《 mai khud nahi kha sakti mere chot lagi hoi hai 》Khana lag chuka tha jab zoya ne kaha tha..
Nimra sar hilaya reh gai thi.. yani pao par lagi hai hath par tu nahi.. nimra ko mr akhtar pe issi baat par gussa ata tha ke unho ne kitna bigara hoa hai zoya ko.. jitni sadha zainab thi itni hi shararati zoya thi..
**************
Agla din dupahar mai sab lounge mai baithe hoe the..
《 ab dard tu nahi haina 》
Chai ka sip lete hoe anam ne poucha tha..
《 nahi itni nahi hai.. mamma zoi ke ghar jao usse milne usse zada chot ai thi.. 》
Sara ne apna hal pataya tha.. jab usse ek dam se zoya ka khayal aya tha..
《 han Jana tu hai Maine char tak chalte hai 》
Anam ne bola tha..
《 ah rehne de phir kabhi chalte hai abhi uske bhi pao par lagi hoi hai.. bhabhi or aunty usse sambhale gi ya ehtemam kare gi humare liya 》
Adyan ko zoya ki yaad ai thi.. lounge mai baithe sab ne usse be yaqeeni se dekha tha..
Kiya ye wohi adyan hai jisse koi fark nahi parta tha..
《 agar aj na gay na tu pori zindagi pachtao ge 》
Aliyan ne dabi dabi hasi mai kaha tha.. or adyan uljha tha..
《 maltb 》
Apni eyeglasses theek karte hoe poucha tha..
《 kuch nahi aise hi bol raha hai tiyaar rehna sab 》
Anam ne muskura kar kaha tha.. jis par sab ne halka sa sar hilaya tha..
****************
《 aisa karo ab na mujhe waha se waha tak le kar jao 》
Zoya ko ab ek 𝑛𝑎𝑖 game mil gai thi wheel chair par baithi.. blackish blue skirt or shirt pehne hoi thi or sar par ussi tarha ke color ka scarf bandha hoa tha.. baalo ka usne dhila joora banaya hoa tha..
Mulazima usse kabhi idhar se udhar le kar ja rahi thi.. kabhi wo taiz hone ka bol rahi thi kabhi slow.. zainab ko pori humdardi thi mulazima ka ke..
《 Jay AP ja kar dekhe kon aya hai 》
Door bell hoi thi jab usse zainab ne kaha tha..
《 asslamulaikum 》
Sarah ne unchi awaz mai kaha tha.. un sab ko yaha dekh kar tu jaise zoya ke chery ke rang badle the..
Usne jaldi se apne sar par bandha scarf ko utar kar sahi se liya tha.. kuch sharminda jo hoi thi..
Ab sab seating room mai baithe hoe the.. nimra or mr akhtar bhi udhar hi the..
《 ane se pehle bataya hi nahi 》
Nimra ne poucha tha..
《 han bas aise hi zoya ka hal pouchne ai hai or jo kam jumme ko karna tha wo bhi aj hi soucha kar do 》
Anam ne khush dilli se kaha tha.. uski baat par sab uljhe the kaisa kam?
《 kaisa kam 》
Mr akhtar ne poucha tha..
《 batati ho 》
Anam ne kaha tha or ab wo zoya ki taraf mutawajo hoi thi joke gusse se adyan ko reh reh kar ghor rahi thi.. yaad jo agaya tha hospital wala scene..
《 ab kaisi tabiyat hai 》
Anam ne poucha tha..
《 Alhamdulillah theek aunty.. ap sonay 》
Zoya ne muskura kar kaha tha..
《 alhamdulillah mai bilkul theek..dard tu nahi ho raha zada 》
Anam ne phir poucha tha.. adyan ko kuch garbar lag rahi thi.. nimra or mr akhtar kuch kuch mamla samjh gay the..
《 nahi nahi aunty zada nahi hai 》
Zoya ne kaha tha.. or Sarah ne muh banaya tha jaise usse zoya ka jawab acha na laga ho..
《 abhi kuch dair pehle tu mujhe msg kar rahi thi yaar bohot dard ho raha hai or bhi pata nahi kiya kiya 》
Sarah ne zoya ki pol kholi thi jispar zoya ne usse kacha chaba jane wali nazro se dekha tha..
《 darasal baat ye hai ke mai zoya ka hath mang ne ai ho 》
Jaha zoya ke uper herani ke pahar gire the wahi adyan khushi se sathwe asman par pounch gaya tha.. baki sab bhi khush hoi the..
《 aunty apko mera hath kiyu chahiye 》
Zoya ne sadme ki halat mai poucha tha.. apne dono hatho ko piche chupay tha usne..
《 adyan ke liye 》
Aliyan ne kaha tha..
《 sorry to say magar dono hath tu hai uske pas 》
Yani sahi tu hai dono hath hai uske pas phir bhi zoya ka chahiye.. ab sab ko samjh ai thi wo kiya smjhi hai.. or humesha ki tarha nimra ko bohot afsos hoa tha apni beti par.. yani age piche tu sahi hai magar usne tu aj bhi muka nahi chora apni aqal dikhane ka..
《 lagta hai pao par zada chot ai hai.. 》
Sarah ne has kar kaha tha.. ab zoya ki samjh aya tha kiya tha matlab unki baat ka.. usne be yaqeeni se zainab or Sara ko dekha tha jo usse jo usse apni pori battisi nikal kar dekh rahi thi..
《 mujhe koi problem nahi hai 》
Mr akhtar ne kaha tha.. or unki baat par zoya ko apna dil band hota mehsos hoa tha.. unho ne uth kar adyan ke sar par hath rakha tha or phir zoya ke..
Zoya ab bhi heran pareshan sab ko dekh rahi thi..
《 mujhe lagta hai in dono ko akele mai baat karni chahiye 》
Aliyan ne dekh liya tha zoya ko adyan ko ghoorte hoe or adyan ka usse fatihana muskurahat se dekhna..
《 han beta jao 》
Nimra ne kaha tha.. zoya Sarah or zainab ko rokne ka ishara hi karti reh gai thi aj usse pata chala tha dost gaddari kaise karte hai..
Adyan zoya ki wheel chair ko Bach yard laya tha..
《 so you will marry me jangli billi 》
Zoya ke samne pari chair par baith ne ke bad poucha tha.. or zoya ne usse khasa ghoora tha..
《 zahar lagte ho mujhe tum magroor insan 》
Zoya ne kaha tha magroor insan par usne apni ankhe ghomai thi.. or adyan ka kehka chora tha..
《 mai pouch nahi bata raha ho 》
Adyan ne kaha tha..
《 such bolo waise mujhe bhi nahi pata tha aj ye hone wala hai kasam se 》
Adyan pata raha tha jab zoya ne usse ghoora tab adyan ne kasam khai thi.. pata nahi kiyu zoya ko uski dil ki dharkane be kabo hoti mehsos ho rahi thi..
YOU ARE READING
The Fear Of Separation ✔
Fiksi UmumAslamoalaikum.. Fanaa is my first random story on wattpad and am sure fanaa is much better then my any other story... Give it a try before ignoring it.. ( never judge a book by its cover ).. A short prologue.. bhai wo yaha wapis a gaya hai 》 Adyan...