𝑐ℎ𝑎𝑝𝑡𝑒𝑟 30

17 6 40
                                    


Aj adyan ne anjane mai hi sahi wo cheez bol di thi jo zoya humesha se sunna chahti thi.. shayad ye alfaaz " tum meri har dua mai ho " zoya hi nahi har larki sunna chahti thi..

Table se apna phone uthata wo waha se ja chuka tha..

Adyan ke jate hi Sara uske pas a kar baithi thi..

《 oye kiya hoa 》

Zoya ne usse ek nazar dekha tha.. phir na mai sar hila dia tha ghar ke liye chalne ka kaha tha...

《 yaar magar abhi hand pump ki class hai 》

Sara ne bola tha..

《 nahi mujhe ghar Jana hai meri bhi present karwana.. 》

Yeh kehti waha se chali gai thi or Sara waise hi waha heran pareshan baith gai thi..

《 aisa bhai ne kiya bol dia 》

Wo ye khud se hi keh pai thi..

Zoya ghar ki bajay office ke liye nikal gai thi..

Udhar jate hi wo Mr akhtar ke cabin mai gai thi.. salam karke wo unke samne wali seat par baith gai thi..

《 aj Yaha kaise? 》

Mr akhtar ne apne samne pari file ko band kar ke poucha tha.. unhe pata tha aj adyan usse milne wala hai.. adyan ne Mr akhtar ko bataya tha ke wo usse milne wala hai..

《 aise hi baba 》

Jawab chota tha.. Mr akhtar ka phone le kar wo game khelne lag gai thi.. jab bhi wo kisi tension mai hoti thi tu wo aise hi Mr akhtar ke pas ajaya karti thi or unke phone mai games khelne shoro kar deti thi.. ye uski bachpan ki adato mai se ek thi..

《 much khana? 》

Chery par mudham si muskurahat thi.. Wo jawab jante the magar phir bhi poucha tha..

《 large blueberry cheese cake with extra blueberries and 1 brownie with more nuts bas 》

Zoya ne bola tha jaise wo Mr akhtar ke pouchne ka hi wait kar rahi ho..

Kuch hi dair mai p.a zoya ka order de gaya tha..

Us sab ko dekh kar zoya ke chery par ek fatihana muskurahat a gai thi.. or uski muskurahat ne Mr akhtar ko sakoon dia tha..

《 or kuch 》

Zoya apna khana khatam kar chuki thi jab Mr akhtar ne usse poucha tha jiska jawab usne na mai dia tha.. Mr akhtar ne apni hankey se uska muh saaf kiya tha jaha chocolates lagi hoi thi..

Kuch hi dair bad wo dono ghar ke liye nikal gay the.. pora rasta zoya bolti gai thi or Mr akhtar sunte gay the.. Mr akhtar se baat karke usse bohot halka mehsos hota tha.. wo apni har baat unse kar deti thi..

*************

Asar ka waqt tha namaz par kar adyan ne dua ke liye hath uthaye the kafi dair aise hi hath uthay rakhe the samjh nahi araha tha kaha se shoro kare or kaha se khatam kare..

《 yaa Allah tujhe sab ka pata sab ke dil ka haal pata hai.. sab ke haq mai behtar karta hai mere bhi karde ab bhi hai magar phir bhi karde.. agar zoya meri kismat hai tu usse mujhe dede or agar nahi hai tu jiske bhi kismat mai hai usse humesha khush rakhna har dukh har bori bala se door rakhna.. agar mai uske liye theek insan ho tu uske dil mai mere liye jaga paisa karde or agar wo mere naseb mai nahi hai tu wo jaha bhi ho usse khush rakhna.. 》

Dua mang ne ke bad wo apne room mai window ke sath pari swing chair par ja baitha tha or najane kin khayalo mai kho gaya tha..

*************

Zoya ghar ai thi jab uski nazar samne baithi zainab or sarah par gai thi.. wo dono baato mai itne magan the ke unhe pata hi nahi chala..

《 tum kab ai 》

Zoya ne uske pas baithte hoe poucha tha..

《 kuch dair pehle bhabhi ne mujhe bolaya tha.. aj raat ke liye taike hum tumhari nervousness kam kar sake.. 》

Sarah ne bataya tha..

《 waise tum kaha thi 》

Zainab ne poucha tha..

《 office gai thi 》

Unke pas baithe hoe zoya ne bola tha.. or undono ko samjh agaya tha wo udhar blueberry cheese cake kha kar ai hai or dosre wo kisi kashmakash mai hai..

《 mai pasta banane ja raha ho tum dono baitho》

Zainab ne apni jaga se uth te hoe bola tha..

《 appi ap baithi mai banati ho 》

Zoya yeh keh kar kitchen mai chali gai thi wahi sarah or zainab ko jhatka laga tha yani ye ho kiya raha hai ek wo chup chup si hai uper se aj bina bole kitchen ka rasta usse yaad aya..

《 pata nahi bhai ne aisa kiya bola hai 》

Sarah ne heran se lehje mai bola tha..

《 tum poucho usse 》

Zainab ne bola tha..

《 jaise Maine poucha or unho ne bata dia 》

Dosri taraf wo kitchen mai sab cheeze ready kar rahi thi.. sauce chule par rakhi hoi thi bane ke liye.. or wo kuch adyan ke aj hone wale waqiye ko yaad kar rahi thi najane kiyu uske chery par ek muskurahat a gai thi.. wo khud nahi janti thi kiyu magar a gai thi..

Jab sauce ki taraf dekha tu wo niche lag rahi thi.. usse jaldi se side par kiya tha usne or baki ka kam kiya tha..

《 pasta ready hai 》

Jab pasta tiyaar hogaya tha tab zoya ne undono ko ja kar khane ke liye bolaya tha..

Pasta dekhne mai bohot maze ka lag raha tha.. un dono ne maze se apna apna bowl mai pasta dala tha or pehli bite par unka muh bana tha..

《 darling tum namak dalna bhool gai ho ismai.. 》

Sarah ne bola tha.. zoya ko jaise fark hi nahi para tha..

《 bhooli nahi ho khud nahi dala.. 》

Benayazi se bola tha usne..

《 kiyu 》

Zainab ne poucha tha.. bhala koi bhi khana bina nanak ke banta hai kiya.

《 sauce jalgai thi.. 》

Khane mai magan ho kar bola tha.. uske jawab ne us dono ko uljhaya tha..

《 tu 》

Zainab ne poucha tha.. sauce jal gai thi tu usmai nanak ka kiya wo tu dalna chahiye tha na..

《 mai jale pe namak ka kam nahi kar sakti 》

Uske jawab par undono ka dil kar raha tha wo apna sar kisi diwar par mar le ya usko thori aqal de.. aj undono ko uske sense of humour par ara afsos hoa tha..

Zoya thora sa khane ke bad walk kar ne chali gai thi..

The Fear Of Separation ✔Where stories live. Discover now