𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 1

139 12 57
                                    


♡︎𝑒𝑛𝑗𝑜𝑦♡︎






《 ab agar tumhari coffee khatam ho chuki ho tu kiya tum mujhe yaha Yun bolani ki waja batao ge? 》

Sakht lehje mai bola gaya tha ye jumla.. apne samne baithe us admi ki dhithai par gussa bhi araha tha or dil mai kai tarha ke waswasy.. najane kiyu pichle ek or adhe ghante se is coffee shop mai baithe the.. kaale baal jinhe theek se set kiya gaya tha.. kali ankhe jinmai nervousness Saaf zahir nazar arahi thi phir bhi khud ko confident sabit karne ke liye chaar cup coffee ke pi chuka tha.. three piece suite pehne baitha hoa tha.. uski robdar shakhsiyat Saaf pata chal rahi thi.. jab samne baithe shaks ki awaz sun kar uske chere par ek mudham si muskurahat phail gai thi jiski waja se uske chere par dimple Saaf zahir hoe the....

《 ji zaroor 》

Apne samne baithe black three piece suite pehne admi ko bola tha jo dikhne mai 50's ke start mai th... baal Halke halke white ho chuke the.. apni eyeglasses theek karte hoe wo apne bazo coffee table par rakh chuke the....

《 kiya baat hai? Kiya khena chahte ho 》

Mudhham awaz mai poucha gaya tha...

《 mera naam adyan sikandar hai age 25, height yaad nahi sorry, mera family business hai magar mai surgeon ho apne farig time usse dekhta ho, mera ek bhai hai jo mere baap ki jaga hai chota tha jab baba ki death ho gai, bhai ke iwala ek mama hai or ek bahan hai jinse mai bohot pyaar karta ho 》

Ek saans mai bola tha ye sab kuch saans lene ke liye roka tha.. samne baithe admi ko shakal dekh kar hi bataya ja sakta tha usse kuch smj nahi ai hai ke wo kis bare mai baat kar raha hai ya wo kehna kiya chahata hai....

《 mere pass sab kuch hai bas ek cheez nahi hai.. or wo cheez sirf ap mujhe de sakte hai 》

Wo apni baat khane ke sath hi apni chair ke sath take lagi thi.. muqabil baithe Mr akhtar usse sawaliya nazro se dekh rahe the....

《 or mai tumhe kiya de sakta ho? 》
《 apni beti kasam se bohot pyaar karta ho usse 》

Apne dil par hath rakhte hoe gum se lehje mai bola tha or samne baithe Mr akhtar par tu jaise kitne pahar gire the....

《 tum.. himmat bhi kaise hoi 》

Sakht lehje mai bola gaya tha.. muqabil par jaise unki sakht lehje ka koi asar nahi hoa tha.....

《 mai apki beti ki baat kar raha ho tu mai apka gussa smj sakta ho apki pareshani smj sakta ho is liye apne jo kuch mujhe pouchna hai ap pouch sakte hai apne apko pursakoon karne ke liye 》

Shan se bola tha usne muqabil baithe Mr akhtar ka dil tu chah raha tha samne para coffee ka cup us samne baithe us DHEET insan par dalde magar afsos cup khali tha ab isko adyan ki khush kismat boli Jay ya phir Mr akhtar ki badkismati ye tu unhi ko pata tha....

《 tumne kaha tum apne free time mai business ko time dete ho tu pora waqt busy kaha rehte ho 》

Khud ko compose karte hoe unhone poucha tha.. or wo bari dhithai se muskuradia....

《 waise bolna tu nahi chahiye ap uske baap hai lekin apko phir bhi pata deta ho is yaqeen ke sath ke ye raaz hum dono ke darmian hi rahe ga.. mai apki beti se pyaar karta ho or is kam ke ilawa us ne mujhe kisi qabil nahi chora 》

Pehle tu wo uski baat sun kar pareshan hogay the lekin bad mai uski baat sun kar unke chere par ek mudhham si muskurahat ai thi jisse chupane ke liye unho ne apne chery par hath rakh dia tha.....

《 tum apne is pagal pan mai meri beti ki mat shamil karo is ke liye kisi or ko dhondo 》

《 uncle zoya mera pagal pan zid janoon balke meri mohabbat hai ishq hai or mai uske sath ek halal rishta banana chahata ho uska muhafiz banna chahata ho》

Ab ki baar dono ke chere par ab halki si muskurahat phail gai thi Mr akhtar uski baat par pursakoon ho gay the....

《 ab Mai chalta ho 》

Ye khete hoe Mr akhtar apni jaga se uth khare hoe the...

《 thanku mujhe apna damad qabool karne ke liye 》

Ye kheta wo bhi apni jaga se uth khara hoa tha chere pe janlewa muskurahat liye....

《 or tumhe aisa kiyu lagta hai ke Maine tumhe apna damad man liya hai 》

Eyebrows utha kar poucha tha.. or uska kehka chota tha....

《 agar na hota na apki taraf se tu jab Maine zoya ka naam lene par hi meri jaan nikal pakar rakh deni tha yaa jin ankho se uski taraf dekha unhe nikal dena tha tha..  》

Uske andhaz par wo sar hilata reh gay the....

Wo apne khayalo mai se Phone ki awaz sun kar bahar aya usne jhatke se ankh kholi thi.. ankho mai se ansu behne lage the jinko usne jaldi se Saaf kiya tha.. pata nahi dunia se un ansuo ko chopa raha tha ya khud se.. phone utha kar kan se lagaya tha....

《 ji bhai 》

Ankho lo masala hoe bola tha.
《 adyan kaha ho or kiya kar rahe ho》

Lehje mai pareshani thi...

《 bhai is dunia mai ho or sans le raha ho 》

Haste hoe bola tha or apne hath se apni ankho ko masla tha ansu ab bhi waise hi Beh rahe the... dosri taraf uski baat sun kar dil dara tha....

Kiya aise bolana itna asan tha?

Kiya usse such mai andaza nahi tha usne kiya bola tha abhi abhi?

Aisa kiya tha jisne usse aisa bolne par majboor kiya tha?

《 adyan 》

Lehje sakt tha...

《 acha sry sry wo mai qabristan aya tha bas thori dair mai punch jao ga ghar phir khana sath khay ge 》

Kuch dair khamoshi le baad aliyan bola tha...

《 hmm jaldi ghar ao mama wait kar rahi hai 》

Adyan ke kuch bolne se pehle hi phone band ho shuka tha or wo bas sar hilata reh gaya tha.. na chahte hoe bhi usse apne ghar ki taraf gari ko moor liya tha...



****************

Aslamoalaikum...
How was the chapter?
Vote amd comment plz...

****************





Ankyxbtsarmy
asoma_soma
avneil_adiza_fanclub
bluexmoon_105
crazywriter2317
itsdevika_sharma
Kashaf_tales
p140885
Sana__tales
soraen
ritul_d
magical_AditiRathore
ion a user

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now