Ladai se kyu darti hu me. Dusro ka dil na dukhadu isliye, ya apna dil chhalli na kardu isliye.
Phir sochti hu jawaab du ya na du dil to mera hi zakhmo ki diwaar banta he.
Aaj ye diwar itni mazboot he ki dard ka ehsaas kankar sa lagta he.
Wo kehte he me bewakoof hu jo khud jal kar na bujhne wali aag bujha rahi hu.
Me kehti hu kyun na bujhau, me bss apna ghar bacha rahi hu.
Wo kehte he ye tera ghar nahi jungle he jaha jiski aawaaz unchi ho usika raaj chalta he.
Me kehti me insaan hu jaanwar nahi, pyaar se hi dil pighalta he.
Wo sochte he mujhe bhi lafzo k hathiyaar uthane chahiye.
Unn Hathiyaaro se dil hi tutte he, mera ho ya aur kisika.
Aaj bhi khadi hu bich majhdhaar, aakhir dono tarafse meri hi he haar.
¤¤¤¤¤
Don't want to say anything.
Ba-bye...
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PoetryThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...