Iss baar aankh pehlay Inshyrah ki khulli. Fajr ki namaz parhke dono wapis apni takkioun pe girr gaye thay aur albatta iss baar indono ne baatoun ka aghaaz kiya tha, dono hee ko barwaqt jamaiyaan ayi aur najaanay kab dono sou gaye.
Inshyrah halka sa stretch kartay apni jagga par uthi bethi. Chehray pe aatay baal usne kaan k peechay kiye aur neend bharri aankhoun ko maslla. Usne apni daayein taraf dekha toh aadha bistar chorr ke Salaar takkiye ko seenay se baand ke aur sarr k neechay phassaye bistar k konay pe sou raha tha. Woh halka sa muskurayi, subha subha usko shararat sooji.
Inshyrah ne side table se apna phone uthaya aur YouTube pe jaakay usne heavy metal music search kiya. Phone ka volume full karke usne list mein sab se top pe aanay wali video ko select kiya. Foran usne phone Salaar ke kaan k paas rakhdiya.
Video jaise hee chali, zorr darr music baja. Salaar ghabrakay utha hee tha k bistar k eik dam konay pe honay k baiz woh zameen pe girrgaya. Music chalraha tha aur saath saath Inshyrah ki hassi ki awaaz uskay kaanoun tak pohanch rahi thi.
Woh uth betha. Ghutne seenay k kareeb laakay usne unpe apnay haath tikkaye aur Inshyrah ki taraf nagawari se dekha. Eik aankh abhi bhi band thi aur dosri sukkri hoyi, woh abhi bhi neend mein hee tha. Inshyrah masoomiyat bharri muskurahat k saath usse dekh rahi thi.
"Abhi nikkah ko eik din bhi nhin hoa aur tumne apnay zulm shuru kardiye. Barri zaalim ho tum."
"Mein bohat masoom aur shareef houn."
"Aur mein Queen Elizabeth ka pouta!"
"Hain, sahi batao!", Inshyrah hairat se usse dekh rahi thi aur Salaar ne apni aankhein pherrein.
"Mujh masoom pe kioun itna zulm kar rahi ho tum?", bachoun ki tarah sarr bistar k gadday mein dabatay hoye woh bula.
"Tum ne mujhay gift hee nhin diya.", moun phulatay hoye Inshyrah ne kaha.
"Mene tumhein apna dil, apna aadha kamra, aadhay se zayada closet aur ghar ki chaabiyan dedi. Woh kaafi nhin?"
"Nhin! Yeh konsay dramay ki line yaad ki hai?"
"Patanhin, aese hee koi random Facebook watch pe ayi video mein tha. Magar, baat sou aanay sach hai, itna sab toh dediya ab kioun gift chahiye?"
"Mujhay gift chahiye na!", bachoun ki tarah minnat karte Inshyrah boli aur Salaar ne eik gehri saans li.
"Aur badlay mein tum mujhay aese tang karogi?", Salaar ab kharra hogaya.
"Haan!"
"Aur agar mein tumhein gift dedoun toh tum eik achi, shareef, husband se behadd pyar karne wali, susheel aur sughar biwi banjao gi?"
"Sure!", Inshyrah ne kandhay uchkaye.
"Toh phir toh tum zulm karne k naye tareeqay hee socho!", shararat bharri muskurahat k saath usne kaha aur usse pehlay k cushion uskay moun pe parta, usne washroom ka darwaza band kardiya aur cushion darwazay se lagg kar neechay girrgaya.
YOU ARE READING
Qurbat | ✔️
Storie d'amoreQurbat (قُربت) transl. Proximity "𝘒𝘩𝘰𝘰𝘯 𝘢𝘶𝘳 𝘮𝘰𝘩𝘢𝘣𝘣𝘢𝘵 𝘴𝘦 𝘣𝘢𝘯𝘯𝘢𝘺 𝘳𝘪𝘴𝘩𝘵𝘢𝘺 𝘬𝘢𝘣𝘩𝘪 𝘯𝘩𝘪𝘯 𝘵𝘰𝘰𝘵 𝘴𝘢𝘬𝘵𝘢𝘺..." Salaar Ahmed, baees (22) saal, ka London jaanay ka maqsad sirf apna postgraduate mukammal karna nahi...