𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 40

16 6 23
                                    

《 ap please ek bar wapis dekh le wohi hai back seat pe hi tha.. 》

Zoya ne driver ko kaha tha.. jo sar hilata gaya tha...

Uske jate hi zoya wapis andhar ki taraf muri thi jaha usse adyan khara nazar aya tha...

Apne phone ko zor se pakarti wo undhar ki taraf gai thi...

Chalte hoe uske hath se uska phone gira tha.. jisse adyan ne utha kar usse wapis kia tha..

《 Friday ko mai Turkey ja raha ho 》

Adyan ne kaha tha.. jis ke jawab mai usne halka sa sar hilaya tha..

《 jane se pehle kia tum mere sath coffee pine chalo gi? 》

Adyan ne poucha tha.. ab zoya ne sar utha kar usse dekha tha..

《 pouch rahe ho ya bata rahe ho ?》

Zoya ne poucha tha.. uske pouchne pe wo has para tha..

Uski hasi pe usse apni heartbeat taiz hoti mehsos ho rahi thi or ye cheez usse yeh bilkul pasan d nahi arahi thi..

《 is baar pouch raha ho》

Adyan ne apne coat ka button band karte hoe bola tha..

《 oye yaha ho tum dono sab tum dono ko andhar dhond rahe hai ruksati kar ni hai usse pehle khala ko kuch karna hai chalo.. 》

Bilal ne kaha tha.. dosri koi baat sone bina wo undhar bhagi thi..

Adyan bhi ab a chuka tha jab anam apni jaga se khati hoi thi...

《 jaise ke apko pata hai adyan Turkey ja raha hai or wapsi ka kuch pata nahi hai... tu mai ye souch rahi thi officially rishta done kar dete hai... aj mai ek nahi ko le kar ja rahi ho tu sath hi dosri ko apne dosre bete ke naam ki anghoti pehna na chahti ho.. 》

Anam ne khush dili se kaha tha.. or un dono ko sofe pe ek sath bithaya tha.. jaha adyan se apni khushi roki nahi ja rahi thi wohi zoya ko apna chera laal hota lag raha tha..

《 zoi remember tum shy nahi ho shramana band karo.. 》

Sarah ne kaha tha zoya ka laal chera note kar ke.. inti awaz thi jis pe sath baitha adyan aram se sun paya tha ke kiya kaha hai.. adyan has para tha or is pe ab wo sharmindgi se laal hoi thi...

Zoya ne apne dimag mai note likh liya tha..

( Bestfriend ki definition: kabhi bhi kahi bhi kisi ke bhi samse sharminda karna apne dost ko... )

Apne bag se ring nikal kar un dono ko di thi.. zoya ne kampte hatho ke sath or dil mai kalma parte hoe usse ring pehnai thi.. wohi adyan ne khush dili se or dil mai Allah ka shukar ada karte hoe usse ring pehnai thi..

 wohi adyan ne khush dili se or dil mai Allah ka shukar ada karte hoe usse ring pehnai thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Rings exchange ho chuki thi muh sab ka mitha kar wa dia tha ruksati ho chuki thi jab.. zoya apni kuch cheeze samet rahi thi jab uski nazar zainab ke gift pe pari.. usne soucha tha ruksati se pehle se de gi magar us mai usse hi gift mil gaya ( engagement )..

《 yaar ab ye phone nahi utha rahi 》

Sarah ko call kar rahi thi jiska phone band a raha tha.. mr and Mrs akhtar hall mai the Bilal se kuch baat kar rahe the.. jab usse or koi rasta nahi dikha tu usne phir call ki thi..

《 Asslamulaikum 》

Phone attend hoa hi tha ke sath hi zoya ne salam kia tha..

《 waalaikum a salam.. kia mai khuwab dekh raha ho ya ye such hai 》

Salam ka jawab dene ke bad usne haste hoe kaha tha.. jispe zoya ne apni ankhe zor se band ki thi..

《 acutely appi ko jo Maine gift dena tha wo yahi reh gaya hai mai dena bhool gai or sara ka phone band araha hai mamma baba or Bilal bhai bahar hai baat kar rahe hai kuch.. mama baba ko kaha tu wo bole ge phir dedena or Bilal bhai ko call karni munasib nahi lagi.. mai appi ko aj ye gift dena chahti thi.. is liye apko call ki agar ap lele or unhe dede agar ap easy hai aise.. 》

Jhijak nahi thi wo bas kuch hi pal ki thi ab wo wapis a gai thi apne asal mai..

《 kaha ho mai ake leta ho 》

Adyan ka dil khush hoa tha bohot khush zoya ke kam kehne pe nahi balke is kabil samjh ne ke liye or kam bolne ke liye..

《 ye 》

Zoya ke jaga batane pe wo waha gaya tha.. or khush dili se liya tha..

《 thank you 》

《 my pleasure 》

《 yeh?》

Zoya ne poucha tha adyan se jab wo usse pas pare table se ek phool nikal kar de raha tha..

《 humari engagement ka gift I know ye itna koi kas nahi hai magar phir bhi rakh lo.. agar pehle pata hota mamma ye souch rahi hai tu pehle hi kuch leleta.. 》

《 mujhe ye bohot acha laga thank you so much.. 》

Usne accept kar ke kaha tha..

《 coffee? 》

Adyan ne usse yaad kar waya tha.. abhi tak usne koi jawab nahi dia tha..

《 ap baba se pouch le.. 》

Zoya ne kaha tha or Allah hafiz keh kar waha se goi thi..

Ghar ja chuke the sab so chuke the char logo ko chor ke.. aliyan zainab.. adyan zoya..

Aliayn or zainab ne shukrane ke nafl ada kar ke ab baate kar rahe the.. wohi zoya ko bar bar sab yaad araha tha pehla zainab ja chuki hai apni nai zindagi shoro karne.. dosra adyan ka complement.. tesra adyan ki or uski surprise engagement.. chota uses baat karte hoe uski nazre nichi.. and so on..

Zoya ne adyan ka dia hoa phool apni favourite novel ke sab se pasand dida page mai rakha tha or usse khud ko nahi pat tha kiyu usne ye kia magar kia tha..

Wohi adyan ko bar bar zoya ka unki waja se laal hota chera nazar araha tha jo uske dil ko ajeeb sa sakoon de raha tha...

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now