"Baap re...8 baj gaye !!", Ruhi exclaimed looking at her watch.
Nitya aage ki kahani sunna chahti thi but abhi ghar jaldi pahuchna zyada zaruri tha.
Maine cab book ki aur hum teeno cafe ke bahar khade cab ka wait karne lage.
Nitya aur Ruhi aapas mein khuch baatein kar rhe the par mera dhayan kahin aur tha.
Ajeeb lagta hai. Pehli baar mile tab ajnabee the, phir dheere dheere ajeeb se dost ban gaye aur ab achanak se phir se ajnabee ban gaye.
Jab alag hona tha tab mile hi kyun ???
"Varsha !! Kya soch rhi ho?? Cab agai.. chalo", Ruhi boli.
Main chupchap window ke side baith gai.
Cab driver ne radio on kiya aur shayad radio jockey bhi jaan gya tha ki aaj Varsha Sinha barish ke mausam ke jaise barsane ke mood mein hain.
Mere favourite youtuber, Bhuvan Bam ke song Ajnabee ne jaise un yaadon ko aur bhi zyada taza kar diya.
Bheed mein sath mein chalte the,
aur abhi ....kho gaye
Itne the paas hum ,
aur ab ajnabee ho gaye...Barish ki khuch bunde khuli khidki se hote hue mere chehre par arhi thi.
Adhe ghante baad hum ghar pahuch gaye. I was damn tired isliye main sidhe apne room mein sone chali gai. Par neend to bhout dur thi. Aakhein band karte hi Nitin ka chehra dikhai de rha tha.
Pta hi nhi chala ki main kitni der tak karwate badalti rahi.
Maine time check kiya. 12:30 AM.
Shit man!! Main living room mein agai. Nitya aur Ruhi so rhe the.Main chupchap sofa pe so gai.
*****************************
Kitne dino ke baad college akar kitna accha lag rha hai.Purane dost. Khubsurat yaadein.
Main apne doston ke sath apne favourite spot matlab classroom mein masti kar rhi thi.
Aisa lag hi nhi raha ki hum sabko alag hue 3 saal ho gaye.
"Varsha!!" ....I remember this voice.
God my name sounds so good.
He is same. Wahi charlie Chaplin jaisi moustache, wahi puppy dog eyes, wahi heart melting smile.
Usne apne arms spread kiye, main baby steps lete hue uske paas ja rhi thi.
Yes this is the moment I was craving for. His warm hug.
I love you Nitin.
We were about to hug jab achanak se ek dhamake jaisi awaz hui and I fell down.
****************************
Ouch!!!Main zamin par zor se giri. I sat on the sofa and glared at my phone.
That stupid alarm!!
Thoda der se nhi baj sakta tha.
I looked around and realised ki last night main sofa par hi so gai thi.
Subah ke 4 baje the. Well I am a morning person. Pta nhi kyun mujhe itna Ajeeb lag rha hai .
I know this gut feeling.
Khuch to hone wala hai......
YOU ARE READING
©My Last Love ✔️
General FictionCopyright Declaration- Text copyright © ancient_diaries 2020-2021 The moral right of the author has been asserted. All rights reserved. These stories are published subject to the condition that it shall not be reproduced or retransmitted in whole or...