24.

688 39 205
                                    

Shaheer sahab file mein pages ko parh rahay tha jab uska phone baja

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Shaheer sahab file mein pages ko parh rahay tha jab uska phone baja. Papers se nazarein hataye bagair unhoun phone uthaya, "Jee?"

"Sir, Dawar Mirza sahab aye hain. Bheijdoun?", uska naam suntay hee Shaheer chaunka aur nazarein phone ki taraf kein, Dawar Mirza ko kiya kaam parr gaya?

"Jee, bheijdein.", muhtaat andaaz mein kehtay Shaheer sahab ne phone wapis rakha aur files ko band karke kinaaray kiya aur seat se tayk lagaye qalam ko hountoun pe tikkaye woh darwazay ko dekhne laga, Dawar Mirza yahan kioun ayega aakhir?

Dawar Mirza ki business world mein bohat shohrat thi, tabhi barray se barra ya chotay business man bhi Dawar Mirza k naam se waaqif thay. Kuch uskay achay kaam ki wajah se aur zayada tarr burray.

Yeh raaz ki baat nhin thi k Dawar Mirza gair qanooni kaamoun mein mulawas tha magar kisi thoss saboot na honay ki wajah se aaj tak yeh araam se ghoom rahay thay. Kuch saal qabal, hasad aur power ki jang k baiz inka barra beta apni jaan kho betha tha. Apnay waaris ko khonay k baad seedhay raastay par aanay k bijaye woh mazeed ruthless hogaya, aur khoon ke badlay khoon se apna inteqaam liya. Apnay betay ki jaan k badlay inhoun ne dushman k pooray khaandan ka qatal karwadiya tha.

Magar yeh baat aaj tak sach saabit ho nhin saki. Dawar Mirza apna kaam kartay rahay aur jald hee yeh baat dabb gayi. Sahi hee kehtay hain log, paisa barri taakatwar cheez hai. Achay achoun ko chup karwa sakta hai ya apna kaam manwa sakta hai.

Shaheer Sahab k cabin ka sheeshay ka darwaza khula aur halkay rang k shalwaar kameez par sufaid waist coat pehnne, aankhoun par kaalay chashmay atkaye maghroor muskurahat k saath Dawar Mirza andar daakhil hoye. Na chahtay hoye bhi Shaheer Sahab apni jagga se kharray hogaye, "Dawar Mirza!", unhounne uskay haath milaya aur foran hee dono apni apni kursioun par beth gaye thay.

"So, kiya madad kar sakta houn mein aapki?", Shaheer sahab ne muhtaat andaaz mein kehna shuru kiya.

"Shaheer sahab, aaj mein apkay liye eik proposal lekar aaya houn jisko sunn kar ab behadd khush houngay.", tang pe tang rakhtay Dawar ne bola.

"Kesa proposal?"

"Apni beti ka, apkay betay k liye.", Dawar ne binna waqt zaya kiye bola.

Shaheer unko hairani se dekh raha tha phir neechay karkay halka sa hassa, "Acha mazak hai! Mujhay laga k aap waqqai serious hogaye.", yeh sunn kar Dawar k chehray par chirr chirahat ubhri.

"Yeh mazak nhin hai aur hum itne frank hain k mein aapko lateefa sunaounga. Mein serious houn!"

"Sorry Dawar Sahab, magar business eik taraf aur family eik taraf. Chahay kuch bhi hojaye, mein apnay betay ko apnay mufaad k liye nhin istemaal karsakta!"

"Business ki baat toh mene ki bhi nhin. Haan, since Daniya meri ikloti aulaad hai mein Salaar k naam apnay business ka kuch hissa karsakta houn.", Dawar ne kandhay uchkaatay hoye kaha aur Shaheer usko nagawari se dekh raha tha.

Qurbat | ✔️Where stories live. Discover now