chap 7

702 53 28
                                    

8 bajte hi alarm clock ny bajna shuru kardiya. Aehtisham jo gehri neend soya huwa tha ek dum harbara ky utha aur apne mote blanket se haath nikal kr usay band kiya, haath baahir nikalte hi usay thand ka aehsas huwa ,december shuru hogaya tha aur newyork main aaj kl subah ky waqt buhat thand hoti thi. Alarm band kar ke aehtisham ek baar phir kambal orh ky let gya magar 5 min baad hi us nay kambal hataya aur seedha ho gya. Woh ek baar ankh khulne ky baad dubara sota nhi tha kyunke aesay insan pr susti cha jati hai aur susti ko woh kabhi apne upar sawar nhi hone deta tha. Bed se uth kr woh apne kamre ki khirki ky pas gya aur usay khol ky bahir dekhnay laga. Uska apartment third flour py tha aur unchai ki wajah se wahan ka nizara buhat acha tha woh ek lamhe tk khara baahir dekhta raha ,baahir buhat khubsurat nizara tha ,halki si fog main duba huwa masroof sa shehr. Unchi buildings ki windows se nikalti lights aur waqfe waqfe se khamosh roads ki khamoshi ko torti huwi bhagti gariyo ka halka sa shor.

 Unchi buildings ki windows se nikalti lights aur waqfe waqfe se khamosh roads ki khamoshi ko torti huwi bhagti gariyo ka halka sa shor

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aehtisham nay aankhein band krke aik lamba saans liya aur thandi hawa ko mehsus kiya aur phir khirki ko band kar diya. Apne bikhre huwe baalon main hath pherta woh washroom ki taraf fresh hone barh gaya. Adhe ghante baad woh wahan se nikla to kaafi fresh lag raha tha  ,woh seedha mirror ky samne gaya aur apne baal set kiye aur phir kitchen ki taraf barh gaya. Woh koi english song gunguna raha tha ,usnay fridge kholi aur wahan se 2 eggs ,bread aur doodh ki ek bottle nikal li ,abhi usay apne liye nashta bnana tha. Pichli raat ko 12 bje tk ki late shift ki wajah se aaj uski hospital leave thi tabhi woh itna pursukoon ho kar nashta bna raha tha. Taqreeban 15 mins main woh apne liye milkshake aur omelete ka nashta tayar kar chuka tha ,abhi woh stove band kar raha tha ky us kay dimagh main ek yaad aae "wah tum to expert hogae" usky dimagh main maheenay pehly hoorain ka kaha jumla aaya jo usnay usay kabab sahi bannae pr tareef main kaha tha ,aehtisham ky chehre pr muskurahat pehli "main to waqae expert ho gya hun" usay jesay khud se kaha aur nashta karne laga. "Ohh mujhe to mazhar uncle ko call karni thi" usay ek dum yaad aaya. Raat ko jab woh wapis ghar aa raha tha to usay azhar sb ki call aae thi aur unho nay usay kaha tha ky woh mazhar ko call karke alag se mubarik de. Aehtisham ne jaldi se apna nashta khatam kiya aur wapis apne kamre main aa gya  , us nay side table py parha apna phone uthaya aur mazhar sb ky ghar ka number milla diya ,rings jaa rahiin thiin ,Aehtisham nay ek nazar wrist watch py time dekha, 9 bj rahe thy
"Yahan 9 to pakistan main sham ky 5" usnay soucha aur phir phone ki taraf dehan denay laga ,kaafi dair baad call utha li gae "assallam u alaikum" hoorain ki awaz usky phone main gunji ,aehtisham muskura kr reh gya, woh kuch dair ky liye jan kr khamosh raha yahan tk ky hoorain ki awaz dubara aae "hello! Kon?" Aehtisham nay mazhar sb ky ghar ky number pr call ki thi so woh koi bhi utha sakta tha aur aehtisham janta tha ky un ky telephone py name nhi dikhta tha. "Walaikum assallam ,main hun hooray, Aehtisham". usnay muskurate huwe khushgawar andaz se kaha ,woh aehtisham na bhi kehta tab bhi hoorain us ki awaz aur phir khass tor py usky hooray kehnay se usay pehchan leti. "Ohh ... Tum" hoorain nay jesay chonk kar kaha aur khamosh hogae. "Haan main! Don't tell me ky tum mujh se sharma rahi ho" aehtisham nay qehqa lagate huwe kaha.
"Main sharmaon?,aur tum se?" Aehtisham ki tawaqoh ky aen mutabiq usnay buhat bante huwe kaha. Aehtisham ek baar phir hasne laga
"Kesay ho?" Kuch second ruk kr phone py phir se uski awaz aae.
"main theek hun, infact handsome aur tum?"
"Main bhi theek hun infact sweet,cute and pretty " Usnay aehtisham ka  andaz copy krte huwe kaha .
"Astagfirullah ! Itna jhoot madam?"

اقرار (completed) Where stories live. Discover now