Coffee Mug

89 10 5
                                    

Yeh coffee mug hamesha uski yaad dilaata hai

Aankh se fir ek aansu sa chalak jaata hai



Kho jaati hoon fir un sunhari yaadon mein

Uska pyara sa chehra utar aata hai meri aankhon mein



Dil ki un galiyon mein uska hath pakadkar chalne lagti hoon

Uski baahon mein gir sakoon isliye jaankar fisalne lagti hoon



Yun hi yaadon mein chalte chalte hum us coffee shop tak pahuch jaate hain

Jahan coffee peete peete hum ghanto baatein kiya karte hain




Hum aise hi roz milte aur kal fir milne ka vaada karte

Chhodkar jaana humein katai pasand na tha isliye alvida kabhi na kehte




Us din bhi sooraj wahin se nikla tha aur mai bhi waise hi chehak rahi thi

Us se milne ka sochkar man hi man muskura rahi thi




Aur fir hamesha ki tarah aa pahucha woh mera haath thaamne

Humne dher saari baatein bhi ki baithkar aamne saamne




Har roz ki tarah din dhalne laga tha

Aur door jaane ka waqt ho chala tha




Par yeh socha na tha ki yeh doori zindagi bhar ki hai

Mujhe yeh saza mili na jaane kis kasoor ki hai




Mujhe ghar chhodkar woh bas muda hi tha

Usne mera haath abhi bas chhoda hi tha



Ki achanak ek bhut zor ki aawaz aayi

Maine mudkar dekha toh mai sehem  gyi



Woh khoon se lathpath zameen par pada tha

Kisi ki beparwaah raftaar ka shikaar ho chuka tha



Main zor se chillayi uski tarah daudi bhi thi

Par tab tak uski saansein tham chuki thi


Ek din k liye bhi alvida na kehne wala umar bhar k liye saath chhod gya

Apni dher saari saari meethi meethi bas yaadein chhod gaya


Fir kabhi mai us coffee shop mein nahi gyi

Fir kabhi mai khil khilakar nahi muskurayi


Uski saari baatein saari yaadein aaj bhi zinda hai

Mai jaanti hoon woh mere nakhro pe aaj bhi fida hai



Jab kabhi man karta hai toh yun hi aankhein band kar leti hoon

Aur firse coffee peete peete us se ghanto baatein kiya karti hoon



Yeh coffee mug uske haath pakadne k ehsaas dilata hai

Aankh se fir ek aansu sa chalak jaata hai


Dil par haath rakhkar uska naam leti hoon, wo mere saamne aa jaata hai

Aur haath thaamkar yaadon mein tehelne ka silsila fir shuru ho jaata hai

KALAM Se DIL TakWhere stories live. Discover now