Is safar main neend aisi kho gayi,
Hum na soye raat thak kar so gayi
.................Agla har lamha jaise bs guzarta gaya aur wo ek machine ki tarah har wo kaam karti gyi jo usko krna tha. Uski ammi, Osama, Saima begum, Asad aur shereyar sab kog hospital main jama hogye the. Unhe body ko Peshawar leke jana tha jaha Yousuf sahab ki tatfeen honi thi. Inaya ki aankh se ek aasu bhi na tapka , apni maa ko sambhalti to kabhi bhai ko dekhti. Shereyar sarein aage ke intezamat dekh raha tha.
Yousuf sahab ko Peshawar main unke ghar leke jaya gaya, jaha unhe ghusal dilaya aur kafan pehnaya. Ghar logon se bhar chuka tha. Inaya ek kone main baith ke chup chaap bs apne baap ko dekhe jaa rahi thi, aur bachpan ka har manzar uske samne se ghoom gaya. Kuch hi der baad Osama, unke kch aur rishtedaar, Shereyar aur Asad bhi waha aye taaki ab qabaristan ke liye ja sake. Us lamhey jab uske baap ki maiyyat ko kandhe pe uthaya ja raha tha Inaya ke aasu behna shuru ho gye, wo takleef ki inteha thi.Wo puri shaam guzar gyi, log dheere dheere jana shuru ho gye, ghar khaali hota gaya, lekin ghar main rehne walon ke dil ghutan aur dard se bharte gye.
Uski ammi ki tbiyt ab kch khraab thi doctor ke kehne pe unko ek pain killer di gyi jise unhe neend agyi, udhar Osama jabse qabaristan se wapis aya hai ekdum chup kone main baitha hai. Saima begum unke ghar pe hi thi unka raat ko rukne ka irada tha. Wo janti thi ki Osama ne kuch ni khaya wo uske paas agyi."Osama beta tumne khana nahi khaya tum kch khalo please."
"Aunty main abhi kha lunga, abhi dil nahi chah raha. Niya ne kuch khaya?"
"Usne bs thoda bohot kuch khaya hai aur tabse kamre main band hai apne."
"Mujhe bas yahi kehna hai ki jo takleef abhi tum mehsoos kar rahe ho use apne andar dabao mat, ek doosre se baat karo. Apni maa ke liye mazboot bano zaroor lekin iska yeh matlab nahi hai ki apna aap, aur apni takleef ko kahi dabado, uska samna karo beta, yeh mushkil wakht hai main samajh sakti hu main yeh to nahi kahungi ki kch wakht baad sab asaan ho jayega lekin adat zaroor ho jayegi."
Wo chup aur aankhon main aasu liye unhe sun raha tha.
"Ab tum bhi kuch der sone ki koshish karo beta.Saima begum uthne lagi to Osama ne unse pucha,
"Aunty apko kisi bhi cheez ki zaroorat ho to mjhe please bta dijega, ap pehli dafa hmare ghar ayi hai aur ham kch khyaal ni rakh paa rahe apka.""Is wakht bs tum apna khyaal karo beta."
Wo kamre main andhera kiye kitne hi ghanto se waise hi baithi thi kuch pta ni tha. Ab kamre ke bahar sirf khamoshi thi, sab log ja chuke the aur jo yaha the wo apne kamron main so gye the ya fir sone ki koshish kar rahe the. Wo to bs ek but bani apne bistar pe baith thi. Kinhi socho main ghum, na wo pehli ro saki thi aur na wo ab ro rahi thi. Sab kuch andar hi andar bs ghutan mehsoos ho rahi thi. Inhi sab ke beech use doorbell sunayi di, phle to usne dhyaan nahi diya fir jb dobara baji to use jaise hosh aya baaki sba so chuke the wo uth kar darwaze tak gyi. Itni raat ko kon asakta hai usne socha.
"Kon hai bahar?"
Usne bina darwaza khole awaz laga ke pucha ."Main hu, Shereyar!"
Inaya ne darwaza khol diya aur wo andar agya.
"Main maazrat chahta hu apko disturb kar diya, wo ammi ka kuch saman gaari main tha wo hi dene ke liye aya hu."
"Ni main soyi nahi thi, aunty to mere khyaal main so gyi, ap aiyen andar."
Wo dono chalte hue ghar ke andar agye."Apki ammi kaisi hai?"
Shereyar ne uski taraf dekhte hue pucha."Unka blood pressure low ho gya tha shaam ko aur headache bohot zyada tha to doctor ne ek pain killer di hai usse shayad unko neend bhi agyi hai."
Usne sofe pe baithte hue kaha, wo jo samne wale sofe pe baith chuka tha usko dhyaan se dekhta ja raha tha."Aur Osama?"
"Wo bhi apne kamre main chala gaya, kuch khaya nahi usne aur na hi zyada baat ki, aur sach puche to meri bhi himmat ni hui uske paas jane ki pata ni kyun..."
"Aur ap kaisi hai?"
Is sawal pe Inaya ne uski taraf dekha aur dheeme se jawab diya."Main to apke samne hi hu, mujhe kuch samajh nahi arha.........
Apko pata hai Mr.Khan abhi jab aap aye aur apne doorbell bajayi, main thoda dar si gayi ki itni raat ko kon agya hai, mjhe nahi pata tha ap hai. Us wakht mjhe pehli dafa ehsaas hua ki ab kyunki abba nahi hai to ham log jo ek protected zindagi guzar rahe the jaha hamin na kisi cheez ka dar tha na kisi cheez ki fikar kyunki hmain pta tha abba hai wo sambhal lenge, ab aisa nahi hoga. Main zindagi main pehli dafa is baat se dari hu ki pta nahi raat ke wakht ghar pe kon agya.."
Wo ek dum sanjeeda lehje main bole ja rahi thi.
"Aur shayad aise hi har qadam pe unki kami mehsoos hoti rahegi.""Ap janti hai Inaya log kehte hai ki jaise jaise wakht guzarta hai hamain apno ki kami ka ehsaas bhi kam hota hai, par main apko btau ki sach kya hai. Jaise jaise wakht guzarta hai wo ehsaas barhta jata hai. Jaise abhi apne kaha aise aur bohot mauke ayenge apki zindagi main jab apko lagega ki kyunki mera baap ab nahi hai to zindagi bhi ab phle jaisi nahi ho sakti."
"Aur shayad na main ab pehle jaisi ho paungi kabhi."
"Yeh galati main kar chuka hun, isliye advice karunga ki ap yeh galti na kare. Don't let your grief change you, I let that happen and I regret it."
"Its not in my control....."
Dono khamosh hogye aur ansu behna fir shuru hogye, Inaya unhe saaf karne lagi to wo bola."Ek baar maine apse kaha tha ki dobara roiyega mat, magar aj main apse keh raha hu ki ap dil kholke jitna rona chahti hai utna ro lein, thoda better feel krengi."
Aur bas yeh sunna tha aur uska dil jaise bhar aya. Wo roti gayi, aur wo use dekhta gaya. Kabhi kabhi khamoshi main bhi bohot taqat hoti hai aur wo lamha bhi kuch aisa hi tha, na koi dilasa na koi tasalli. Shereyar Ali Khan ko koi alfaz istemaal na karne padhe samne baithi us larki ko yeh batane ke liye ki wo jo mehsoos kar rahi hai wo achhi tarah samjhta hai, wo samjhta hai uske dard ko bhi uski kehfiyat ko bhi aur uske zehen main aane wale har khyal ko bhi.
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.