Masterchef

117 7 0
                                    

Khwaab to bohot dekh liye chalo ab tabeer dekhte hai💫💫
........................



Pura hafta ghoomkar wapis aa gaya tha, sunday ke din ek alag itmenaan hota hai. Na kahi jane ke jaldi, na kahi phuchne ki fikar, na koi kaam aur aise hi Inaya bibi ke liye na college aur na subah time par uthne ki nakaam koshish.
Is pure hafte jbse university jaana shuru kara hai, uski ek routine si set hogyi hai. Wo haweli, waha ke log, wo shehar har cheez se jaise ek connection ban chuka ho. Kitni ajeeb baat hai na, abhi kuch dino tak to wo soch bhi nahi sakti thi ke is tarah itni jaldi nayi jagah aur naye logon ke darmiyaan wo is hadd tak khud ko mix up karlegi, yaha ane ka khyaal hi usko kaafi nervous kar raha tha magar ab dekho to yu lagta hai jaise naa jane kitne arse se yahi reh rahi ho.
Ya yu kahein ki Apneap ko har haal main dhaal lena yeh bhi shayad Inaya yousuf ki salahiyaton main se ek hai. Wo kaha kisi cheez se zyada der tak ghabraane walon main se thi.
Itne dino University main padhaai ka kuch bana ho ya na bana ho magar ek dost zaroor banaliya gaya tha. Khadija aur Inaya ki us din ki pehli mulaqaat ke baad dono har din saath rahi thi. Jab uski classes ka pehla din tha wo thodi nervous aur thodi excited ka combo banke university pahuchi thi, uski halat kch aisi thi ki jo subah Shereyar ne usko best of luck kaha tha usko waqai main zaroorat bhi thi. Pehla din to introductions aur classes set hone main hi nikal gaya aur uska kaafi dil bhi lag gaya tha waha. Saare Professors aur baaki crowd bhi bohot achha tha. Aur baaki to khadija ke musalsal bole jaane ki wajah se achha wakht guzar jaata tha pura din. Inhi khayaalon main dubi wo kamre se nikal kar neeche aa chuki thi jaha agha jaan aur Saima begum roz ki tarah uska intezaar kar rahe the, aur roz ki tarah wo aj bhi thodi late hi thi.

"Waise mujhe ummed to nahi thi ki Sunday ke din jaldi uthogi tum."
Saima beguma ne usko ata dekha to usse kaha. Aj phir bade din baad wo agha jaan ke barabar waali kursi pe baith gayi thi, kyunki jiski wo jagah thi aj wo waha nahi tha. Shereyar pichli raat ki flight se hi America rawaana ho gaya tha. Pichle pure hafte usne bila nagah un logon ke saath naashta kiya aur kabhi to dinner bhi. Shayad kuch farigh tha isliye. Agha jaan aur Saima begum ke saath saath Shereyar ne bhi har roz Inaya bibi ke late ho jaane aur fir jald baazi ka manzar dekha tha. Aur ek hi hafte main wo log bhi jaise uske aadi ho chuke the.

"Apko pata hai aunty jab mujhe jaldi uthna hota hai to aakh nahi khulti, aur aj jab araam se so sakti thi to subah hi aakh khul gayi."
Wo jawaban unse kehne lagi. Aur uski baat pe agha jaan ko hasi agyi.

"Khair hai beta jee! Ap aisa karein fir to apni classes sunday ke sunday rakhwale fir ap time pe to pohoch payengi."

"Ab main har roz to ni late hoti agha jaan! Mazaak to mat banaye."
Usne masoomi se unki taraf dekhte hue kaha.

"Achha choro yeh sab dekho gul ne aj aloo ke paranthe bnaye hai, khaao isse pehle thande ho jaye."
Saima begum ne plate uski taraf bdhaatw hue kaha.

"Wow! Main pata hai kal hi ammi ke haath ke paranthe miss kar rahi thi."
Usne plate se ek parantha uthate hue kaha.

"To fir to ek nahi apko do khaane padhenge."
Saima begum ne usse kaha.

"Main jitna zyada khaa rahi hu na ajkl mujhe to lag raha hai aunty main bohot jald moti ho jaungi."
Usne khaate khaate kaha,
"Waise I must say Gul apa khana bara achha banati hai."

"Haan achha to banati hai ab to hmain unke banaye khaane ki adat ho gayi hai. Mera to kabhi kabhar hi haath lagta hai kitchen main."

"Waise main bhi koi kam achha khana nahi banati."

"Waqai? Apko ata hai khana banana?"
Agha jaan ne heraani se usse pucha.

"Ji agha jaan mjhe to bohot saari dishes banati hai. Abhi recently to maine youtube pe recipie dekh ke proper chinese bnaya tha. Ap mujhe btaiye apko kya achha lagta hai main apke liye zaroor banaungi."

INAYATWhere stories live. Discover now