Chaand aur Tum

28 7 3
                                    

Aaj bhut waqt baad thoda sa waqt mila

Meri zindagi k aasman mein fir se chaand khila


Duniya wale aksar jis chaand mein dhero daag dekha karte hain

Hum ishq karne wale usi chaand ko dekhkar mohabbat seekha karte hain


Upar aakash mein timtimaate taaron ko dekhkar man mein ek khayaal aata hai

Bhut mushkil se mile khaali waqt mein bhi usi ko sochti hoon, yeh ishq bhi kya kamaal hota hai


Kabhi chaand ko dekhti hoon, kabhi uski tasveer ko

Kabhi khud ko khoobsurat samajhti hoon, kabhi apni takdeer ko


Pehle uski aankhon ki tareef karu ya uske baalon ki

Aawaz apni tez hoti saanson ki sunu ya uski baaton ki


Uski muskurahat ko dekhkar mujhe utna hi sukoon milta hai

Jitna aasman mein khile chaand ko dekhkar kisi chakor ko milta hai


Aaj apne is khaali waqt mein mai sirf uski khoobsurati ko nihaarna chahti hoon

Uski aankhon ki chamak se lekar uske gaalon ki laali tak sab ki tareef karna chahti hoon


Chakor ka chaand us khule aasman mein chaaya rehta hai

Aur mera chaand mera haath thaamkar mujh mein hi khoya rehta hai


Uski aankhon ke samandar ki gehrayi mein mai kuch is tarah doob jaati hoon

Meri muskurahat kaise uske dil ke taar chhed deti hai, mai khoob jaanti hoon


Chhat par saath baithkar hum chaand taaron ko dekhte hain

Ek doosre ki baahon mein soye huye hum sapne hazaaron dekhte hain



Apne narm haathon ki ungliyon ko fir woh meri ungliyon se uljha leta hai

In ungliyon ko uljhate uljhate meri zindagi ki sab uljhano ko yun hi suljha deta hai



Chaand ki chaandni jab uske chehra par padti hai

Toh uski woh kaali kaali aankhein aur bhi chamakne lagti hain



Aksar andhere se logon ko dar lagta hai

Par mujhe toh chaand ka saaya hi apna ghar lagta hai


Mera ghar sansaar sab us ki baahon mein hai

Meri saari manzilein us ki hi raahon mein hai


Ab toh bas rab se yahi dua hai meri

Uska chehra dekhkar hi har subah ho meri


Humari baatein kabhi khatm na ho, yeh haath kabhi naa chhoote

Chaand aur chakor ki tarah humara bhi saath kabhi naa chhoote

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Just a poem to appreciate the beauty of the love of your life and the warmth that he/she never fails to give ✨❤

Vote, comment and share

KALAM Se DIL TakWhere stories live. Discover now