CHAPTER 27 PART 2

769 106 6
                                    

recap:- { ashi kidnap ho gayi - complaint karo - zain aata hoga }

Randeeps house [ 11 pm]

{ raghav and Sanjay brought food, while everyone was in the drawing room, Randeep refused to leave Ashis room so food was taken to his room }

Zain:- Randeep, khana kha le aa

Randeep:- nahi chahiye. Ashi ki kya khabar hai ?

Zain:- vo..

Randeep:- jaldi bata

Zain:- abhi to investigation shuru ho rahi hai, par abhi do ofiicers aaye hai

Randeep:- kya ? mujhe kisi ne bataya kyu nahi aur yahan –

Zain:- kisi ko pata nahi chala shaant hoja, vo log civil dress mein the aur ab aise hi aa sakte hai

Randeep:- to kya hua ? mein baat karu , mein help kar sakta hu ?

{ Sanjay comes}

Zain:- aur phir sabko pata nahi chalega, baat felte der nahi lagegi

Randeep:- to kya karu ? yahan betha rahu. Kuch na karu ?

Sanjay:- Randeep shaant hoja, abhi kuch mat kar, aur phir ashi ka to soch, teri koi harkat uske liye musibat na ban jaye

{ Randeep kicks the table nearby and goes to bed and Sanjay comes to him placing a hand on his shoulder }

Sanjay:- mein samajhta hu, abhi gussa aa raha aur dil mein ek darr hai ashi ke liye par kya isse ashi ka kuch bhala hoga nahi na. mein jaanta hu abhi man kar raha hoga ki bas gayab jau, toot jau shayad kahin se vo shambhalne aa jaye par Randeep tu ye sab nahi kar sakta. Tootna abhi ek option nahi hai, dimag shaant rakh, thoda patience aur thodi himmat bana kar rakh, ye gussa ye darr, ise khud ko control mat karne de

Randeep:- kya karu samajh nahi aa raha, pata nahi vo kahan hai, kis saath hai, darr lag raha hai yaar bahut darr

Sanjay:- jaanta hu par ye sab ashi ke baad vo ghar aa jaye phir tu rolena man bhar ke par abhi abhi himmat rakhni hai- sabko, sans le

{ Randeep tried to keep the tears trapped, and took deep breaths }

Sanjay:- ha bas, ye le { he makes Randeep drink water} ab khana kha le

{ he takes plate from zain to feed him}

Randeep:- nahi

Sanjay:- abhi samjhaya na

Randeep:- ha aur mein sab karunga jo ashi ke milne ke liye zaroori hai, par mujhe nahi khana, ye jane bina ki usne khaya ya nahi, kaise kha lu

Sanjay:- ab tu zid kar raha hai

Randeep:- pata hai, par ab khana to uske haatho se hi khayunga, warna nahi

Zain:- par yaar-

Randeep:- kaha na

Sanjay:- tu kya chahta hai bhabhi aake mere peeche dande leke bhaage ki tune khana nahi khaya ?

Randeep:- ha, agar isse vo jaldi aa jayegi to ha, use dhoodho aur jaldi karo plz

{the plead in his voice defeated the attempts, Sanjay and zain left the room. Randeep looked at the bed which was neatly made, with a teddy bear in the midde of the cushions. He holds it in front of him }

Flashback:-

{ ashi was sleeping with the teddy when he came in }

Randeep:- tum iske saath kyu so rahi ho ?

ASHDEEP - SOULMATES || ON HOLD ||Where stories live. Discover now