Woh apnay kamray mein packing kar rahi thi. Anaya aur Inshyrah apnay apartment mein ab mazeed sirf kuch ghantay k mehmaan thay. Dono khamoshi se apnay apnay kamroun mein boxes bhar rahay thay.
Taqreeban 4 saal mein dono ne iss apartment ko apna ghar banaya tha aur ab time aagaya tha k woh dono iss ko chorh k jayein. Dono hee emotional hoye ve thay magar woh dono jaantay thay k eik na eik din toh in dono ko jaana hee tha.
Woh dono thak kar apnay apnay kamroun se bahar niklay thay, dou din se musalsal akelay packing karne k bawajood abhi kaafi samaan rehta tha. Time bohat kam tha aur unkay shohar aur mangetar patanhin kahan ghayab thay.
Woh dono living room mein sofay par dhab karkay bethein hee thein k main darwaza khula jisse haathoun mein khaanay ki thelliyan pakray Salaar aur Shehryar andar aye.
"Kahan thay tum dono? Itna kaam para hai, kal subha tak nikalna hai aur tum log apni masti mein ghum ho!", Anaya ne daantne k andaaz mein bola.
"Begum saheba, calm down. Hum apkay hee kaam karkay aye hain.", Shehryar ne thelliyan counter par rakhte kaha.
"Kesa kaam?", thelli mein jhaankte hoye Inshyrah ne kaha aur tab Salaar ne usko mazeed thelliyaan pakar wayein, "Hum owner se milkar aye. She has agreed k y'all can spend the weekend here!" aur yeh baat sunn kar dono Anaya aur Inshyrah hairan hogayein.
"Yeh kesay hoa? Our contract ends tomorrow, tum logoun ne extend kesay karwaya?"
"Well —", Shehryar ne Salaar ko dekha jo k uski nazaroun se bach raha tha.
"We'll pay you extra rent.", Salaar ne jazbaat mein aakar kaha tha.
Shehryar aur woh Salaar k mansoobay k muttabiq Anaya aur Inshyrah k apartment k owner se milne gaye thay aur unko manana tha k woh Inshyrah aur Anaya kuch aur din ki muhlat dedein.
"I don't want your money, mister Salaar —"
"We'll pay double the rent!", Salaar ab sofay se kharra hogaya tha aur Shehryar ne uska haath kheench kar usko wapis bethadiya.
"I don't want your money, but if you insist.", double ki offer sunn kar malik makaan foran apni baat se pheir gayein aur Salaar k chehray par fatehaana muskurahat ayi aur Shehryar saamne bethi khatoon ko hairat se dekh raha tha.
Woh dono ab bahar nikal gaye thay aur Shehryar abhi bhi andar honay wali guftugu ko samjh nhin saka tha.
"Yeh kioun kiya tum ne Salaar?"
"Kya kioun kiya?", Salaar ne kandhay uchkaye aur seeti bajaata hoa gaari ki taraf barhgaya aur Shehryar uskay carefree attitude ko dekh kar hairaan horaha tha, konsi makhlooq hai bhae yeh?
Anaya aur Inshyrah dono hee Salaar ko dekh rahay thay jo thellioun se khaanay k dabbay nikaal raha tha.
"You don't have anything to say?", Shehryar ne sawaliyaati nazaroun se usko dekhte poocha.
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
Storie d'amoreQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...