Sadma

130 8 0
                                    


Ab kushi deke aazma le ae khuda
In ghamon se to nahi marta main
......................

"What are we expecting doctor?"
Shereyar ne doctor se pucha, wo aur Asad is wakht us doctor ke cabin main the jo Yousuf sahab ko supervise kr rhe the. Jab doctor ne aake btaya ki filhal ke liye wo stable hai uske baad Inaya aur uski family is condition main nahi thi ki unke saamne yeh baat ki jaa sake isliye Shereyar ne tanhai main baat krna zyada sahi samjha.

"From what we are looking at right now I would say we are expecting a complete organ failure. Kyunki yeh blood cancer hai to yeh jism ke sirf ek hisse tak mehdood nahi hai yeh puri body main phela hua hai. Yousuf sahab itne kamzor ho chuke hai ki ab unki body chemotherapy bardasht nahi kar payegi, to filhal ke liye hamne unki chemo kuch arse tak ke liye rok di hai. With all honesty im not very positive about the outcome."

Shereyar ko to jaise chuppi lag gyi, ab kya hi kehta wo aur kya hi karta.

"Shereyar tum Inaya ke saath yeh sab discuss krlo jo doctor ne kaha hai. Ham unhe koi jhooti unmeed bhi to ni de sakte na. Thoda mentally prepare unhe bhi hona chahiye har cheez ke liye."
Asad ne bahar ake usse kaha.

"Koi bhi cheez apko us situation ke liye mentally prepare nahi kar skti Asad, koi bhi baat nahi. Maine kuch galat to nahi kar diya na Asad un sabko yaha laake, is hospital main. Agar usne socha ki wo kahi aur apne abba ka behtar ilaaj krwa sakti thi to fir ma..."

"Main aisa kuch nahi soch rahi Mr. Khan!"
Us awaz pe wo dono palte to saamne Inaya khari thi, uske aasu ab sukh chuke the, uska lehja ekdum dheema. Shereyar ko samajh ni aya wo usse kya kahe.

"Main doctor sahab se baat krne ke liye ayi thi par shayad wo ja chuke hai, apse koi baat hui unki?"

"Wo unhone kaha ki, uh..., wo dekh rahe hai."
Shereyar aur Asad dono nazrein churate hue kuch bolne ki koshish kar rahe the.

"Ap mjhe bta de, kuch nahi hota. Yeh to mjhe btaya hai ki abba ki chemo abhi kuch din ke liye rok di hai kamzori ki wajah se, yaqeenan halat kuch zyada achhe nahi hai."

"Ap bs dua kariye Inaya!"
Asad yeh keh kar chala gya, aur tha hi kya kehne ko.
Inaya aur Shereyar saath chalte hue corridor se nikal ke kamre ke bahar tak agye, dono khamosh apni socho main gum.

"Ap ghar chale jaiye Mr.Khan thak gye hoge, airport se seedha yahi agye the."

"Main thodi der main chala jaunga."

"Sab ke yaha rukne se wo jaldi theek to nahi ho jayenge na, abhi ap jake rest krlije fir ajaiyega!"

"Apne kuch khaya?"
Shereyar ne ruk kar usse pucha.

"Osama canteen se mere aur ammi ke liye chai ya kuch lene gya hai, ham kha lenge bhooka rehna to koi hal ni hai."

"Theek hai, main chalta hu magar kisi bhi cheez ki zaroorat ho ya koi bhi baat ho ap seedha mjhe call kriyega, okay?"

"Okay!"
Inaya ne razamandi main sir hilate hue jawab diya.
Shereyar jane laga aur fir ekdum ruka aur palat ke kaha,

"Aur dobara roiyega mat."
Aur is baat pe Inaya ne nazar chura li ab yeh kaha uske ikhtiyar main tha, yeh to bas uska dil janta tha aur wo khud. Phir jaise Inaya ko bhi kuch yaad aya,

"Ap yeh kyun keh rahe the ki main sochungi ki kahi aur abba ka behtar ilaj ho jata?"
Jo soch Shereyar ko pareshan kar rahi thi wahi sawal usse krliya gya.

"Waise hi khyal aya."

"Main aisa zaroor sochti agar main koi bewakoof ladki hoti. Kya main andhi hu, kya mjhe nazar nahi arha ki kis tarah yaha abba ka khyal rakha ja rha hai. Yaha ka har doctor har nurse itne caring aur itne professional hai, ek lamhe ke liye bhi mjhe aisa nahi laga ki koi kami reh rahi hai abba ke ilaj main. Jo doctor unhe treat kar rahe hai mjhe yakeen hai ki wo puri tarah se qabil hai unka case handle krne ke liye. Aur un sab ke saath saath Asad bhai har wakht hamare saath hai. Aur fir ap,..."
Yaha wo ek lamhe ke liye ruki aur Shereyar ki akhon main sanjeedgi se dekha, wo kaise hi bayan karti.

"Main kya?"
Shereyar jo intezar kar rha tha uske agle alfaz ka puchne laga.

