Maut ka bhi koi ilaj ho shayad
Zindagi ka koi ilaj nahi
.........Raat ke ya yu kahe ke subah ke 3 baj rahe the jab wo gaadi Peshawar ke us hospital ke samne aa ruki jaha Yousuf sahab dhakil the. Gaadi se utar ke wo dono hospital ke andar gye aur Shereyar ne reception pr malumaat kari aur fir uske saath us kamre ko dhondte waha phuchein. Inaya ko door se kamre ke bahir apni ammi aur Osama baithe dikhai diye bilkul khamosh bilkul gumsum.
"Ammi..."
Wo apni maa ko pukaarti hui unke paas gayi aankhon se bas aasu tapke jaa rahe the. Aur Nikhat to jaise uski awaaz pe beinteha chonki thi unhe jaise lamha laga tha Inaya ke waha hone pe yaqeen karne main, unhone foran Osama ko dekha jisne nazrein pher li. Wo dono ab uth khare hue."Ammi abba kaha hai mjhe unse abhi milna hai, mjhe le chalein unke paas."
Wo khaufzada si kehne lagi, aur apni maa ka haath mazbooti se thaam liya.
"Ammi ap chup kyun hai? Ap log kya mjhe maarna chahte hai, koi saaf saaf kyun ni btata kya baat hai. Mere baap ko kya hua hai."
Wo dono ko khamosh dekh kar ekdum cheekh uthi awaaz ab aasuon se bhari hui thi.
"Inaya tmhare abba ICU main hai. Kal raat unki tbiyat bohot bigar gayi thi to ham unhe yaha le aaye."
Uski maa ne use khande se thaam kar ek ek alfaz jama kar kaha. Jaise use himaat de rahi ho."Doctor ne kya kaha ammi, unhe kya hua hai?"
"Unhein... wo,... unko."
"Abba ko cancer ho gaya hai baaji, blood cancer, aur yeh baat hamain ek mahine phle pata chli thi. Abba nahi chahte the ki ham tmhe yeh btayein, wo tumhari padhai ka nuksaan karna nahi chahte the."
Osama ne rote hue use bataya, Nikhat sun si waha khari reh gayi.
Aur Inaya yousuf ki to pairon ki zameen hi ulat gayi, kya kahe, kya soche, kya samjhe, kuch nahi maloom. Aas paas ka har manzar jaise uske liye gayab hogaya ab waha bas wo thi aur yeh khabar thi jisko use process karna tha. Wo bas khaali khaali nazron se un dono ko dekhe gayi na koi baat na koi rona dhona bss wo chup chaap weeran ankhon ke saath saamne jake ahista se kursi pe baith gyi, jaise agar ab na baithi to gir jayegi, aur gir hi to gayi thi wo bohot zor se seedha asmaan se zameen pe akar giri thi."Inaya meri bachhi meri baat suno, beta hamain kamzor nahi padhna, hamain milke tumhare baap ko yeh dikhana hai ke ham teeno unke saath hai, hamain unke liye wo mazboot deewar banna hai jo saari zindagi wo hamare liye the. Ham himmat nahi haar sakte beta aur tum to bilkul nahi, wo tumhe aise nahi dekhna chahenge."
Nikhat uske barabar aake baith gayi aur Osama uske saamne ghutno ke bal uske haath thame hue tha.
Shereyar wahi qareeb khade yeh sab sun aur dekh raha tha. Yeh manzar dekh ke use kayi purani takleefein yaad agyi thi."Mujhe unke doctor se milna hai, mjhe wo sab janna hai jo pichle ek mahine se unke saath ho raha hai. Mjhse ab aur kuch mat chupaiyega ammi."
Unki aankhon main dekh kar sirf itna kaha, aur uth khari hui. Jis kamre main uske abba the waha se ek nurse aati dikhayi di to wo uski taraf badh gyi."Sister kya main patient se mil sakti hu bas thodi der ke liye?"
"Wo abhi hosh main nahi hai, chemo ke aftereffects ki wajah se unhe kch ghanton baad hi hosh ayega. Haa magar ap dekh sakti hai unko."
Darwaze ko khol ke jab wo andar ayi to samne bistar pe uske abba lete hue the jab do mahine phle usne unhe dekha tha tbse kaafi kamzor, yeh changes wo kyun phle nahi mehsoos kar saki. Jab wo unse baat karti thi, unki awaaz se kyun wo andaza nahi laga saki unki takleef ka. Use kuch samjh ni ara tha. Yeh kch ghanton main uske upar ek pahar sa toota tha. Wo unhe dekh kar jab bahar ayi to Osama, Shereyar se baat kar raha tha. Wo unke paas aake khari hui.
"Mr.Khan apka bohot shukria ke ap is emergency main mjhe yaha laye, lekin ab ham apko aur pareshan nahi karna chahte. Ab ap wapis chalein jaye. Haveli main sab apke liye pareshaan honge."
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.