As I mentioned in last chapter that I will write next poem according to the competition winner's wish. So here it is.... Thank you Luv@love_is_everywhere for such a cute concept. This poem is dedicated to my Son *smile*
Raat kitna bhi andhera dede apni jholi me.
Thodi si roshni pe hak he har kisika.
Isi roshni ka dusra naam umeed he. Ye jugnoo roshni ka ek chhota sa he zariya .
Isi ki ek jhalak se anjaam-e-behtari ka banta nazariya he.
Humne bhi kai raate dekhi, aisi kaali k andhera sharmaye, aisi ghani ki jungle bhi khaufzyada ho jaaye.
Chalte rahe us andhere me, roshni ka ek ansh bhi na tha.
Chand bhi thak gaya tha hume Sahara dete, chhupa tha wo bhi kahi ghatao k pehre me.
Thokar khate, girte, phir sambhalte, phir chalte . Sochte the kabhi to subah hogi yuhi karte karte.
Dum ghutne laga, paau chhil gaye, dard bardaast na hua to socha zindagi ki rah chhod de.
Tabhi ek halki roshni ne aankho ko sukun diya.
Socha suraj ki kirne na sahi ek tara to haath aaya.
Haath aage badhaya jab use muthi me bharne ko , tab samaj aaya ye to jugnoo he mehnat lagegi use pakadne ko.
Raat khtm ho ya na ho, chand sath de ya na de, kirno ki mushkurahat naseeb ho ya na ho, kuch b ho ya na ho.
Is jugnoo ko to muthi me pakad ke apne ghar ka hissa banayege.
Shisho se saja, roshni se bhara mehel banaye ya banaye, Is khuda ki dain ko apni zindagi ka maksad banayege ..
¤¤¤¤¤¤♡♡♥♡♡♥♡♡
This is really special for me because I have a wonderful gift from Almighty but I'm lil bit annoyed with God because my son deserves better then me.. ..
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PoetryThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...