F E B R U A R Y — one year ago
Woh apna samaan samaitay uth kharri hoi. Usne jaise hee bag mein saara samaan daal kar usko band kiya, Salaar ne uskay haath se bag lekar apnay kandhay par daaldia aur darwazay ki jaanib barha. Woh uskay peechay, undono ko muskurahat k saath dekhte hoye logoun se nazarein bachaati hoi aarahi thi.
"Ma'am!", usse pehlay k woh darwazay se baahir nikalti usko peechay se kisi ne awaaz di. Woh wohi waiter, wohi guldasta liye uski taraf barh raha tha, "Your bouquet!"
Inshyrah ne woh guldasta pakarliya aur usko sounga, jiske baaiz uska dil thora halka hoa. Usne uss waiter ko muskuratay hoye shukariya adaa kiya aur Salaar ki gaari ki taraf barh gayi.
• •✽• •✽• •✽• •✽• •
Woh gehri soch mein ghoom Salaar ki taraf hee dekhrahi thi, jo kaalay chashmay aankhoun par bethaye, eik haath se maharat k saath gaari chalanay mein laga tha. Woh dono aese hee khamoshi mein bethay thay.
"Kiya zayada acha lagraha houn aaj?", Inshyrah chaunk kar apni soch se baahir ayi aur Salaar k chehray ko dekha jo k abhi bhi saamne road ki taraf tha.
"Nhin, aesa kuch nhin.", Inshyrah ne seedha hotay hoye, buz buzz hokar kaha.
"Toh kiya nhin lagraha?", Salaar ne shrarat bharri muskurahat k saath uspar eik nazar daali. Inshyrah ko ahsaas hogaya tha k woh uskay saath iss waqt shrarat k mood mein tha, yeh insaan bhi na.
"Jo tum sochna chaho.", Inshyrah ne apnay seeshay se bahir dekhte, apnay haath baantay hoye kaha. Salaar ko uski awaaz mein chirr chirahat mehsoos hoi aur woh halka sa sanjeeda hogaya.
"Abhi bhi naraz ho?"
"Kioun? Nhin hona chahiye?"
"Nhin hona chahiye, magar banday ki absence mein. Unkay saamne nhin, kiya pata kal woh houn na houn."
"Achi baat bhi bol liya karo!"
"Mein ne kiya kehdiya?"
"Har waqt marne maraanay ki baatein karnay se na koi hass raha hai, na koi cool bansakta hai!", Inshyrah ne behadd sanjeedgi se kaha aur Salaar usko hairat se dekh raha tha. Yeh woh larki thi jiske saath woh bachoun ki tarah phirta tha? Agar thi, toh aaj bilkul nhin lagrahi thi.
Gaari mein sanjeedgi kam karne ki koshish mein Salaar ne apna galla saaf kiya, "Marne ki baat thori kar raha tha! Mera matlab tha barabar mein houn ya nhin. Kiya pata mein kal Pakistan chala jaoun aur mera phone chorri hojaye? Tab kese baat karogi? Khaamkha mein matlab idhar se udhar legayi tum!"
"Jee bohat achay se matlab samjhi mein aapka!", Inshyrah ne ussi lehjay mein jawaab diya aur baahir dekhne lagi.
"Acha yeh choro, I brought you something!", usne gaari ko sarak k beech mein roka aur seat k peechay se eik kaghaz ka thella nikaaltay hoye wapis seeda hoa. Usne muskuratay hoye woh thella Inshyrah ko pakar waya aur gaari ko wapis start kartay hoye chalanay laga. Inshyrah ko hairat aur confusion k saath dekhne lagi aur phir usne halkay se woh packet khola aur andar jhaanka.
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
RomanceQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...