Aj is ek nazar pe mujh ko mar jaane do
Usne logon badi mushkil se idhar dekha hai
.........................Wo lawn main apne manpasand spot ke paas kone main baith hui thi, aur agha jaan ki kahi har baat ko apne zehan main dohra rahi thi. Uska dil bohot absurda hua tha, aasu rukne ka naam hi nahi le rahe the. Use yeh soch aur bhi zyada takleef de rahi thi ki jab use sirf sunke itna dukh hua tha to wo log jo is takleef se guzre hai unhe kitna dukh hoga. Duniya main kon kya seh raha hai, kis par kya guzar rahi hai ham andaza bhi nahi laga skte, har insaan ko apni takleef badhi lagti hai, lekin agar sochne baitho to shayad samjh aye kon kis aziyat se guzar rha hai. Wo to kisi apne ke bina zindagi ka tasavvur bhi nahi kar sakti. Wo Inaya jo kabhi nahi roya karti thi aj kisi dusre ke dard ko mehsoos karke roye jaa rahi thi.
"Ap kyun ro rahi hai?"
Us awaaz pe wo chonki, yeh wo akhri insaan tha jiska saamna wo is wakht chahti thi. Usne foran apne aasu poche jab tak Shereyar usse kch faaslein par uske samne aake baith gya tha."Main to nahi ro rahi!"
"Ap jhoot bhi bolti hai?"
Inaya jaise kch ghabrayi aur usko dekhne lagi, aur foran use agha jaan ke alfaaz yaad agye. Kya yeh insaan wakai itna gehra hai, wo use dekhti rahi aur aasu fir behne lage. Usne foran apna chehra dusri taraf kar liya.
"Ap ko koi pareshaani hai?"
Shereyar ne Inaya se pucha."Nahi."
"To fir kya main wajah jaan sakta hu apke rone ki?"
"Nahi."
Usne apna sar hilakar inkaar kar diya."Agha jaan abhi mujhse keh rahe the ki kisi ne unse kaha hai ki koi pareshaani ho to uske baarein main baat krleni chahiye dil ko sukoon milta hai."
"Aur maine kisi ko kehte hue suna hai ki dilon ko sukoon itni asaani se nahi mila karta."
Inaya ne uski ankhon main dekh kar kaha."Ap hamari baatein sun rahi thi?"
Shereyar ne bhi nazar hataye bina pucha."Ap bhi to sun rahe the."
Aur ab wo hairaan hua."Apko kaise pata?"
"Bas pata hai."
Wo saamne dekhne lagi. Wo jaanti thi ki Shereyar ne uski aur agha jaan ki baatein sun li thi.
Agle din subah Inaya ki aakh khuli apne phone ke bajne se, aj university bhi nahi jana tha to wo der se uthna chahti thi, raat ko bhi bari bechain neend ayi thi usko.
"Hello? Kon bol raha hai?"
Inaya ne neend main hi pucha."Inaya kya musibat hai yrr main bol rahi hu."
Dusri taraf se Khadija ki awaaz ayi jo ki khaasi gusse main lag rahi thi."Khuda khair kare subah subah kyun chilla rahi ho tum?"
"Subah nahi meri jaan ab dopher ho chuki hai, 2 baj rahe hai Inaya aur tum abhi tak so rahi ho. Tumne mujhse wada kiya tha aj tum subah se mere ghar pe aaogi."
Inaya ne chonk kar aankhein kholi, aj Khadija ka birthday tha aur uske ghar shaam ko celebration thi isliye khadija ne Inaya ko jaldi aane ka leh diya tha. Uske ghar jaldi phchna to door ki baat Inaya to use wish karna bhi bhool gyi thi.
"Oh my god DJ im so sorry, happy birthday yrr main to bhool hi gayi."
"Tum bohot buri dost ho Inaya Yousuf!"
"Yrr tum pareshaan na ho main jaldi hi pchti hu tumhare paas."
"Ni ni kya zaroorat hai tumhe, shaam ko Sherry bhai aur aunty ke saath hi ajana mehmano ki tarah."
YOU ARE READING
INAYAT
RomanceAap khuda ki Inayat hai hum pe💫💫💫 The story of Shereyar Ali Khan and Inaya Yousuf.