chap 10

533 34 16
                                    

Teesri baar phone ky bajne ki awaz aaye tou sister ny phone utha ky screen dekhi " hoorain calling" screen py likha aa raha tha. Ek lamhe ky liye woh screen ko dekhti rahi phir kuch souch ky call uthae.
"hello aehtisham? " dusri taraf se foran awaz aae. Sister awaz sun ky ek lamhe ky liye ruk gae.
"hello? " dusri taraf se phir kaha gya.
"hello mam! Dr aehtisham is waqt OT main hain. Unka phone woh yahan counter py rakhwa gae hain. Ap ki teesri baar call aye tou maine yeh souch ky utha li ky shyd koi emergency hou. " yeh keh ky woh ruki. " koi message hou tou btaiye" usne ab intihae ajzi sy kaha.
"ni message tou ni hai khair ap unko call ka bta dena" hoorain ki dubara awaz aae.
"fine mam zarur" usne phir se buhat izzat se kaha. Dusri taraf se baat sun ky call kat di gae.
Aehtisham ky liye aj 12 bje OT main case tha. Surgery main kam se kam 3 ghante tou lazmi lagne thay isi liye usne apna phone counter py sister ky pas rakhwa diya tha. Hoorain ki musalsal 2 calls py sister ka dehan us taraf aya tabhi usne emergency samjh ky teesri call utha li. Phone rakhne ky baad usne wrist watch py time dekha abhi sirf 2 bj rahe thay. Agar aehtisham ko kam se kam time bhi lgta tab bhi abhi ek ghanta para tha. Sister pursukoon si ho ky baaqi kam dekhne lagi.
_______________________________________
Phone katne ky baad  hoorain ky chehre py bezaari cha gae thi. Woh aehtisham ko kuch btane ky liye kafi excited thi laikin usky busy hone ka sun ky uski excitment kam hogae. Woh phone bed py rakh ky be dilly sy cheezain idhr udhr rakhne lagi. Tabhi drwaza khol ky sadia ander aain.
"hoorain neechay zuha ka phone aya hai sun lo ja ky" unho ny ander aaty hi kaha.
"kiska? " hoorain ny garbara ky dubara poucha.
"zuha ka " unho ny btaya.
"zuha ka telephone py aya hai? " uski awaz main halki si herani thi. "mery phone py pta ni kyun ni ki" woh khud se kehti kamre se bahir nikal gae. Woh koi sawal ni tha isi liye uska koi jawab ni tha sadia begum uski baat sun ky usky peechay kamre se bahir aa gaein.
Hoorain khamoshi se seeriyan utarti neechay aaye aur receiver jou hold py rakha tha usay uthaya.
"hello" hoorain ny kaha.
"han hoorain kesi hou? " dusri taraf zuha ny hoorain ki awaz pehchan ky kaha.
"theek hun main. Yahan se call ..?" hoorain ny jawab dety huwe foran sawal krdiya laikin uski baat khtam hone se pehly zuha ny baat kaat ky khud hi bta diya.
"han yr woh subah phone gir ky toot gya tha. Khair farhan ko kaha hai sham tk naya la de ga" zuha ny apne chacha zad bhai ka naam liya.
"acha "hoorain keh ky ruki. "toota kesy? " usne phir poucha.
"terrace se gir gya "  zuha yeh keh ky hassi.
"acha khair woh... Timings kya hai parso university ki? Chachi ko confirm btani thi" zuha ny poucha.
"trip ki? "
"ofcourse " hoorain ky pouchne py zuha ny mukhtasir jawab diya.
"12 bje hai" hoorain ny btaya.
"ahan acha! Chalou theek hai. Abhi yehi confirm karna tha aur main sham ko aaun gi" zuha ny sath hi sham ko apne ane ka bta diya.
"ok main intezar karun gi" hoorain ny dil se kaha.
"Allah hafiz" zuha ny yeh keh ky phone rakh diya. hoorain bhi phone wapis rakh ky uth gae. Woh trip ky baare main souch rahi thi. Akhir kar university ny students ki requests py ek trip arrange krne ka program bna liya tha. Sare students buhat excited thy. Zuha abhi hoorain sy usi ky liye university aane ki exact timings pouch rahi thi. Zuha ko btane ky baad hoorain ko ek naye sirray se excitment ny aa ghera. Woh kabhi school clg ky sath zyada dur tk nhi gae thi. Is baar first time usay class fellows ky sath jane ka aetefaq huwa tha. Zuha aur hoorain dono hi apni families ko btane ky baad university main naam submit krwa ky kitne hi dino sy 21st ka intezar kar rahiin thiin. Aj 19 thi zuha ki call ky baad se hoorain ko jane ky liye mazeed shouq hone laga.
