《 abhi tak soy kiyu nahi tum dono ? 》
Mr akhtar ne poucha tha..
Wo studies se main gate ka lock check kar ne ja rahe the jab unho ne garden ki lights on dekhinor yaha ai the or in dono ko dekha tha..
《 kuch nahi baba bas yuhi baate kar rahe the.. 》
Zainab ne kaha tha.. or zoya ne han mai sar hilaya tha..
《 so Jana chahiye na tum dono.. subha jaldi uthna hai sab se specially zoya ne or tumhari bhi tabiyat theek nahi thi rest karna chahiye.. 》
Mr akhtar ne uske bich mai baithe hoe kaha tha..
《 bas sone hi ja rahe the.. 》
《 mujhe neend nahi arahi thi.. 》
Dono ne ek sath kaha tha or keh kar has pare the..
《 han jao ja kar so jao or han agar tabiyat zada kharab lage tu batana zaroor hai theek hai jao 》
Unho ne zainab ko kaha tha or halka hai cheek ko thapka tha..
Zainab ja chuki thi ab wo dono the..
Zoya ne apna sar apne baba ke baazo pe rakh liya tha or or dono hato se baato ko gale lagaya tha... unke chere pe ek halki si muskurahat a gai thi...
《 kia hoa need kiyu nahi arahi meri bachi ko 》
Unho me poucha tha..
《 pata nahi 》
Jawab mukhtasir tha..
《 pata hai jab tum pehli dafa is ghar mai ai thi tu Maine apne isse baazo mai tumhe uthaya hoa tha.. 》
Mr akhtar ne kaha tha jis baazo ko zoya ne pakda tha uspe hath rakh ke..
《 choti si gurriya thi balke ho meri choti si gurria jiski kal shadi hai.. bachapan mai log apni gurria ki shadi karte hai khel khel hai or ab kal mai bhi apni gurria ki shadi kar raha ho.. kabhi soucha hi nahi tha ye din bhi ay ga.. 》
Mr akhtar ne halki awaz mai ye kaha tha magar itni awaz thi ke wo aram se sun pay.. unki baat sun ke uski ankho mai bhi anso bhar ay the..
《 tu na kare na apni gurria ko apne se door na bheje na mujhe 》
Zoya ne rote hoa kaha tha...
《 aise nahi kehte meri jaan ek din har larki ki honi hoti hai shadi.. 》
Mr akhtar ne kaha tha jispe usne halka sa sar hilaya tha..
Kafi dair unhi baate karte rahe the.. zoya apne baba ke baazo se lage lage hi so gai thi..
Mr akhtar ne usse uthane munasib nahi samjha tha itni mushkil se tu soi thi tu wapis kaise utha dete..
Usse udhar hi sidha kar ke lita dia tha or ek chadar uske uper dedi thi or phanka on kar dia tha mosam Alhamdulillah acha tha tu AC ki itni zaroort nahi thi.. kuch dair wo usse dekhte rahe the or uske sar pe hath pherte rahe the phir wo bhi ja kar so gay the..
******************
Day four...
Nikah day...
Subha ka waqt tha sab lounge mai the..
《 khabar daar kisi ne shor kia garden mai zoya so rahi hai uski neend kharab ho gi jo kam bhi hai bina shor ke karo 》
Mr akhtar ne kaha tha.. saro ka shor sunke..
《 zoya udhar kiyu so rahi hai 》
Nimra ne poucha tha...
《 raat ko mere sath udhar thi baate kar rahe the baate karte karte so gai tu Maine usse uthane munasib nahi samjha 》
YOU ARE READING
The Fear Of Separation ✔
General FictionAslamoalaikum.. Fanaa is my first random story on wattpad and am sure fanaa is much better then my any other story... Give it a try before ignoring it.. ( never judge a book by its cover ).. A short prologue.. bhai wo yaha wapis a gaya hai 》 Adyan...