D E C E M B E R — one year ago
"Anaya, tumhara dimagh kharab hogaya hai kiya?", Inshyrah bistar k konay par chaukriyaan bhar k bethi thi aur taajub se Anaya ko dekh rahi thi jo kamray k chakkar kaat rahi thi.
"Agar ab tak nhin hoa hai, toh ab toh zaroor hojayega. Mein yeh shaadi nhin karsakti!"
"Anaya, halkay bolo. Koi sunlega! Phir shuru hojayega drama aur mein toh popcorn bhi nhin layi!"
"Yaar, yahan mazak nhin horaha hai!", thaktay Anaya bistar par dhab se bethi aur Inshyrah ab waqqai pareshan hogayi thi. Woh uskay paas thora sa khisakki aur uskay kandhay par haath rakha. Anaya ne surkh hoti aankhoun k saath usko dekha.
"Getting anxious before your marriage is normal. Having second doubts is normal. Heck, even wanting to run away is normal. Magar in sab cheezoun ka yeh matlab thori k you don't need to get married. Its not always about what you need, its sometimes about what you want."
"But, am I ready? Meri toh abhi graduation bhi nhin hoi aur meri yahan shaadi horahi hai!"
"Ab yeh toh date decide karne se pehlay sochna tha na. Acha aese nhin dekho, mazak kar rahi houn. Please don't kill me, shaadi k kapray bohat mehnge thay, atleast attend karne do.", peechay hoti hoye Inshyrah ahista se bolrahi thi aur Anaya ne muskuratay hoye usse takkiya maara, "Tum kabhi nhin sudharna!"
"Hum sudhar jayeinge, toh log apni badmashi shuru kardeinge. Khaam kha mein patanhin itna stress kioun lerahi ho. Hamari graduation is less than 5 months away. Saarhay 3 saal guzaar liye hain, ab bas chand maah aur."
"Tumhein lagta hai mein theek kar rahi houn?"
"Haannn!"
"Chila kioun rahi ho, araam se bhi bolsakti thi.", khufgi mein kehte Anaya wapis zameen ko dekhne lagi.
"Sorry! Acha batayein dulhan saheba kiya chahiye tumhein? Jo chahiye maanglo, chand ghantoun tak mehdood hai yeh offer, uthalo faiday.", araam se bistar k frame k saath tayk lagati Inshyrah boli.
"Shehryar se mulaqaat karado.", minnat bharri awaaz mein Anaya ne kaha.
"Mera matlab yeh nhin tha, iske illawa jo kaho gi miljayega!"
"Inshooo, please!"
"Ab tumhara dimagh waqqai kharab hogaya hai. Poora ghar mehmanoun se bharra hai aur tum chahrahi ho k mein Shehryar ko bulaoun?"
"Itni raat hogayi hai, sab sou chukay houngay!"
"Wohi toh, raat hogi hai. Iss lamhay agar kisi ne pakar liya toh tumhein andaza bhi hai kitna barra drama hoga? Astagfiruallah, nhin baba nhin!", tauba kartay hoye Inshyrah ne apnay gaal baari baari chuye.
"Theek hai, koi baat nhin. Aese hee jeeloun gi mein, apnay second thoughts k saath.", thakkay madham awaaz mein kehti Anaya wapis zameen ko dekhti apni ungliyaan masalne lagi aur Inshyrah ne gehri saans li, yeh sab meri jaan k dushman kioun hain?
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
RomanceQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...