Traffic Jam

23 7 3
                                    

Din dhalne laga tha aur raat hone lagi thi

Gusse se meri aankhein aur naak laal hone lagi thi




Do ghante se wahan khade hokar uska intezaar kar rahi thi

Uske chaand se chehre ki jagah baar-baar ghadi ka deedar kar rahi thi




Usne yeh toh kaha tha ki "6 bje tak tumhare pass pahuch jaaunga"

Par yeh nahi bataya tha ki 8 bje tak intezaar bhi karaaunga




Do ghante mein 10 baar phone kar chuki hoon, har baar ek hi jaawab aata hai

Na jaane yeh 5 minute har baar aadha ghanta kaise ho jaata hai




Aane do janab ko, aaj ache se khabar loongi

Mauka mila nhh toh zor se kaan bhi marod doongi




Aaj nhh toh pyaar bhari baatein hongi, naa aankhein chaar hongi

Sirf gussa hoga, daant hogi aur zor ki fatkaar hogi




Bhut intezaar ke baad aakhirkar janab ki jhalak dikhne lagi

Gussa saara ek taraf ho gya aur meri aankhein chamakne lagi





Maine tay kar liya tha ki aaj itni aasani se nahi pighalne wali thi

Aaj toh yuddh hoga, janab ki ache se khabar li jaane wali thi




" Arey lagta hai 6 baj hi gye" maine aankhein badi karte huye kaha

"Bas is baar maaf kar do, aage se aisa nahi hoga" usne kaan pakadte huye kaha




Bas uski aawaz sunne ki der thi, aur saari naarazgi door ho gyi

Gussa bhool kar mai uske chehre ki masoomiyat mein mashroof ho gyi




Beparwah traffic jam ki wajah se humari date barbaad ho chuki thi

Mai usey aur daantna chahti thi par us se pehle hi uski aankhon mein kho chuki thi




Naa jaane kya jaadu tha uski muskurahat mein, hamesha man moh leti thi

Aur uski aankhon ki chamak mera saara gussa, saari tension sab sokh leti thi




"Jaanta hoon tum aaj ki date ke liye kitni excited thi, maine sab kharab kar diya nhh

Par promise aage se kabhi aisa nahi hoga, tumne mujhe maaf toh kar diya nhh"




Uske woh lafz maano mere kaanon se bhi pehle mere dil tak pahuch gye

Muskuraht apne aap mere hothon se chipak gyi aur haath uski taraf badhe gye





Uska haath thaamkar maine bas do baar dheere se apni aankhein jhapkayi

Maine toh kuch nahi kaha par meri yeh kambakht aankhein kuch na chupa payi





Yehi toh woh chhoti chhoti baatein hain jo hamare rishte ko  majboot banati hain

Mujhe uska hamdard aur usey mera mehboob banati hain




~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

I hope this was able to remind you about the first date, first sweet, cute fight that you had with the love of your life ❤

Vote, comment and share 😇

KALAM Se DIL TakWhere stories live. Discover now