Childhood memory

226 20 4
                                    

Vyom: Nahi Vyom! Bilkool nahi. Dur reh Sonakshi Basu se.

Rubina: Kal chalte hai kya?

Rehan: Ha actually! Chuti bhi hai and it's been a long time since we went somewhere together.

Raj: Yes I am in.

Rohan: In.

Riya: Of course in.

Vyom: I am out. (immediately)

Rubina: Kyu?

Raj: Oye jyaada natak na kar, tu araha hai.

Rohan: Exactly, duty ke time hum teri sunte hai. Ab tu humaari Sun.

Vyom: Are mein Mr. Oberoi ke gharpe kal lunch ke liye jaa raha hu.

Everyone: What (screams)
.
.
.

Sonakshi: Papa (screams)

Bijoy: Sona...wo

Sonakshi: Kya wo? Apne usse lunch ke liye kyu bulaya? Wo hai kon? Kyushu itna pyaar jata rahe ho uspe?

Bijoy: Mere best friend ka beta hai wo aur tere bachpan ka dost.
.
.
.

Vyom: Aur isiliye mein jaa raha hu.

Riya: Oh so tumhare dad achese jaante hai unhe.

Vyom: Haa aur mein bhi.

Rubina: Matlab Sonakshi ko tu bachpan se jaanta hai.

Vyom: Well nahi. Bas ek baar hi mile the hum. Fir wo shift hogayi.

Raj: Kab mile the.

Vyom smiles as he recalls.

Flashback

A small girl of about four to five years was crying sitting on the stairs. A boy around her age came and sat beside her. The girl looks at him with teary eyes.

Boy: Tum ro kyu rahi ho?

She doesn't say anything. The boy shows her a big chocolate. The girl smiles and reach out for chocolate but the boy hide it behind him.

Boy: Pehle batao kyu ro rahi ho?

Girl: Momma bohot bimaar hai. Wo kehti hai ki wo mujhe chodhke chali jaayegi

Vyom: Meri bhi momma nahi hai.

Girl looks back in the big Villa and points at a lady who was sitting beside Mr. Oberoi.

Girl: Toh wo kon hai?

Boy: Wo meri dusri Momma hai. Tumhare Papa bhi dusri momma leke ayenge.

Girl: Par mujhe meri momma chahiye, dursi momma nahi (she cries)

Boy: Acha ro mat. Tum rogi nahi toh mein tumhe chocolate dunga.

Girl wipes her face and asks for chocolate. He gives her chocolate.

Mr. Oberoi: Vyom!

Boy: Aya mein.

Girl: Vee om. Kitna cute name hai. Friends?

She held her hand out little Vyom gladly takes it.

Vyom: (smiles) Friends! Mein kal khelne aunga tumhare saath.

Girl: Par mein toh aaj nani ke ghar jaa rahi hu.

Vyom: (sadly) Toh tum wapis kab aaogi?

Girl: Kabhi nahi. Papa ne kaha mein wahi rahungi. Aur hum ye ghar chodh denge.

When Vyom Met SonakshiWhere stories live. Discover now