Ehsaas

203 11 3
                                    

Kuch na tha mere paas khone ko
Tum mil gaye ho to darr gaya hu main
..................





Usi din shaam main jab Shereyar wapis Islamabad aya, wo dopher main Yousuf sahab se ijazat le aya tha , Nikhat begum aur un dono ko yeh bhi tasalli di ki wo bilkul kisi baat par preshan na ho. Pure rastein yahi sochta raha ki ab aage kya karna chahiye, isi silsile main usne haveli phch kar sabse phle Asad ko call ki.

"Asad mjhe tumse zaroori baat karni hai, tum free ho?"

"Haa bolo Sherry?"

"Kal raat party se wapisi pe Ms. Inaya ne apne ghar pe call ki to pta laga unke abba ki tbiyat kaafi khraab hai aur wo hospitalised hai, waha jake pta chla ki unko pichle ek mahine se blood cancer diagnose ho chuka hai aur ab wo third stage tak phch chuka hai. Asad main soch raha hu ki kyun na hum Yousuf uncle ka treatment tumhare hospital main karwaye. Mjhe yaqeen hai ki hamre paas na hi sirf behetreen doctors hai balki unka khaas khayal bhi rakha jayega yaha. Maine abhi unki family se baat nahi ki phle socha tumse mashfara karlu?"

"Haa koi masla nahi hoga tum kar sakte ho aisa. Magar koi khaas wajah unhe Peshawar se Islamabad transfer krwane ki?"

"Wo pareshan the ki Ms.Inaya agar unke paas Peshawar main rehne ki zid karengi to unki studies ka kya banega air fir mjhe yeh bhi lagta hai ki yaha ham unka zyada behtar khyaal kar sakenge. Agha jaan bhi yahi keh rahe the ki wo ni chahte ki ham us family ko in halaat main akela chore. To mjhe yahi hal nazar aya, abhi main un logon se baat bhi karlu ki unka kya reaction hota hai."

"Haa aur tum mjhe Yousuf Sahab ki saari reports wghera bhej do taaki main apne doctors se consult karlu aur ham unka case puri tarah se take over karle. Haa magar mjhe lagta hai unko aur unki family ko apna shehar chor kar yaha aane ke liye tumhe manana padhega, wo tum kaise karoge?"

"Main puri koshish karunga. Ammi bhi kal Peshawar jane ka keh rahi hai to ab kal waha jakr hi un sab se baat karta hu. Tab tak main tmhe reports aur unke current doctor ki details bhi bhej raha hu agar tum unse contact karna chaho to."

"Theek hai Shereyar."

"Aur suno abhi DJ ko kch mat btana, agar Ms.Inaya chahengi to wo khud bta dengi."

"Okay alright."

Udhar hospital ke kamre main wo sab log baithe the, Inaya apne abba ko soup pila rahi thi aur wo baari baari apne bachon aur biwi ko dekhte jaa rahe the.

"Kya soch rahe hai abba?"
Osama ne unhe kisi soch main pakr pucha.

"Main tum sab se kch baatein karna chahta hu."

"Jab ap theek ho jayenge na to fir jitni chahi baatein karlijega."
Nikhat ne unhe muskurake jawab diya.
"Aur agar theek na ho saka to? Isiliye chahta hu yeh jo wakht hai isi ko istemaal karlu."

"Abba kyun aise baatein kar rahe hai ap."

"Inaya tumhe pata hai na main tumhe hmesha bohot kamiyab dekhna chahta hu. Meri beti kamyabi se mera matlab dhero daulat ni hai, balki main chahta hu ki tum padh likh kar apne pairon pe khadi ho jau kabhi kisi pe dependent na raho lekin uske saath saath main chahta hu ki tum ek bohot achhi insan, aur ek bohot achhi musalman bano. Allah ko kabhi shikayat ka mauka mat dena. Hmehsa aise hi sabki takleef main saath dene wali, sabka dard samjhne wali, sabse mohabbat karne wali hi rehna jaisi abhi ho. Apne bhai ka aur apni ammi ka hmesha dhyaan rakhna."
Inaya jo chup sun rahi thi fir boli.

"In dono ka hi ni main hmesha apka bhi dhyan rakhungi aur ap mjhe bilkul waisi zindagi guzarte hue dekhenge jaisi ap chahte hai. Ap mjhse wada kariye is tarah ni sochenge ki bas abkch ni ho sakta, ap himmat nahi harenge."

INAYATWhere stories live. Discover now