Tute dil ki dastak suni kai ek arse k baad. Jab sehnaai unki galiyo me gunji...
Bhool chuke the jis Sawal ko lajawab maan kar. Wahi aaj phir uttha.
Hum apni rah me itna aage chal nikle ki yaad na raha pata unka. Bss ek dhunli si parchhai thi zehan me jo aksar woh Sawal dohtati.
Kya unhe hum yaad he ab tak???
Parchhaiya kaha jawab me yakeen rakhti he. Woh to bss saath chalti he.
Saath chalna saath dena kaha hota he. Agar yu hota to aaj unka jawab hamara dil na todta.
Jawab to woh bohat pehle de chuke the. Phirbhi umeed thi k shayad hame bhi pyar unka naseeb ho.
Aaj jashn k shor ne brahm tod diya. Khuda kisiko usse pyaar na hojaye jiska dil gareeb ho.
Jab pehli baar samajh aaya tha k wo hamare na ho payege. Ek bedard gunaah humse hogaya tha hamari naadaani me.
Nikli thi Baddua dil se na mile unko saath kisika. Jaise unhone muh moda humse koi dil tode unka.
Aaj tak uske liye toba kr rahe he. Shayad unki zindagi ki ye khusi khuda ne hume jawab me di he....
¤¤¤¤¤¤
Dedicated to him ..
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PoetryThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...