(Neil ka ghar)
(Usse Ketan Sir ka phone ata hai)
Neil: Ha sir, thik hai sir.
Ali: Aao bhau chai taiyaar(ready) hai.
Neil: Abe band baj gayi meri.
Ali: Kyu kya hua?
Ne: Aarre woh Avni haina....
Ali: Kon?
Neil: Aarre wo teacher ji.
Ali: Oh ha, par aap toh unhe baiko bulate ho na.
Neil: Ha par humara jhagda hua, toh isi liye jab tak wo sorry nahi bolti tab tak baat band, milna band & baiko bula na bhi band hai.
Ali: Aarre wah Mubarak ho.
Neil: Abe jhagda hua hai ladka nahi, Mubarak baad kyu?
Ali: Nahi matlab pehle pyaar ki pehli ladayi hui hai na isi liye.
Neil: Abe isi wajh se kaand ho gaya hai.
Ali: Kyu?
Neil: Avni Ketan sir ki bhanji hai.
Ali: Ka??!!!
Neil: Ha, aur pata hai unhe pata chal gaya hai ki koi unki bhanji ko pareshaan kar raha hai toh ab woh chahte hai ki mai uss gunde ka pata lagau aur unhe batau.
Ali: Yeh toh sach meh kaand ho gaya.
Neil: Soch unhe kaisa lagega jab yeh jannenege ki unki bhaanji ko koi aur nahi unka kaabil officer hi pareshaan kar raha hai.
Ali: Toh aap toh gaye.
Neil: Abe aur mat dara. Oye ek baat toh mai puchna hi bhool gaya.
Ali: Kya?
Neil: Yahi ki tera kya scene chal raha hai Ria ke sath?
Ali: Kya aap bhi bhau.
Neil: Aur kya! Mujhe apni bike chune nahi deta aur usse pura Mumbai ghuma raha hai.
Ali: Nahi bhau aisa nahi hai, main use lift deta nahi wo khud le leti hai. Puchti hai mujhe chod doge, kuch bolu usse pehle hi wo baith jati hai, mai kya karu.
Neil: Olelelele kitna bola hai mera bhai.
Ali: Waise bhau mai do din ke baad na Puna ja raha hu, aatya ke bete ki shaadi meh toh zara sambhal lena yaha.
Neil: Yaha kya hai? Oh acha matlab Ria ka dhyaan rakhu, thik hai rakhunga, teri Riaa ka dhyan. Waise paanch din tera jia kaise lagega Ria ke bina.
Ali: Kya aap bhi bhau.
(Two days later)
(Avni ka ghar)
Avni: Kya hua Ria itni sad kyu hai?
Ria: Ali apne cousin ki shadi me gaya hai, ab mera kya hoga?
Avni: Matlab?
Ria: Aarre shaadi meh setting ke chances jada hote haina yaad nahi mere sare ex shaadi meh hi toh pate the.
Avni: Ria, Ali sidha hai, kuch nahi hoga aisa.
Ria: Ha yeh bhi hai. Waise Neil aur aapki baat hui?
Avni: Nahi do din ho gaye, dikha hi nahi.
Ria: Di usse manao jaake kyu ki kal uski jaroorat hogi.
Avni: Kyu?
Ria: Woh kuch ladkiyon ke gunde baap unhe padhne nahi de rahe, toh kal waha jake unhe samjhana hoga. Aur isi liye we need Neil.
Avni: Toh tu jaake baat kar usse.
Ria: Woh mujhse nahi aapse rutha hai isi liye aap jao, aur wo bhi abhi.
Avni: Fine.
(Neil ka ghar)
Neil: Yaar do din ho gaye Avni ko dekha tak nahi, upar se Ketan sir aur piche pad gaye hai ki woh gunda dhundo, aare woh gunda bhi unke uss chirkut ladke se behtar hai.
(Knock knock)
(Darwaja khola Neil ne)
Neil: Tum yaha? Kyu?
Avni: Andar toh bulao.
Neil: Aao...
Avni: Naraz ho?
Neil: Nahi bada khush hu ki tum...khair yaha kyu ayi ho woh bolo.
Avni: Tumhari help chahiye.
Neil: Kya help?
Avni: Woh kuch bacchiyo ke baap unhe padhne nahi de rahe toh kal unse baat karne jana hai .
Neil: Toh jao na, mai kya karu.
Avni: Woh bacchiyo ke baap gunde hai toh....
Neil: Oh toh gunde se help lene aayi ho, thik hai shareef insaan ye gunda aa jayega aapki help karne.
Avni: Neil aise baat kyu kar rahe ho?
Neil: Toh kaise karu? Waise jaise aapne ki thi uss din? Kal aa jaunga ab jayiye yaha se.
Avni: Thike hai. Subah 9 baje, camp meh.
(Avni waha se chali jati hai)
Avni P.O.V
Neil ne aj tak aise kabhi baat nahi ki mujhse, par maine jo kaha gusse me kaha tha. Par mai itna soch kyu rahi hu, wo kal help ke liye aa rha hai bas yahi kaafi hai, baki mujhe usse kya, ha yahi sahi hai. Avni khud ko control meh rakh yaha Neil ke chakkar meh tu apne banaye hue rules nahi tod shakti.Neil P.O.V:
Kya hai tujhe Neil, kitna gussa kiya bechari par, lekin usne bhi toh tera dil dukhaya tha lekin tu kya ab usse badla lega, nahi yeh thik nahi. Waise kya sahi kia maine ha bol ke, ha bilkul kia ab narazgi Avni se hai toh un bacchiyo ko kyu saza dena, unke future ka sawal hai. Avni ki wajh se mai unke sath galat toh nahi hone de shakta tha na. Ha yahi sahi hai.~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Hope you guys like the chapter.
Please vote and comment .
~Riddhi ❤