Same goes with this part...
This is the last part of the book...Enjoy reading.
Kabhi kabhi din k ujaale se jyada raaton ki bechainiyan sukoon deti hai;
Kabhi kabhi kisi ke deedaar se jyada yadon ki hichkiyaan sukoon deti hai;
Yun toh beintehaa mohabbat bhari hai humare andar par fir bhi,
Kabhi kabhi kisi ki muskurahat se jyada aansuo ki siskiyaan sukoon deti hai
Jiski mohabbat mein hum tabah ho gye, fanaah ho gye ;
Wohi humare dard bhare manzar ke gavaah ho gye;
Sahi dastoor hai zindagi ka, tabhi toh jo kabhi humse door jaana chahte the,
Humare bina khud hi tanha ho gaye.....
Kabhi hum jinki baahon mein sote the, unhone humein khwaabon se bhi door kar diya;
Kabhi hum jinke khayaalon mein baste the, unhone humein yaadon se bhi door kar diya;
Haalat ab itne badal chuke hain ki,
Kabhi hum jinki manzil hua karte the, unhone humein raahon se bhi door kar diya.....
This is my most favorite one...
Heer raanjha ne saath milkar pyaar ki kasmein khaayi thi,
Soni ne bhi toh mirzya jitni hi wafa nibhaayi thi;
Fir kyun logon Ko ye Ishq nagawar guzarta hai,
Jab ki duniya ko pyaar ki reet toh raadha krishn ne hi sikhaayi thi....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Thank you for giving love to this book. It means a lot to me.
I will soon come up with something new, interesting and unique.
Stay tuned.
Till then Vote, comment and share.
YOU ARE READING
KALAM Se DIL Tak
Poesíachhoti chhoti kahaniya kavitaon ke roop mein Any kind of similarity with any person or incident is a mere coincidence. Please support my efforts and vote for my story.