Garri eik taqreeban khalli sarak par andhere mein chalrahi thi. Halki boundein windscreen par gir rahi thein aur waqtan tez hawa se raastay mein lagaye darkht halkay se jhoomtay. Woh dono khamoshi mein hee bethay thay. Salaar ki nazarein waqtan apnay barabar mein bethi larki par partein magar woh apni duniya mein hee ghum, sheeshay k baahir dekhrahi thi.
Inshyrah na chahtay hoye bhi aaj jo kuch hoa uskay baaray mein sochti jaarahi thi. Uska dehaan iss cheez se hatti nhin raha tha. Agar Salaar wahan na pohanchta toh na jaanay woh kiya kar beth ta. Toh phir Inshyrah kiya karti.
Woh apni sochoun ki duniya se bahaar ayi jab usse mehsoos hoa k gaari ruk gayi hai. Usne apnay barabar mein dekha toh Salaar apni belt kholta driving seat se utarr gaya tha. Usne bahar dekha toh woh dono eik store par aakar rukay thay aur Salaar jaldi se andar ghuss gaya tha.
Kuch hee minute baad Salaar eik thelli liye bahaar aaya tha aur baarish ki bondein, jo ab tezzi se baras rahi thi, se bachta bachata gaari mein wapis aa betha. Usne bagair kuch kahay thelli kholi aur paani ki bottle Inshyrah ki taraf barhayi jo k Inshyrah ne binna kuch kahay usse narmi se leli. Foran bottle letay hee usne uska dhakan khola aur eik hee saans mein aadhi bottle khatam kar bethi.
Salaar ne agli cheez eik ointment aur patti nikaali thi. Usne Inshyrah ka baayan haath apni taraf kiya jis ki kaalayi par neel par raha tha aur saath mein eik zakham bhi pargaya tha. Inshyrah usko dekhti rahi, kaise woh dehaan se uska zakham saaf karke uspar ointment lagaraha tha aur phir ahista se uskay upar patti lapayti thi. "Dard toh nhin horaha?", woh chaunk gayi thi toh dekha Salaar usse sanjeeda lehjay mein poochraha tha jiske jawaab mein usne naffi mein sarr hiladiya.
Woh wapis seedha hokar beth gayi thi aur ab Salaar ne eik sandwich uski taraf barhaaya tha, "Yeh khaalo. Patanhin kab se tum ne nhin kuch nahi khaya."
Inshyrah ne eik nazar uspar daali, phir seedhi hogayi aur halki awaaz mein kaha, "Bhook nhin hai."
"Inshyrah khaalo! Aese tumhari tabiyat kharab hojayegi, nuqsaan sirf tumhara hee hai.", Salaar ne sandwich uskay haath mein thamaya aur thelli se eik juice nikaal kar uskay saamne rakh diya.
Inshyrah mein waqai himmat nhin thi k woh usse behas karay toh usne khamoshi se sandwich ko khola aur bagair kuch kahay eik bite leliya. Woh ab wapis bahar dekh rahi thi magar Salaar ki nazarein sirf uspar hee thein.
"Itna mat socho. Jo hogaya so hogaya! Khaamkha mein dil kharab hoga aur dimagh bhi. Ab tumhein aagaye ka sochna chahiye.", Salaar ne haath arm rest par rakh kar uski taraf halka sa murra.
"Aagaye sochne ka kiya hai?", Inshyrah ne madham awaaz mein usko bagair dekhay bola.
"Aagaye bohat kuch hai. Aaj jo hoa, usse bhool jao. Kal kay sooraj k saath dobara se apni zindagi wesay hee guzaaro jaise chand ghantay pehlay guzaar rahi thi, tension free aur hassi khushi. Woh ab ainda tumharay paas bhatkay ga bhi nhin, yeh meri guarantee hai. Agar aaya bhi toh mene uski taangein torh deni hain."
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
RomanceQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...