Hoorain ka nikkah kamre main hona tha aur us ky baad usne bahir lawn main ana tha. Izma hoorain ko le ky us ky kamre main chali gye. Wahan Sadia begum, Shazia begum, Muqaddas (mazhar sahab ky ghar ky karaye dar) Sabahat aur hoorain ki kuch czns thiin. Hoorain ander aye tou un sab ny beikhtiar MashAllah kaha. Aur uski tareef ki. Sadia begum ny us ky sir sy pesay guzar ky sadqa deny ky liye bhejy. Phir hoorain ko bed py bitha diya. Bedcrown ky satH red colour ky kapron sy decoration hui hui thi. Us ky kamre ko pichly hafte main white paint krwa diya gya tha . Kyunke pink wala paint kafi purana ho gya tha. Aur ab white ky sath red decoration buhat pyari lg rhi thi.
"main zra neechay lawn sy ho ky aye " Izma yeh kehty hue kamre sy bahir nikal gye.
"kitni dair ho gye hogye ap logo ko aye hue? " Muqaddas ny Shazia begum sy poucha.
"ghanta hone wala hoga." Shazia ny ghari ki traf dekh ky jawab diya.
"chalo family main shadi ka yeh bhi faida hai ky dair waghira hojae tou koi masla ni hota" Sadia begum ny has ky kaha.
"han yeh tou hai. Wesy abhi kuch mehman rehty hain. Arham ky parents abhi ni pouche. Aur kuch log bhi rehty hain. Woh sab aajain tou phir shuru krein gy" shazia ny jawab diya.
Arham ky parents Azhar sahab ky samdhi thy. Unka intezar bhi zaruri tha. Woh log Karachi parso hi aagye thy laikin apne hotel sy Mazhar sahab ky ghar tk aty hue woh log kisi traffic main phas gye. Ab un ky aane ka intezar ho rha tha.
5 min guzre hongy jab Izma ki call Shazia begum ko aye.
"ji beta" unho ny call utha ky kaha.
"acha? Acha main ati hun" yeh keh ky unho ny call rakh di.
"Arham ky maa baap aa gye hain. Nikkah shuru hone wala hoga mujhe neechay bula rhe hain" woh khari ho gyein.
"theek hai ap jaen" Sabahat ny is bar unhe jawab diya. Woh kamre sy bahir nikal gyein. Ab kamre main sirf Hoorain, Sabahat,Muqaddas aur uski czns bachi thiin. Sadia bhi Shazia begum ky sath bahir chali gyein.
Kuch dair baad kamre ka darwaza knock hua. Hoorain ki ek czn ny jaa ky drwaza khola. Samne molvi sahab, Mazhar sahab, azhar sahab, Arham, Ismail ,Shazia aur Sadia begum thy. Woh sab ander aa gye. Sabahat aur Muqqadas ny ek red shawl hoorain ky chehre py phela di. Molvi sahab ny nikkah nama us ky samne rakha. Hoorain us py Aehtisham ky sign talash krne lagi. Molvi sahab ny nikkah ky kalmaat parhna shuru kr diye. Kamre main khamoshi chaa gye.
"Hoorain Mazhar binte Muhammad Mazhar kya apko Aehtisham Azhar bin Muhammad Azhar sy nikkah haq mehar 1 lakh rupy sika raej ulwaqt qubool hai? " molvi sahab ny poucha.
Hoorain un ki baat sun ky ek lamhe ruki. Yeh uski zindagi ka sabse bara faisla ho rha tha. Hoorain ny ek lambi sans li.
"qubool hai" usne kaha.
"Hoorain mazhar binte Muhammad Mazhar kya apko Aehtisham Azhar bin Muhammad Azhar sy haq nikkah haq mehar 1 lakh rupy sika raej ulwaqt qubool hai? " unho ny dusri bar poucha.
Hoorain ny shawl ki jaali sy apne baap ko dekha. Mazhar sahab ki nazrein molvi py thiin. Phir usne apni ma ki traf dekha. Woh usi ko dekh rhin thin
"qubool hai" hoorain ny dusri bar kaha.
"hoorain mazhar binte Muhammad Mazhar kya apko Aehtisham Azhar bin Muhammad Azhar sy nikkah haq mehar 1 lakh rupy sika raej ulwaqt qubool hai? Unho ny teesri aur akhri bar poucha.
"qubool hai" hoorain ny ankhein band kr ky kaha.
"yahan dastakht kr dein" molvi sahab usay 2 /3 jagah btane lagy jahan usne pen pakar ky sign krdiye. Hoorain ky hath kamp rhe thy. Usay Aehtisham sy muhabbat zarur thi. Laikin nikkah ka waqt hota hi is qism ka hai ky aksar logo ky hath kampte hain.
"mubarik ho ap sabko nikkah ki" molvi sahab ny aelan kiya aur nikkah nama utha liya. Kamre main mojud sab log ek dusre sy gallay milne lgy aur mubarik baad deny lagy. Hoorain sy bhi bari bari aa ky sab mille.
"mubarik ho. Bilakhir ap hamari bhabi bn hi gyein" Arham ny bhi hoorain ko mubarik bad dety hue kaha. Hoorain has pari. Ahista ahista sab log kamre se bahir nikal gye. Ab sirf woh log reh gye thy jo bilkul shuru main us ky kamre main thy. Ab Aehtisham ny ana tha usay leny. Takay woh dono lawn main jakay sath bethain. Izma bahir hi chli gye thi sab ky baad. Kuch dair baad Aehtisham kamre main aya. Bed py bethi hoorain ki taraf dekh ky woh muskuraya. Hoorain ny bhi usay
muskura kr baghor dekha. Usne white shalwar kameez ky upar white waist coat pehn rakhi thi.
Us ki Darhi kafi achi bni hui thi. Woh buhat pyara lg rha tha.

اقرار (completed) Donde viven las historias. Descúbrelo ahora