Shukar

84 7 1
                                    


Ab yeh bhi nahi theek ki har dard mita dein
Kuch dard kaleje se lagane ke liye hai
............


Hospital ki khirki se bahar dekhti Inaya ke chehren pe sooraj ki wo pehli kirne padh rahi thi jo ek naye din ke aaghaz ka paigham layi thi. Ek naya din, magar uske liye wahi purani uljhane. Aj uske abba ko  hospital main admit hue chotha din tha. Wo log Peshawar se Islamabad agye the, waha ake Asad ke hospital main Yousuf Sahab ke detailed checkups hue aur kuch din ke baad unki chemo therapy fir se shuru hogyi, usi silsile ka aj chotha din tha. Phichle do din se Osama hi hospital main rukta tha aur ab Inaya ne yeh zimmedari apne sir li. Use apne abba ki bimari ka pta chle pure 15 din hogye the. In 15 dino main sab kch badal gya tha, pareshani to thi, lekin uske saath kch aise log khare the uska sahara banke jinhe kuch arse phle tak wo janti hi ni thi. Saima begum, agha jaan, Khadija, Dr. Asad, jis tarah yeh log iske saath the wo bilkul bhi akela mehsoos ni kr rahi thi.  Wo inhi socho main thi jab kamre ke darwaze ko halka sa knock krke koi andar aya, usne palat ke dekha to wo khara tha. Wo jiska naam usne un sab logon ki list main nahi jora tha jinke baarein main wo abhi soch rahi thi, aur jor bhi kaise sakti thi wo to sabse alag tha. Wo bina kch kahe use hi dekh rahi thi jab wo ahista chal kr us tak aya.

"Ab kaisi tbiyat hai uncle ki?"
Shereyar ne hospital bed pe lete Yousuf sahab ko dekh kar pucha jo is wakht so rahe the.
"Ek ghante phle hi soye hai, raat bhar jagte rahe hai."
Usne jawab diya.

"Ap theek hai?"
Shereyar ne ek nazar uspe daalte hue pucha.

"Ji!"

"Ap ab ghar chli jaye, Osama kuch der main ata hi hoga main hu tab tak yaha."

"Ni wo ajaye main bs tb hi chali jaungi, ap itna subah aye hai aur ab yaha rukenge to Yaqeenan office ke liye late ho jayenge ap jaiye."

Yeh shaks har din use mazeed sharminda karta jaa raha tha, wo kya karein ki uske ehsanat ka badla chuka sake. Jiske paas apne gharwalon ke saath baith kr nashte karne ka wakht bhi ni hota tha  wo taqreeban  har roz uske abba ko dekhne hospital ya fir ghar ata tha. Shereyar ki wajah se unhe kisi cheez main koi masla nahi hua tha na hi shifting main aur na hi naye ghar main jaha saare intezaam wo kar chuka tha. Inaya ko lagta jaise wo usse nazrein hi nahi mila sakegi , wo us insaan ke aage  jhukti chali jayegi.

"Apke exams hone wale hai, apne kch padha?"
Inaya ki baat ko nazar andaz krke usne sawal kara.

"Ji padh rahi hu thoda thoda."

"Apko thoda wakht nikalna chahiye, ap DJ ke ghar jake uske saath combined study kar liya karein apko easy ho jayega. She will help you with the lectures jo apne miss kare hai."
Shereyar usko dhyaan se dekh kar keh raha tha, wo pichle kch dino main thodi kamzor aur thaki hui lag rahi thi. Yeh us Inaya se kaafi alag lagti thi jise wo apne ghar main apni ammi aur agha jaan ke saath ghanto baaton main masroof dekha karta tha.

"Ap jab haveli jayenge to agha jaan ko bata dijega ki aj main unke paas milne aaungi thodi der ke liye."

"Okay. Waise I must tell you wo kaafi miss krte hai apko. Unko achha lgega ap ayengi to."
Usne muskurske Inaya se kaha. Itne main Osama kamre main dakhil hua.
"Assalamualaikum Sherry bhai!"

"Walaikumassalam!"

"Niya tum chali jao neeche driver ruka hua hai."
Osama ko waha chor ke wo waha se agyi Shereyar bhi uske saath hi nikla tha magar wo doosri taraf mudh gaya.
"Ap chalein main zara Asad se mil aau."



Yousuf sahab ki beemari main sab aise ulajh gye ki guzarte wakht ka koi andaza hi nahi raha. Inaya ghar ke saath saath apne exams bhi deti rahi . Un logon ko Islamabad shift hue ek mahina ho chuka tha, uske abba ki condition kisi pal sambhalti to kabhi bigarti thi. Kabhi lgta ki wo bilkul theek ho jayenge aur kabhi lagta ki condition aur buri ho rahi hai. In dino wo ghar pe hi the ek nurse full time unke liye Dr. Asad ne bhej di thi. Is naye mahol main jaise taise sab set ho gye the. Shaam ki chai apni saath peete hue Inaya ne unhe btaya ki wo kch der ke loye haveli ja rahi hai, exams ke dino main wo bilkul agha jaan aur saima begum se nahi mili thi.

INAYATWhere stories live. Discover now