𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 6

25 7 10
                                    

《 wo acutely Maine kabhi aise mall mai fitting room use nahi kiya comfortable nahi thi 》

Usne uses smjhana chaha tha.. or wo kamyab hoi thi.. uske hath se gown pakarta bola tha...

《 kaisa laga gown? 》

Uska jawab janta tha phir bhi pouch raha tha..

《 acha nahi laga.. bekaar 》

Aisa nahi tha ke usse wo acha nahi laga wo gown tu usse bohot pasand aya tha magar kaise bol deti ke han mujhe ye gown acha laga hai mujhe ye lena hai.. jab ke usse pata tha ye choice us magroor insan ki hai.... uske jawab par wo halka sa muskuraya tha...

《 lekin mujhe acha laga hai..》

《 magar mujhe acha nahi laga 》

《 tu pasand karlo 》

Usne gown ka bill karwate hoe bola tha us waqt zoya ka dil cha raha tha ke wo is insan ka khoon pi jay ya iska sar phar de magar afsos wo bas ye sirf souch hi sakti thi...

Door knock ki awaz par wo apne khayalo mai se bahar aya tha... sedha ho kar baitha bola tha...

《 come in 》

《 doctor apke round ka time ho gaya hai 》

《 han mai bas araha hon 》

Adyan yeh kheta apni jaga se khara ho gaya tha or nurse se sath apne round par chala gaya tha...

******************

《 are you sure 》

Aliyan ke cabin mai baitha aliyan or bilal kuch baat kar rahe the jab aliyan ne ye poucha tha...

《 jii bhai baki detail mai tab baat karte haina jab adyan ay tu... usne bhi kuch na kuch plan kiya hoa hoga... 》

Pepper wait ghomata Bilal ye bola tha...

Sham ke 5 baj rahe the or ab tak adyan abhi tak nahi abhi tak nahi aya tha... jab ke aliyan or bilal uska dopahar 2 bajje se wait kar rahe the magar uska naam o Nishan door door tak nahi nazar araha tha...

《 mai adyan ko call karta ho 》

Phone utha ta aliyan ne bola tha... jab adyan room mai enter hoa tha...

《 Asslamulaikum 》

Unchi awaz mai salam kiya gaya tha or undono ne jawab sar hila kar dia tha... wo bhi Bilal ke sath wali chair par ja baitha tha...

《 sorry late hogaya wo ek emergency agai thi 》

《 it's ok 》

Adyan ne smjhana zaroori smjha or wo dono samjh gay the uski masrofiyat ko...

《 adyan Mr humdani mujhe or akhtar uncle ko jante hai tu Maine or Bilal ne ye soucha hai ke ab humne jo bhi karna hai wo Bilal ke company se kare ge... 》

《 kiyu ke wo tum logo ko janta hai magar mujhe nahi 》

Aliyan ki baat ko Bilal ne pora kiya tha lekin adyan kuch uljha tha...

《 Bilal is mai khatra ho sakta hai or mai tumhari Jan khatre mai nahi dal sakta 》

Pareshani se bolta ek min ke liye roka tha jab ke Bilal halka sa muskuraya tha shayad is liye kiyu ke usse adyan ka ache se pata tha... adyan ne apni baat phir se shoro ki...

《 Maine soucha hai ke mai ek apni company start karo ga kiyu ke wo aliyan bhai ko janta hai mujhe nahi 》

Ye baat un dono ko nagawar thi or ab ki baar aliyan bola tha...

《 adyan dekh tumhari har baat sahi hai apni jaga or humari apni jaga samjh ne ki koshish kar... agar... 》

《 ek cup coffee hi pila do yaar hospital se aya ho thaka hoa ho 》

Adyan ne aliyan ki baat kaati thi...

《 bhai isko coffee pila do kiya pata phir is gadhe ko akal ajay.. 》

Bilal ki baat par jaha aliyan hasa tha hoi adyan ne usse kha Jane wali nazro se dekha tha...

《 agar tum starting se start karo ge sab kuch tu bohot time lage ge... business ko is level par lane ke liye 1 mahina nahi 1 saal se bhi zada lage ga... or humdani kabhi bhi ek chuti company ke sath koi deal nahi kare ga... 》

Aliyan ne usse smjhana chaha tha...

《 or dekh meri company ke sath wo waise hi deal ke liye last 5 months se laga hoa hai... isse acha moka kahi nahi mile ga... 》

Un dono ki baat sun kar kuch dair soucha tha usne...

《 theek hai magar uske sath har meeting mai mai zaroor jao ga... har meeting mai usse ek jhatka zaroor mile ga 》

Awaz mai gussa tha le wo gussa wo dono samjh sakte the... wo bhi aram se mangay the kiyu ke unko bhi pata tha usne faisla sunaya hai tu koi sawal jawab ki jaga nahi...

Kafi dair discussion karne ke bad ab wo ghar ke liye nikal rahe the...

《 bhai mai hospital se ata ho dinner par mera wait na karna late ho sakta hai... 》

Ye bolta wo apni gari ki taraf bhar para tha...

****************

《 Friday ko chalte hai 》

Anam ke room mai baithi zainab ne bola tha..

《 han ye bhi theek rahe ga kal tum ja kar bacho ke liye gifts lelena... 》

《 kis ke bache kabhi humare bare mai bhi souch liya kare waise Saad kaha hai 》

Aliyan anam ke room ke andhar ata bola tha Saad uska 2 saal ke bete ka naam the... anam jaha uski baat par muskurai thi wahi zainab ne usse zabardast ghora tha...

《 mamma dekh le apni pyaari baho mujhe kaise ghoor rahi hai 》

Anam ke gale lagta bola tha... anam ne hasta hoe uske kandhe par thapar mara tha or zainab kuch sharminda hoi thi...

《 wo hum orphanage Jane ka souch rahe the is liye mai zainab ko bol rahi thi ke bacho ke liye thore gifts lelena》

《 achaaaa... kiya mujh garib ko ek cup chai ka mil sakta hai begum.. 》

Acha par usne kuch zada zor lagaya tha..

Zainab chai banane ka chuki thi... jab anam ne aliyan se poucha...

《 kiyu us bechari ki tang khinchte rehte ho 》

《 astagfirallah mamma ye Sara sar inzan hai mujh par Maine kab unki tang khichi 》

Masoomiyat ki inteha thi..

《 ye jo abhi mere samne kiya wo kiya tha phir 》

《 mamma Maine usse hath tak nahi lagaya or ap tang khinch ne ki baat kar rahi hai kiya ho gaya hai apko 》

Usne haste hoe bola tha jab ke anam ko apne bete ki akal par afsos hoa tha..

****************
Any question?

****************

Aslamoalaikum...
How are you all?
Next chapter In Shaa Allah soon

****************

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now