Nuksaan ka Hisab

122 11 29
                                    

Saanchi opened her eyes in a dimly lit room. The room looked cozy but simple. She instinctively knew this was her Sati's room. She managed to get up to find Rudra sitting on a rocking chair but he was looking out of the opened window, lost in his thoughts.

Saanchi: Rudra, soye nahi beta aap? Sati ki fikr ho rahi hai? Theek hogi woh, uski fikr mat karo. Meri beti lagti Pagli hai... par hai nahi. Plus yeh uski kismat hai ke woh...

Rudra: (Turned his face to look at her) Yeh uski kismat hai ke woh humesha apno se hi chot khati hai, dhokha khati hai... aur haske seh bhi jati hai. Pagal jo thehri...

Aapko pata tha ke usko mere bare mein sab shuru se pata tha?

Saanchi: Haa pata tha... woh aisa hi chahti thi. Hum dono chahte the ke Romendra Sir ka parivaar ek ho jaye. Par usse bhi pehle se humen aap ki aur Simran Ma'am ki security ke liye aap ki activities ko loop mein rakha tha. Aur pichhle 6 saalo mein IB ki planning, Spy managements, strategic stances, negotiations with double agents lag bhag sari cheezo ko Sati hi manage karti rahi hai.... Aapke Baba ke liye.

Rudra: (sat there in shock) Iska matlab she knew about me since the moment I applied for the IB recruitment.

Saanchi: Haa... use sab pata tha...

Rudra: (swallowed) Toh kya use mere ashram pahuchne se pehle mere mission ke bare mein bhi pata tha?

Saanchi: (smiled sadly) Ke tum use assess karne aa rahe ho... yeh sabit karne ke liye aa rahe ho ke woh IB mein kaam karne ki kabliyat nahi rakhti... much less Director banne ya, tumhare Baba ki Succesor banne ke? Haa sab pata tha...

Use tumhari aur Digvijay ki deal ke baare mein bhi pata tha. Aur yeh ke Digvijay ne hi tumhe IB mein recruit hone ke liye kaha tha. Aapke ghar phones tap ho rahe the. Yeh Intelligence Bureau ka rule hai. Khas kar aisi families ka phone tap kiya jata hai jaha humare employees and unke family members ke beech kisi tarah ka conflict ya discord chal raha ho. I am sorry. Humen ek aise hi ek random call tumhare ghar ke landline mila some 4 saal pehle. And then ....

Par Sati ke liye IB ke positions kya maine rakhte hai mujhe pata nahi. Main 6 saalo se usse mili nahi. Aur coded messages are hardly places to talk in detail about aspirations and dreams. Main jab gayi toh 14 saal ki thi woh. Bohot zyada cheeze nahi samajhti meri Sati, par rishte samajhti hai. Tum uske Baba ke ladle bete ho yeh kafi hai uske liye. Woh kabhi tumhe nuksan nahi pahuchayegi aur na kisi aur ko tumhe nuksan pahuchane degi.

Rudra: (started to laugh hysterically) Nuksaan... nuksaan. Aapki beti mujhe barbaad kar ke chali gayi. Aap soch bhi nahi sakti main aaj kaha khada hu. Zindagi bhar apne ghutno pe baithke gidgiraunga to bhi yeh nuksaan pura nahi kar paunga.

Jis ladki se bina soche samjhe mujhe pyar hogaya, jis ladki ko badnaam karne, todne ghar se nikla tha, jis ladki ke saath mujhe zindagi is jhoot ke saath bitani thi.... Uss ladki ko mere aane se pehle hi pata tha ke main use barbaad karne aa raha hu. Aur woh charo or dosti ka, pyar ka, masoomiyat ka, apni sehn shakti ka aisa jaal bun ke gayi hai ke main chah ke bhi use kabhi tod nahi paunga. Aise log... mere jaise mamuli, dhokebaaz, mitti mein rengne wale kido se battar log apni baki zindagi jeete kaise hai yeh batayengi mujhe Saanchi Maa?

Kaise Jeete hai mere jaise log? He held his bowed head in both his hands and sat there crying his heart out silently.

Titilating CatharsisWhere stories live. Discover now