"Ap ham logon ke liye jo kar rahe hai na Mr.Khan uska badal aur uska ajar apko sirf Allah tala hi denge, main kuch bhi kahu wo kam hai."

Kuch aasu fir agye the uski aakhon main jaise dil bhar aya ho, agar uske dilo dimag pe is wakht yeh takleef na haavi hoti to wo shayad samajh pati ki is samne khare shaks ke liye wo us lamhe main kya mehsoos kar rahi thi.
"Ap kuch mat kahe, kuch bhi mat kahe bas apna khyal rakhe."
Shereyar ko bohot tasalli hui thi wo sab sunke jo soch use pareshaan kar rhai thi wo Inaya ne foran door kar di thi.
Ghar wapis ake bhi wo so nahi paya wohi manzar uske zehan main chal rha tha. Wo lamha jab usne Inaya ko neeche baithe rote hue dekha, uske aasu, uski baatein, wo takleef. Shereyar Ali khan ko Inaya Yousuf main kahi na kahi apna aap nazar ara tha, wo dar wo bebasi sab waisa hi tha. Wo nahi chahta tha ki yeh takleef mazeed badhe wo bs Yousuf sahab ki sehat chahta tha.
Uski nazron main wo dus saal purana wakiya phir se ghoom gaya, wo wakht jo uski zindagi ka sabse mushkil wakht tha wo phir yaad agya, bhoola to wo pehle bhi nahi tha magar aj fir apne baap ki bohot yaad ayi thi.







Pichle pure hafte wo Icu main hi rahe the aur sehat sambhalne ke bajaye bigar hi rahi thi aj subah jab unhe saas lene main takleef hone lagi to doctors ne unhone ventilator pe daal diya ab wo behoshi ki halat main the. Pehle se bohot kamzor, jo shaks unse unki sehat main mila hoga ab wo shayad unhe pehchan bhi na sake aisi halat hogyi thi. Gharwalon ne duaein, shikwe, minnatein sab kar ke dekh liya tha magar Allah ko shayad kuch aur hi manzoor tha.
Nikhat begum bhi phle se bohot kamzor hogyi thi ekdum chup chaap bas har wakht duaa main masroof. Osama to jaise pal main badha hogya, jiski soch sirf hasi mazak tak mehdood thi aj wo itna sanjeeda aur khamosh hogya tha. Inaya in dono ko sambhalti ya khud ke upar dhyan deti, abba ki tbiyat dekhti ya ammi aur bhai jo khaana peena bhool chuke the unko sahar deti. Ab to na rona arha tha na kuch aur, kisi machine ki tarah bs hospital ki hoke reh gayi thi.
Un teeno ke ird gird ke log yeh sab dekhte aur mehsoos kar rahe the par kya hi wo kar sakte the.
Saima begum aur agha jee Inaya ki is halat pe bohot ubsurda the.
Kuch aur din yuhi guzar gaye aj unhe ventilator pe chotha din tha. Raat ke 2 baj rahe the jab Inaya ne apni ammi aur bhai ko ghar bhijwa diya wo dono pichli puri raat aur din yaha ruke the ab usko rukna tha. Wo waiting area main baithi neend main jhoom rahi thi jab ek nurse usko bulane ke liye aayi aur apne saath chalne ko kaha. Wo uske saath chalti hui us ICU ke bahir ayi jaha uske abba the kamre ke bahir kuch halchal thi. Usne ghabrake nurse se pucha ki achanak kya hua hai.
"Ma'am doctor andar hai wo ajaye wo apse baat krenge."

Uske dil ne use bata diya tha ki wo jisse darti thi wo ho chuka tha, magar insan to har pal ummeed main jeeta hai usne socha abhi doctor ayega aur uske is bure khyaal ko door krdega. Wo kaifiyat aisi thi ki wo fir kuch na keh saki na puch saki uska dil ab baitha ja raha tha. Kuch air minute guzre aur Inaya jo ab but bani khari thi doctor ke ane pe unke qareeb gayi, jabki chahti to wo waha se bhaag jana thi, uska dil un alfaz se darta tha jo ab use sunne the.

"He passed away 10 minutes ago, time of death 2:49am. Im very sorry, his breathing stopped and we could not revive him."

Wo jaisi khari thi waisi hi reh gayi, idhar ki saans idhar aur udhar ki udhar. Wo bas kone main ake khari hogyi. Na aasu aye the na rona aya tha, na koi soch na koi khyal bs ekdum sannata, dimag har soch se khaali.
Ek nurse ne qareeb aake usse kch kaha.

"Ma'am ap apni family ko inform karde ap yaha akeli hai."
Aur akeli hi to hogyi thi wo ab. Usne kursi le baithe hue apna phone nikala aur Osama ko call lagayi.

"Osama abba ka inteqaal hogaya."
Yeh jumla tha aur uska dil jaise choor choor hogya, aisi chot jo dikhayi na de, aisa dard jiski koi dawa nahi, aur aisa sadma jisme koi aasu nahi.

INAYATWhere stories live. Discover now