CHAPTER 22 SO FAR SO GOOD

1.1K 147 10
                                    

NOTE:- THIS CHAPTER HAS NO DIALOUGES

______________________________________

{ days were passing quickly for ashdeep as they didnt have time. Shoot was becoming tiring day by day, the accidental wedding had put many things at halt, thus to cope up the schedule the shoot had no end. Ayera went off for their honeymoon on 23rd and would get back on 2nd. Lately randeep started staying at ashis for her house was close to sets and there were days when they had 2 shifts each }

[ 31st may ]

Randeeps pov:-

Us raat ko aaj pure 10 din hogaye jab ashi me mujhse confess kiya tha. Sabki life wapas normal ho gayi par meri? Meri to pehle se bhi achhi ho gayi, ashi jo mil gayi. Hume shoot ke alawa zyada time to nahi milta par phir bhi us ke saath hi hu, is baat ki to tasalli hai. Hum aaj kal shoot karte hai, sote hai aur khate hai, hum takeouts order karte hai par ashi kabhi kabhi zid karti hai banane ki phir bhi meri aankhen usse kisi bhi chiz se rokne liye kafi hai. Bahar ka khana to mujhe pasand nahi par ashi ke saath vo bhi achha lagta hai, ab ye to nahi pata ki bhook ki wajah se ya ashi ko itne maze se khate dekhne ki wajah se. sanjay aur Kristina aaj kal zyada dikhte nahi, vo studies mein busy ho gayi hai, aur sanjay uski help karta hai, ha vacations mein aur padhai vo bhi Kristina, sach kehte hai pyaar mein insaan kuch bhi karta hai. Parso ayesha aur raghav wapas aa rahe hai, aur itne hectic schedule mein aadha aadha ghanta usse baat karke bhi, vo is bare mein chup hi nahi hoti, aaj kal meri ashi zyada hi hasti hai, shaayad ayesha ke lautne ki khabar se, ab use nightmares aur scare jerks nahi aate, vo thik to ho gayi hai par use mere bina neend nahi aati, aur ab shaayad ye lifetime chalega, hopefully. Use sote dekho to usme aur 5 saal ke bachhe mein farq nahi hai, aur vo hai bhi, jab mein aaya tha us din teddy pakad kar so rahi thi par ab mein uska teddy hu aur ye best feeling hai. Par abhi bhi ek dar hai, ki hum dono ke parents convince nahi hai, aur jab humne unhe bataya tha to dad ka reaction zyada +ve nahi tha, I mean ashi ke dad.

Ashis pov:-

Jis raat humne ek doosre se confess kiya tha aaj use 10 din ho gaye par abhi bhi us raat ko yaad karke mein khud ko muskurane se rok hi nahi paati, kai bar to log mujhe ghoorte bhi hai , jaise mein pagal hu, par thik hi to hai pyaar bhi pagal banata hai, mein iska live example hu. Humne apne ghar par bata diya hai, nahi shaadi ke bare mein nahi, abhi sirf humare relationship ke bare mein kaha hai aur uspar bhi dad aur papaji ka reaction kuch achha nahi tha, dad ko thoda sa shock laga tha par vo jaldi normal ho gaye the jo wakai mere liye surprise tha warna dad ko to tab tak pura sheher sar par utha lena chahiye tha, aur dad, I mean randeep ke as always calm the, honestly in dono ka ye behavior scary hai, par humari moms kafi khush aur unhone kaha hai, ki vo dads se baat karengi, fingers crossed, I hope vo maan jaye, varna meri aur randeep ki shaadi hona to door hum unse is bare mein baat bhi nahi kar payenge. Randeep ne ayesha ke jane ke din hi mere ghar aakar rehne ka decision liya tha, kyunki aaj kal shoot ki wajah se hume time hi nahi milta, jo milta hai use vo communication mein waste nahi karna chahta, uske mere saath rehne ek baat to bahut achhi hui hai, mujhe is flat mein ab akele nahi rehna padega, 1 saal ki kami mere randeep ne 1 hafte mein puri kardi, par ye ziddi bhi bahut hai, har baat ke liye, kaun kehta hai boyfrnds nahi pati demanding hote hai, mere case mein to ulta hi hai, inhe bahar ka khana pasand nahi par mujhe banana nahi denge, agar mein use har bite par ye na batau ki kitna tasty hai to vo chuye bhi na, kya mujhe pata nahi. Use lagta hai mein nahi samahjti, mujhe nahi pata kya ki vo shoot ki wajah se nahi mujhpe check rakhne ke liye mere ghar par hai par achha hai ki vo mujhe khud dekhe kam se kam is wajah se vo jitna pareshan hua shaayad vo dard kam ho jaye, mein batate thak gayi hu ki ab thik hu par nahi inhe sunni nahi. I know vo mere haath ka khana miss karta hai jo use laga pichle 1 saal se mom banati thi – bhuddhu, vo aaj kal itna thaka rehta hai ki use ye bhi pata nahi chalta ki kai baar mein takeouts nahi apna hi banaya hua khana use deti hu. Use jab mere saath, mujhe pakad kar sote dekho to uske chehre par jo sukoon hota haina, use dekhkar mera guilt kam hojata hai, vo hamesha kehta hai ki mujhe usse complain karni chahiye par kya mein nahi janti ki mujhe jyada vo pareshan hua hai, aur usne to kiisi se is baare mein baat bhi nahi ki andar hi lekar baetha ye sab, aur kabhi nahi kahega, mujhse bhi. Mein genuinely chahti hu vo mujhpe itna to trust kare ki mujhse ye sab keh sake. Ayesha wapas aa rahi hai, apne honeymoon se, aur meri usse zyada baat bhi nahi hoti par mein wait nahi kar sakti use ye batane ke liye ki randeep ne mujhse keh diya hai ki ab shaadi mein zyada waqt nahi hai, im so excited. Hopefully tab tak sab maan jayenge.

---*---

CHAPTER 22 ENDS

ASHDEEP - SOULMATES || ON HOLD ||Where stories live. Discover now