Wo pehli mulaqaat thi,
Naa pucho hamse uski bhi kya baat thi💫
.......Nayi jagah pe shuru shuru main aksar thoda discomfort hota hai, magar surprisingly Inaya ko kaafi pursukoon neend ayi thi, shayad kaafi thak gyi thi isliye. Agle din subh jaldi uth kar Usko university ki kch formalities puri karne jaana tha.
Apne alarm ki khaufnaak awaaz se wo uth baithi, zindagi main pehli dafa wo alarm se uthi thi warna ghar main to uski ammi hi apne hisaab se sahi time pe utha deti thi, isliye wo hmesha befikar hoke so jaati thi. Magar yeh uska ghar nahi tha aur naa hi yaha uske ammi abba the yaha wo itni befikri afford nahi kar skti thi warna to ho chuka Msc.
Khidki se parde hatake wo us khoobsurat manzar ko dekhne lagi yeh subah use kaafi peaceful lag rahi thi, neeche lawn ki greenery aur waha pe lage hue colourful flowers bohot haseen the. Isse phle ki wo wahi khare khare is view ko enjoy krne ke chakkar main baaki saare kaam bhool jati wo jaldi se apne kapde nikaal kar bathroom ki taraf chali gyi.
Sheeshe ke saamne khare hokar wo apne baal sukha rahi thi jab kisi ne darwaaze pe knock kiya.
Darwaaza khola to bahir Gul bano khari thi."Wo apko begum sahiba naashte ke liye bula rahi hai. Unhone mujhe bola ki dekh aau agar ap jag gyi ho to bulalu. Ap neeche ajaiye."
"Assalamualaikum Gul aapa!"
Inaya ne muskurake unhe salaam kiya,
"Ap aunty se kahiye ki main bs tyaar hoke aa rahi hu 5 minute main."Jeans pe kurta aur ek warm stole apne kandho pe daalke apne baalon ko high pony main samet kar wo apna handbag uthate kamre se nikal gyi aur staircase ki taraf badh gyi, neeche aakar wo seedha dining hall ki taraf chali gyi jaha pe wo dono pehle se baithe the.
"Assalamualaikum."
Usne table ki taraf ate hi dono ko salaam kiya aur agha jee ke barabar kursi pe baith gyi."Walaikumassalam beta! Theek se so gyi thi ap koi pareshaani to nahi hui na."
"Nahi agha jee koi pareshaani nahi hui main araam se so gyi thi."
"Chalo Inaya ab achhe se breakfast krlo koi takaluf ki zaroorat nahi hai, aur tum university jaa rahi ho na jo tum kal btaa rahi thi ki kch kaam baaki hai?"
"Ji aunty kch last fromalities reh gyi thi wo aj puri kar aaungi fir weekend ke baad to classes shuru ho jayegi."
"Saima beta ap driver ko bol dijega wo Inaya ko drop kardenge university."
"Nahi nahi agha jee iski koi zaroorat nahi hai main public transort use kar lungi, wakai koi masla nahi hoga."
"Aree beta uski kya zaroorat hai aur waise bhi gaadi bekaar hi khadi hai filhaal isi bahane kaam to ayegi, ap bs apna schedule driver ko bata dijega wo apko pick and drop krliya krega."
"Main already ap logon ko itna preshaan kar chuki hu aur ab yeh sab mjhe achha ni lag rha."
Wo sharminda si hogyi thi itne ehsaan to usne kabhi kisi ke nahi liye the, usse samjh ni ara tha ki wo kaise is situation ko deal kare."Inaya tum kaisi baatein kar rahi ho aur agha jaan bilkul theek keh rahe hai, aur isme pareshaani wali koi baat nahi hai ab jab tum hmare saath hmaare ghar main rahogi to beta ghar ka part hi to hui na ap bhi aur ab bas saari formalities abhi aur isi wakht khatm kardo, aur jaldi naashta khatam kro kahi late mat ho jaana."
Is baat pe wo halka sa has pari unki is baat se use apni ammi yaad agyi wo bhi isi tarah samjhati thi."Apko pata hai aunty ap bilkul meri ammi ki tarah sound kar rahi hai."
"To bas apni ammi ki tarah hi smjho mujhe, aur zaroorat pdhi to daat bhi dungi unki tarah."
"Ji bilkul, meri ammi to bohot kush hongi is baat pe. Achha ab main nikal rahi hu kahi sach main late na ho na jau, and thank you both of you for being so sweet.
Allah hafiz!"
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.