Ae zindagi ek nayi shuruaat karte hai,
Tujhe kch aur bhi khaas karte hai.
.........Subah ka sooraj apne saath kitni nayi ummedein, khwahishein, aur khwaab leke ugta hai. Ek naya din, ek nayi shuruaat aur kabhi kabaar ek nayi zindagi ki taraf pehla kadam. Aisi hi ek subah thi jab khirki se ati hui sooraj ki roshni apne bistar par soyi Inaaya ki aankhon main chub rahi thi, har roz ki tarah kal raat bhi wo parden daalna bhool gyi thi aur ab apni ankhon ko kisi tarah us ujale se bachana chah rahi thi.
"Baaji uth jayein ammi bula rahi hai."
Wo jo dobaara neend ki aagosh main jane ko tyaar thi osama ki awaaz pe ek dum uth baithi.
"Ya Allah! Osama tumne mjhe pehle kyun nahi uthaya, ammi ko pata bhi hai ki mera aj exam hai fir bhi!"
Bhaagti ghabraati hui seedha bathroom main ghus gayi wo pure adhe ghante late uthi thi wo bhi apne akhri imtehaan wale din. Aur Inaaya Yousuf un logon main se nahi thi jo kisi bhi cheez ko lekar laaparwaah ho, wo har kaam perfection ke saath karne walon main se thi, haan magar bs neend ke chakkar main kabhi kabaar madam late zaroor ho jaya karti thi.
Jaldi jaldi tyaar hoke apne kamre se nikli to dekha ammi abba naashte ki table pe intezaar kr rahe hai."Assalamualaikum! Ap dono main se kisi ne mjhe ni uthaya bohot hi galat baat hai waise."
"Beta ji apko neend se jagaana koi asaan kaam nahi hai. Ab yeh khade khade chai kyun pee rahi ho araam se baith ke naashta karo na."
"Nai abba araam se baithne ka time ni hai main jaa rahi hu warna main aur bhi zyada late ho jaungi.
Allah hafiz!"Cup rakh kar apna bag uthate hue wo jaldi main ghar se bahar chali gyi. Aur apni ammi ko jaate jaate ghussa dila gayi.
"Ek to majaal hai jo yeh ladki wakht se uth jaye subah, itni jald baazi karti hai naashta bhi nahi kiya kuch."
"Ammi ap baaji ko chorein mjhe zara jadi se garam pharantha to laa dein, ek lauta beta hu apka mujhe bhi itne pyaar se kabhi naashta kra diya karein."
"Ek laute bete se yaad aya, yousuf sahab ap apne is bete ko zara sambhaal le yeh larka mere to haath se nikal chuka ab, naak main dum karke rakha hua hai isne meri."
"Chalo ji subah subah shikaayat laga di abba se, ammi konsi dushmani nikaalti hai ap mujh se pata nahi. Abba maine kuch nahi kiya."
"Isko to main baad main dekhunga, nikhat pehle yeh to sun lo ki Jo Inaya ne Islamabad ki bari university main masters karne ka socha tha na main soch raha hu uska admission krwadu, mashallah uska result to achha hai hi aur khair se in imtehaano main bhi meri bachhi achhe number hi layegi to bs asaani se admission ho jayega uska."
"Ap to bs bachhon ki har khwahish ko foran pura kar diya karein. Jab yaha peshawar main hi kr sakti hai wo masters to kya zaroorat hai Islamabad jane ki. Doosre shehar main bs mooh uthake beti ko bhej dein bhai mujhe to kch samajh nahi ara."
"Aree Nikhat begum jab hmaari beti itni qaabil hai ki jis university main chahe waha padh sakti hai to fir isme harj hi kya hai. Aur Islamabad konsa bohot door hai, bas maine soch liya hai ab ap bhi maan jaiyen."
"Haan bara soch liya apne, akeli kya kregi waha , kaise rahegi yeh sab bhi socha ya nahi?"
"Haan to wahi to bata raha hu ap suniye to aur Inaya se bhi baat krni thi magar wo jaldi main itni thi ki ab ajayegi to baat krunga. Haan to apko agha jee to yaad hi honge main kal unse baat kar rha tha university ke silsile main to unhone kaha ki hamein bilkul fikr karne ki zaroorat ni Inaya jitne arse bhi islamabaad main rahengi wo use apne ghar main rakhenge."
"Agha jee ke bade ehsaan hai yousuf sahaab ham pe agar Allah ke hukum se wo apke kaarobaar main madad na karte to aj jo yeh thoda bohot hai wo bhi na hota. Magar fir bhi aise achha thodi lagta hai ki beti ko itne lambe arse ke liye unke yaha chor dein."
Osama jo ke kaafi bore ho chuka tha is discussion se achanak bol utha.
"Lekin ammi itni badi aleeshaan haweli hai agha jee ki aur kul milake rehne waale teen log hai usme to agar wo apne dil ki kushi se niya ko bhi rehne ke liye ek kamra de denge to kya badi baat ho jayegi. Aur abhi aap hi to pareshaan ho rahi thi ki wo akeli kaise rahengi to yeh masla bhi hal hogya."
"Tum sochlo Nikhat itne Inaya ajayegi usse bhi puch lenge. Baat to sahi kahi hai waise osama ne, hm bhi brfikar ho jayenge agar waha reh legi to."
Aur nikhat ko to jaise is masle ki kch samjh nahi ari thi, beti ko door bhejne se dar rahi thi. Yeh to Inaya aur uske abba ki zid thi aage parhne ki warna wo to uski shaadi karane ke chakkar main thi.
Aur udhar islamabaad main agha jee apni haweli main subah ki chai peete peete apni bahu se isi maamle ka zikar kar rhe the."Saima beta Yousuf hai na jo kch saalon pehle peshawar main hamaari zameene dekha karta tha, uska kal phone aya tha."
"Jee agha jaan yaad hai mujhe unki begum nikhat se bhi mulaqaat hui thi meri."
"Haan wahi to wo apni beti ka admission yaha ki university main krana chah rha hai to usi silsile main kuch puch raha tha, to mujhe khyaal aya ki kaha wo bachhi akele naye shehar main rahegi to maine use keh diya ki wo befikar hoke admission ka soche bachhi araam se yaha hmari haweli main reh legi. Koi aitraaz to nahi na beta apko."
"Are nahi agha jaan bohot achha kiya apne unhe yeh keh diya aur kaha akeli ladki naye shehar main rahegi yaha araam se reh legi. Waise bhi mjhe koi company hi mil jayegi warna to bilkul akeli hogyi hu main. Seher ki shaadi kya hogyi bilku bhool hi gyi apni maa ko aur Shereyaar ka to apko pata hi hai bs har wakht kaam, aur koi doosri cheez ka khyaal nahi hai unhe."
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.