Woh aehtisham ko isi trip ka bta ky usay karachi bulana chahti thi. Pta ni kyun laikin woh aehtisham sy milna chahti thi. Shyd is ki wajha yehi thi ky woh pichly 2 hafte se karachi nhi aya tha aur us se pichly hafte jab woh aya tab uska samna hoorain sy nhi huwa. Inhi baaton ko souchte huwe hoorain apne kamre main wapis chali gae. Kamre main aaky usne wall clock py time dekha abhi sirf adha ghanta huwa tha. Woh janti thi ky OT main kam se kam bhi aehtisham ko 2 ghante tou lgne thy. Iska matlab tha ky abhi usay sirf intezar karna hai. Us waqt usay koi aur kam bhi nhi tha isi liye woh kaafi bore ho rahi thi. Akhir tang aaky usne bed ky pass para digest utha ky parhna shuru krdiya. Magar jald hi us se tang aa gae. Haqeeqatan is waqt woh cheez se awazar thi. Usne season dekhne ky liye laptop apne qareeb karliya ky shyd us se hi woh behl jae. Aur uska andaza theek nikla. Season dekhty huwe usay waqae phir dubara boriyat nhi huwi. Ek ky baad dusri aur phir teesri woh kaafi dair tk usi main lagi rahi jab tk ky call ki awaz ny usay na chonkaya. Episode pause krke usne phone utha ky dekha.
"Aehtisham" screen py likha aa raha tha. Hoorain ek dum seedhi ho ky bethi. Usky chehre py dheron muskurahat phel gaye.
"salam! " hoorain ny phone uthaya tou dusri taraf se khushgawar awaz aae.
"wsalam free ho gaye ap dr sham? " hoorain ny bhi usi andaz se poucha.
"main busy hi kab tha miss hooray? " dusri taraf se shokh awaz aae.
"han agar ap busy ni thy tou yaqeenan phir woh nusre mujhe taal rahi thi hainna? "
Dusri taraf se hoorain ki baat sun ky qehqa sunae diya. "han sister ko maine hi bola tha k keh dou busy hun warna sir khaye gi mera" Aehtisham ka mood is waqt waqae acha tha. Us nay hoorain ko chirhane ky liye kaha. Jwab main hoorain halka sa hassi.
"acha khair maine sir khane ky liye ni hukm jatane ky liye phone kiya hai" hoorain ny kaha.
"kesa huqm? " Aehtisham ka lehja sawaliya tha.
"kl ap yahan hon dr. Sham" hoorain ny sukoon sy kaha.
"kya matlab? "
"matlab kl karachi aajao" hoorain ny phirse kaha.
"karachi? Kyun " aehtisham ny halka sa heran ho ky kaha.
"kyunke parso maine trip ky sath jana hai 3 din ky liye aur main chahti hun ky kl tum aao" hoorain ny jawab diya.
"aur agar main kahun ky maine ni ana tab? " Aehtisham uski baat sun ky phir chirhane laga.
"tou phir main........ "hoorain kuch souchne lagi. Dusri taraf aehtisham hasne laga.
"main tum se baat hi ni karun gi " hoorain ny ahista awaz main kaha.
"chalou na karna. Aur kuch? " Aehtisham ki shokh awaz phir se aae.
"Aehtisham aajo naa! " is bar uska lehja iltijaiya tha.
"yr dekho ek tou hai kl tuesday hai dusra yahan main leave lun ek dou din ki tou......... " woh usi shokh andaz main apni majboori btane laga magar uski baat khatam hone se pehly hi hoorain ny baat kaat di.
"buhat majboorian hain? Fine na aao" aur kehty hi phone kaat diya. Woh kuch dair intezar karne lagi ky shyd Aehtisham dubara call kare magar dusri taraf se call na aaye. Usne jhunjhala ky phone switch off krdiya
________________________________________

اقرار (completed) Wo Geschichten leben. Entdecke jetzt