This poem is dedicated to my crazy friend Ayush aka Ayushpsc... lol.....
Meri hasi ki wajeh puchh rahe he janaab.
Koi bataye usko wo khud hi he is sawaal ka jawab.
Waise to bade parde pe aksar dekhte he aisi kahaani...
Lekin hakikat me bhi hoti he daastaan ye niraali...
Na zyada kuch kehta he phir bhi gaaliyo ki goliya se marta he..
Kanaah ji ka ans he usme shayad isiliye gopiyo se ghira rehta he.
Ladta he par samajhta he. Sakkar kuch zyada hi is Sondesh me..
Kabhi Kabhi shak hota he chor to nahi saadhu k bhes me..
Aapbiti sunata he kisi farzi naamse...
Dar he use hasege sab shayad uske anjaam pe...
Dekhti hu jab tasveer uski. Masum Muskurahat saji he chehre pe..
.
Khuda se bss dua he ye hasi kho na jaaye duniya daari k pehre me..
Roop badalna, Rang badalna, Badal dena har andaaz apna...
Bss ilteja he tumse Apni rooh ko tabdeeli ki bimaari se bachaye rakhna....
¤¤¤¤¤¤
God bless you..
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PoetryThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...