Benaam sa yeh dard tehar kyun nahi jaata
Jo beet gaya hai wo guzar kyun nahi jaata
...........Din hafton main badal gaye aur hafte mahino main. Wakht jaise par lagake udne laga tha. Inaya ko Islamabad aye hue pure teen mahine ho chuke the, padhai ne use puri tarah gher liya tha. Ab to use itna bhi free time nahi milta ki 15-20 dino main Peshawar ka chakkar hi lagale, apne ghar gye hue use do mahine ho chuke the. Wo haveli aur waha ke log uske har tarah se aadi ho chuke the, agha jaan ka to din hi nahi guzarta Inaya se baatein kiye bina. Aur Inaya ko bhi jaise us budhe shakhs main ek dost mil gaya tha, ek advisor, jiske mashware ke bina ab wo kuch na karti thi. Kitne ajeeb hota hai na dosti ka rishta, jab apka dil ksisi se mile, jab koi bewajah apna sa lagne lage, jaha na umar ka koi dayra ho aur na hi kisi aur cheez ka. Dost to Inaya ko do aur bhi mil gye the, jo agar na milte to wo soch bhi nahi sakti ki university main kis tarah guzara hota, Khadija aur Armaan. Sab kuch ek routine ki tarah chalne laga tha, wo sab log jinhe kuch mahino phle tak wo jaanti bhi nahi thi ab uski zindagi main is tarah shamil ho chuke the ki ab yun lagta tha jaise hamesha se jaanti ho wo un logon ko. Agha jaan, Saima begum, Seher, Gul bano, Jamaal, aur ek aur tha in sab main, in sabse alag jiske baarein main abhi tak shayad Inaya koi raye kayam nahi kar payi thi, ya shayad kar chuki thi, kon jaane, aur wo tha Shereyar Ali Khan. Wo kon tha, kaisa tha, kya tha, yeh to wo nahi jaan payi thi bs yeh pta tha ki wo sabse alag tha ya shayad sirf use laga karta tha.
Apne khyalon main gum wo university ke lawn main baithi thi jab wo dono uske paas aye.
"Kaha khoyi hui ho Inaya?"
Armaan ne uske saamne chutki bajate hue uska dhyaan apni taraf kheecha. Khadija ke alawa ek wo hi tha jo uska achha dost ban gya tha."Kahi nahi bas aise hi. Tum log btao itni der se kyun aye ho."
Usne dono ae pucha."Bs yarr mjhe to lag rha hai tumhari late hone ki adat mujh main agyi hai."
Khadija ne usko chera."Oh please ab main bilkul late nahi hoti, gul bano is my saviour. Wo mere haath dhoke peeche padh jati hai agar do minute bhi late uthu to."
"Achaa chalo ab class ka time ho rha hai."
Armaan ne dono ko yaad dilaya.Classes puri karke jab wo haweli pahuchi to seedha agha jaan se milne chali gyi, kyunki subah wo unse mile bina chali gayi thi.
"Agha jaan ap aj kyun kamre main band hai? Subah bhi nahi bahar aye?"
Wo unse sawaal krti andar ayi, to dekha agha jaan kamre main andhera kiye apni rocking chair pe baithe kinhi sochon main gun the. Wo unke liye fikarmand hui. Kamre ki light on karke unki taraf aake unse puchne lagi."Apki tbiyt to theek hai? Kya apne subah apni medicine nahi li?"
Agha jaan ne dheere se uski taraf dekh kar jaise use tasalli dena chahi."Main bilkul theek hi beta, tum bekaar pareshaan ho rahi ho."
"Mujhe to ap theek nahi lag rhe, ap is tarah khaamosh akele kyun baithe hai?"
"Bas aise hi!"
Aj jitna chup to usne agha jaan ko ajtak nahi dekha tha, to fir kya baat hogyi achanak."Nahi ap mujhe bataiye kya hua hai, main bhi to apke saath apni saari problems share karti hu na, to ap kyun nahi mjhe bta rahe."
Agha jaan kuch der use dekhte rahe fir ek dum se unki ankhon se aansu girne lage."Agha jaan please ab mjhe pareshaan kar rahe hai, mjhe btaiye ap kyun ro rahe hai."
Wo unhe is halat main dekh kar ekdum ghabra gyi."Tumhe pata hai Inaya aj ke din kya hua tha?"
Unhone usski taraf dekh kar pucha aur uske paas jawaab na paa kar khidki ke bahar dekhne lage.
Inaya kuch na bol saki.
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.