Haath utha tha unhe rokne k liye. Par muh se aawaaz gumshuda thi.
Keh to diya alwida unhone par khauf hua kya ye salaam aakhri to nahi.
Dhadkan ko bohat aawaaz di k chal pare. Par dil itna sehm gaya bhool gaya zindagi.
Phir pichli baar ki baat yaad aayi. Jab unke zakhm dekh k ro pari thi.
Lab unke dard se sile the bss ungli utha kar ek Taboot ki or ishara kar mushkuraye.
Haath rok liya un bewao ke anaath bacho k aasoo yaad kr k.
Apne par gumaa mehsoos kiya tab. Shukr kiya us khuda ka jisne ek baar didaar-e- yaar to naseeb karaya..
¤¤¤¤¤
Dedicated to all the proud life partners of our Soliders....
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PuisiThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...