Dosti aam hai lekin ae dost,
Dost mila hai badi mushkil se.
..............Seher se baat kar lene ke baad wo teeno wahi baithe hue baatein kar rahe the jabki Inaya apne kamre main chali gyi thi koi kaam ka bahan karke, usne socha un logon ko thoda personal time bhi to milna chahiye. Kamre main ake usne osama ko call lagayi, chahe un dono ki kitni bhi ldaiyan hoti ho magar wo use bohot zyada yaad kar rahi thi. Wo uska chota bhai hi nahi balki uska best friend bhi tha, dono main sirf do saal ka hi fark tha. Inaya 22 ki thi aur Osama 20 saal ka. Aur waha Osama ko bhi Inaya ke jaane ke baad saara ghar khaali lag rha tha.
"Haan bhai hamari yaad kaise agyi baaji jaan ko."
"Wo mere paas zara khaali wakht tha, to socha fazool logon se hi baat karlu."
"To mjhe phone kyun kiya, aaine ke saamne jaake khud se baat karni thi na baaji."
"Bakwaas mat karo yeh batao ammi abba kaise hai? Unka khyaal hhi rakh rahe ho ya nahi?"
"Main to unka khyaal rakh raha hu magar mera koi zara khayaal nahi rakh raha."
Osama ne shikayati andaaz main kaha."Kyun tumhe kya hua?"
"Main shadeed bore ho raha hu. Tumhe kya zaroorat thi Islamabad jaane ki."
"Ohhh to mera bhai mujhe yaad kar raha hai?"
"Maine kabhi socha nahi tha ki aisa mauka ayega magar haan, yarr Niya main tumhe sach main miss kar raha hu."
"I miss you too."
Dono jaise zindagi main pehli dafa ek doosre se normal logon ki tarah baat kar rhe the. Dooriyan waqai apno ko qareeb le ati hai, kisi ki asal ehmiyat uske door chale jaane se hi pata chalti hai."Achha tum yeh choro yeh btao kal tumhari university ka pehla din hai, excited ho?"
"Haan Osama main bohot excited hu, tumhe to pata hai na meri kitni khwahish thi yaha aakr pdhne ki. Bas dua karna sab achha ho."
"Haan haan sab achha hi hoga. Aur wo haweli ke log kaise hai ammi to badi tareefein kar rahi thi sabki."
"Haan sab achhe hai yaha. Agha jee aur Saima aunty mera bohot khyaal rakhte hai. They are very sweet."
"Aur unke sahabzade?"
"Huh? Kya matlab?"
"Aree matlab wo kaise hai. Pta nahi kya naam bata rahe the abba unka, aur yeh bhi bta rahe the ki ab saara business wohi dekhte hai?"
"Unka naam Shereyar hai."
"Haan Shereyar btaya tha abba ne. Yarr Niya itni badi haweli main sirf teen log rehte hai, matlab kho jaate honge na waha to fir dhoondhna pdta hoga ek doosre ko."
Uski baat pe Inaya has pari."Tumhe pata hai Osama shuru ek do din to mjhe bhi aisa hi laga tha ki kahi main raasta hi na bhool jau yaha. Yeh log to apni apni life main itne masroof rehte hai ki ek doosre se mile hue bhi din ho jate hai. Matlab agha jee aur aunty to saath hi hote zyada time magar wo Mr.Khan ko to apni ammi aur dada se bina mile dino guazar jaatein hai."
"Lo ji aur yaha to ammi mere minute minute ka hisaab rakhti hai."
"Waise tumhara to second ka hisaab rakhna chahiye unhe tum isi layak ho."
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.