Budh (Wednesday) ka din, subha saweray ka waqt tha, sooraj nikalne mein abhi waqt tha magar halki roshni charoun taraf pehli thi. Aasman mein gehre kaalay badal jamay hoye thay, iss baat ka ishaara kartay hoye k kuch daer mein shayab baarish honay wali thi.
Salaar narangi hoodie k topay se apnay sarr ko dhakay hoye London k khaali aur sunnati gallioun mein apna raasta banaraha tha. Peechli raat ki baarish k baiz thand mein thora izaafa hogaya tha aur sarkein abhi bhi numm thein. Saari dukanein ya toh band thein ya khulnay jaarahi thein. Uske sarr mein sirf eik hee cheez thi. Aur iss safar ki manzil? Daniya ka apartment.
Uske apartment k sufaid darwazay k saamne woh wapis kharra tha, aese k uski pisht darwazay k saamne thi, aur apne dayein bayein raasta saaf honay ka intezaar kar raha tha. Jab chand lamhay baad kisi k aanay k na aanay ka yaqeen hoa, woh foran murra aur apni hoodie k jaib mein se pin nikal kar lock ko kholne ki koshish mein lag gaya, 6 androoni pins ko khiskao aur phir click — bingo! Click ki awaaz ayi aur usne handle daba kar darwaza khola aur foran andar ghus gaya aur jitni khamoshi se hosakta tha darwaza band kiya.
Woh tayyar tha. Yeh kaam gair qanooni tha har lehaaz se magar iske illawa koi chara bhi nhin bacha tha.
Woh sab se pehlay kitchen ki taraf barha. Baari baari usne tamam cabinets khol kar usmein kuch taalash kiya. Woh nhin jaanta tha woh kiya dhoond raha tha, bas koi bhi mashkool cheez, koi iss musibat se nejaat ka sirra ya surrakh miljaye. Kitchen ka kona kona chaan maarke woh uskay bedroom mein barhgaya. Uskay closet se shuru hokar uske bistar ki neechay tak usne wahan bhi har cheez, har kona chaan maarliya tha magar wahan bhi kuch nhin tha.
Aese hee kar kar ke usne apartment ka har kamra dekhliya. Guestroom, bathroom, storeroom har kamra usne chaant liya tha. Ab woh haar maanay aur thakka thakka apni qamar par haath rakha lounge mein kharra tha. Usko aye hoye kaafi daer hogayi thi aur agar woh ab na nikla toh woh barri musibat mein phas sakta tha. This was a complete waste of time and energy, khaam kha mein itna waqt — woh apni jagga par kharray ghar ko dekhte soch hee raha tha jab uski nazar eik cheez par parri, yeh kiya hai?
TV jis stand par rakha tha bazahir woh eik table lagrahi thi magar uskay chorray hissay k konay mein eik crack tha jo sirf gorh karne par hee nazar aasakta tha. Salaar uss table ke saamne ghutnoun k bal ja betha aur uss crack mein apni ungliyaan ghusa kar zorr laganay laga aur tabhi woh achanak se khiska jiske baiz Salaar bhi halka sa baazu k bal zameen pe girra. Woh sliding door tha jo k table se milta tha taakay nazar na aye. Secret spot!
Andar eik neelay rang ka duffel bag rakha tha jo bharra hoa aur bhaari lagraha tha. Salaar ne uskay handle pakar k kheencha magar woh itna barra tha k bohat mushkiloun se nikalna toh door ki baat, khisak raha tha aur jab nikla toh Salaar zameen par peet k bal gir gaya tha aur woh bag dosri taraf khulgaya tha, andar rakha saaman bahir bikhar gaya tha. Aur barwaqt uski aankhein bhi phat gayein thein.
Woh apnay dayein haath k saharay thora uchka toh usne apnay barabar mein pehlay paisoun ki gaddi dekhi aur uskay saath saath bikhrne wali ashiyaat. Sufaid powder k dher saaray pudday. Drugs? Yeh drugs deal karti hai?
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
RomanceQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...