Yesterday I went to Shopping.
Kaach k pardo k piche jo taare chamakte he.
Unhe paane k iraade humare dil me bhi mehekte he.
Phir sochte he kyu aaj fizul ho wo khusboo. Is attra ko to jasn-e- azadi ke din lagayege.
Ek ek tukda jo sanjoya he use khwaabo k guldaste me sajayege.
Har ek kadam pe ek naya aasmaa nzr bhar deta. Naye naye Sitare aankho ko choka deta..
Har ek aasmaa se humare sapno ka kona sajta.
Ek aasmaa me kai jal taare kuch badi machhli se kuch chhote pyaare.
Humare sapno ki ghadi phir chali jab chote sehzaade ko us badi machhli ki sair karte dekha.
Do teen taare humaare ghar k mehmaano ka Sahara bane.
Do teen humaare mehekne ka bahana bane.
Do teen tare ajeeb se the kehte the waha log, ghar badboo se door rakhna kaam he inka. Jo bekaar bedaam ho nigalna kaam he inka.
Aage kadam badhaya to ek or aasmaa kadmo ka kaalin bana.
Ek kona humare sapno ke ghar ka phir se rangin bana.
Waha the rang be rangi shishe jo taro se chamakte the.
Aag or Pani ko itminaan se sambhalte . Aur the kuch chhote shishe jo pyaas bujhaate the.
Jab jee bhargaya shisho se to kadmo ko zehmat di.
Agla aasmaa kya kahe? ? jo gar laalach ki girhein ho to shaitaan ki fitnat, Or mehnat ki kamai ho to khuda ki rehmat thi.
Dekhe jab pesh kimti taare to dil ko is kami ka ehsaas hua.
Phir dil ki zubaan suni to tang mausam raas aaya.
Sajne k liye ye taare na ho to koi gila nahi bss zindagi jeene k liye humara Sapna hi he kaafi .
Ye taare Ye aasmaa sab aanchal me bhar lenge. Bss dua yahi he.
'' EK MAHAL HO SAPNO KA''
¤¤¤¤¤¤
This time I hv tried something different. As I told above I went for shopping yesterday so this poem based on my dreamy shopping. So whoever will guess all the things I've mention in this poem correctly I will write my next poem according to his/her wish. So all the best.
Ba-bye....
YOU ARE READING
DIL-E-NADAAN.../Complete
PoetryThis is the collection of poems purely from my heart. As my heart is the weirdest thing I have ever came accross. It will be in hinglish (hindi+english) and sometimes in english depends on my heart. Warned you its weird... Want to know to which exte...