Dosti Se Zyada, Payaar Se Kam...Aise The Hum

445 11 11
                                    

Khuch soch ke bola hoga tumne,
Ye payaar bhi tola hoga tumne,
Ab na hai to , phir na sahi dilbar,
Iss dil ko ye samjha liya hamne,

Isme tera ghata,
Mera khuch nhi jata,

Zayada payaar ho jata,
To main seh nhi pata...

Kehte hain first love is the true love. But mere case mein bilkul ulta hai...

"Cozy cafe" mein koi bhi nhi tha. Cafe open tha but barish ki wajah se pura cafe khali pada tha.

Window ke paas wali table pe sar rakhe main ro rhi thi .

Aaj itne saalon ke baad, usi ki wajah se dobara aakhon mein aasun agaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aaj itne saalon ke baad, usi ki wajah se dobara aakhon mein aasun agaye.

Pehla payaar insaan kabhi bhula nhi sakta, but not in my case.

Lucknow se to uski kitni yaadein judi hain.

Jab ASI (Archaeological Survey Of India) ne mere ko training ke liye Ahmedabad bheja tab maine socha tha ki shayad naye sheher mein koi naya payaar mil jayega, but agar life complicated na ho to life hi kya.

Main to vaise bhi dating aur flirting mein zero hoon aur na jaane kis bewakuf ne kaha tha ki naye ladko se milne ke baad main usse bhul jaungi.

Main ek archaeologist hoon aur agar past ko hi bhul jaun to kahe ki archaeologist.

To Lucknow se Ahmedabad main aur Ruhi aye . Ruhi Dixit meri college friend thi aur usne meri aur "uski" kahani ko bade karib se dekha tha.

Main , Ruhi aur Nitya flatmates ban gaye. Life was fun, although "uski" bhout yaad ati thi , until that day , jab Nitya ki mulakat Kunal Arora se hui.

Kunal to mujhe shuruwat se hi nhi pasand tha . Ruhi ko bhi lagta tha ki Kunal ek number ka matlabi aur opportunist hai .

Mujhe Nitya mein vo purani "Varsha" dikhai deti thi.

Finally jiska dar tha wahi hua .

Kunal ne Nitya ke sath breakup kar diya.

Aur mujhe phir se wahi sab yaad ane laga.

******************************

Cafe aye pure 2 ghante ho gaye the. Shaam ke 4 baj gaye the. I was not alone . Mere samne Nitya baithi thi aur tesri chair par Ruhi baithi thi.

Hum teeno ke alawa wahan par koi aur nhi tha.

Cozy cafe is one of my favourite spot in Ahmedabad so Ruhi aur Nitya mere ko dhundne ke liye sidhe cafe agaye.

We were silent.

Finally Nitya broke the silence," Tumne kabhi mujhe bataya kyun nhi uske baare mein?".

I looked at Ruhi. Usne mujhe Ishara karke bataya ki Nitya ko "uska" naam nhi pta.

She only know that there was someone.

"I am sorry Nitya...",

"Okay...I will forgive you ...only if u tell me everything..."

I sighed.

Of course, she needs to know.

" So now tell me about your boyfriend..!!"

"He was not my boyfriend!"

Shock was visible on her face.

I smiled and said," yaar bade ajeeb the "hum"...Tha khuch hamare bich...samajh lo ki jo bhi tha hamare bich vo normal to nhi tha.....Dosti se zyada, payaar se kam,aise the hum...."

©My Last Love ✔️Where stories live. Discover now